
Iqra'
Padho Apne Rab ke Naam Se
اقرأ باسم ربك الذي خلق
17 Apr 2025
Phuphi Ke Bete Ki Beti Se Shadi Karna

26 Jan 2025
Soodi Maal ka Kya Kare?

Sawaal:
Chand-maah baad mai company chor raha hu aur maloom karna chahta hu ke mai is maal ka kya karu? Kya mai asal maal lu aur faide sadqa kar du? Aap se guzarish hai ke mera taawun kare, mai gunah ka murtakib nahi hona chahta.
Jawab:
Alhamdulillah.
Paanch saal baad jo maal aap ko milega, wo asal maal (jo ke company ki taraf se diya gaya hai) aur soodi nafa (jise aap ne faida ka naam diya hai) ka majmua hoga. Aur kyunke soodi maal aap ke liye halal nahi hai, is liye aap asal maal se zyada nahi le sakte. Aap ko chahiye ke ye soodi faide bank ke liye hi chor dein.
Is liye ke Allah Ta'ala ka farmaan hai:
"Aur agar tum tauba kar lo to tumhare liye tumhare asal maal hai..."
Surah Baqarah, ayat- 279.
Aur agar bank aap ko haram faide diye bagair asal maal na de, to phir aap usay le lein aur usay mukhtalif qisam ke bhalai aur neki ke kaamon me kharch karke chutkara hasil karein. Aur aap ke liye un faido ko istemal karna ya unse faida lena jaiz nahi hai.
Wallahu A'lam.
25 Jan 2025
Sawal - Peshab Karne ke Baad Kapde Naapaak Hone ka Shak Hota Hai

30 Dec 2024
Tashahud ki Duae
۞ Tashahud ki Duae jo namaz me padhi jaati hai wo ye hai:
1. Attahiyaat
‘Attahiyyatu lillahi was salawatu wat tayyabaatu, assalamu alaika ayyuhan nabiyyu wa rahmatullahi wa barakatuhu, assalamu alaina wa a’ala ibaadillahis saaliheen, ashadu alla ilaaha illallahu, wa ashadu anna Muhammadan abduhu wa rasuluhu.’
‘(Meri saari) Qauli, badani aur maali ibaadat sirf Allah ke liye khaas hai. Aye Nabi Aap par Allah ki rahmat, salamati aur barkate ho aur ham par aur Allah ke (dusre) nek bando par (bhi) salaamati ho, Mai gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi (saccha) maabood nahi hai aur mai gawahi deta hu ke Muhammad Allah ke bande aur rasool hai.’
Sahih al Bukhari, kitab al aazan, hadees- 831.
2. Allahumma Salli ala
‘Allahumma salli ala Muhammadin wa aalaa aali Muhammadin kama sallaita alaa Ibraheema wa aala aali Ibrahima innaka hameedum majeed.
Allahumma baarik ala Muhammadin wa aalaa aali Muhammadin kama baarakta a’alaa Ibraheema wa aala aali Ibrahima innaka hameedum majeed.’
‘Aye Allah! salamati aur rahmat ata farma Muhammad ﷺ par aur unki aal par, Jis tarha aapne salamati ata farmayi Ibrahim a.s. par aur unki aal par. Beshaq Aap badi tareef waale aur buzurgi waale hai.
Aye Allah! barkat ata farma Muhammad ﷺ par aur unki aal par, Jis tarha aapne barkat nazil farmayi Ibrahim a.s. par aur unki aal par. Beshaq Aap badi tareef waale aur buzurgi waale hai.’
Sahih al Bukhari, kitab ahadees al ambiya, hadees- 3370.
3. Allahumma Inni Zalamtu Nafsi
‘Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kaseerau’n walaa yaghfiruz zunooba illa anta faghfirli maghfiratan min indika warhamni innaka antal ghafoor ur raheem’
‘Aye Allah! Bila shuba maine apni jaan par bahot zyada zulm kiya hai. Aur tere siwa gunaho ko koi nahi baksh sakta, pas apni jaanib se mujh ko baksh de aur mujh par raham kar, be shak tu hi bakshne wala maherban hai.’
Sahih al Bukhari, al azan 834, Sahih Muslim, al zikr wad dua, 2705.
4. Allahumma inni auzubika min azabi jahannam
‘Allahumma inni a’auzu bika min azaabi jahannama wa min azabil qabri wa min fitnatil mahyaa wal mamaati wa min sharri fitnatil maseehid dajjal’.
‘Aye Allah! Mai jahannam aur kabr ke aazaab se, maut o hayaat ke fitne aur maseeh dajjal ke shar se teri panah mangta hu.’
Sahih Muslim, kitab al salat, hadees- 1324.
Ye bunyadi Duae hai jo hame padhni chahiye. Iske alawa aur bhi Duae hai jiski taleem hame Rasoolullah ﷺ ne di hai, use padhne ke liye ye article check karye:
https://www.iqrakitab.com/2018/01/aakhri-tashahud-ki-duae.html
•٠•●●•٠•
21 Nov 2024
Mani aur Mazi Lage Kapdo ka Hukm - Paak ya Napaak

۩ Ibn Qudama r.h. ne kaha hai:
"Agar ham ise paak kahen to ise khurachna afzal hai, aur agar kisi ne bina khurache Namaz padh li to bhi ye jayz hai."
Al-Mughni (1/763).
Lekin Mazi ke liye sirf paani chirakna kaafi hai, kyunki isme mushkil hoti hai. Iski daleel Sunan Abu Dawood ki niche di gai hadees hai:
۩ Sahl ibn Hunayf r.a. bayan karte hai,
'Mujhe zyada Mazi aati thi aur mai baar baar ghusl kiya karta tha. Maine is baare me Rasoolullah ﷺ se poocha to Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
"Tumhare liye sirf wuzu karna kaafi hai."
Maine pucha: "Aye Allah Ta'ala ke Rasool ﷺ, agar Mazi kapdo me lagi ho to kya karu?"
To Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Tumhare liye itna hi kaafi hai ke chullu bhar paani le kar jahan lagi ho, wahan chirak do."
Sunan Abu Dawood, hadees-210 - Hasan, Al-Albani.
۩ Aur Imam Tirmizi r.h. is riwayat ko nakal karne ke baad likhte hai:
"Yeh hadees hasan sahih hai, aur Mazi ke mutallik hame is tarah ki hadees Muhammad bin Ishaq ke ilawa kisi aur se nahi mili."
۩ Tuhfat-ul-Ahwazi me likha hai:
"Is hadees se yeh sabit hota hai ke agar kapro par Mazi lag jaaye to sirf paani chirakna kaafi hai, dhona zaroori nahi."
Tuhfat al-Ahwazi (1/373).
🟢 Nateeja:
● Mani paak hai, ise dhona zaroori nahi.
● Mazi lagne par sirf paani chirakna kaafi hai.
● Mazi nikalne se sharmgaah dho kar (aur kapde ke us hisse par paani chirak kar) Namaz ke liye sirf wuzu karna zaroori hai, ghusl zaroori nahi.
Wallahu Aalam.
15 Nov 2024
Hawa Nikalne ka Shak
-compressed.jpg)
20 Oct 2024
Kya Ham Janabat Ke Haalat Me Quran Sun Sakte Hai ?

Alhamdulillah..
Janabat ki haalat ek shaks ko Qur'an sunne se nahi rokti hai, kyuki shariat me iski daleel maujud nahi hai ki jo shaks janabat ki halat me ho use Qur'an nahi sunna chahiye.
Shaykh ibn Baaz se pucha gaya,
'Kya jo shaks janabat (impurity following sexual discharge) ki halat me ho, apne zahen se Allah ki kitab se padh sakta hai? Aur agar ye mumkin na ho to kya wo sun sakta hai?'
Unhone farmaya,
'Jo shaks janabat ki haalat me hai, usko ye ijazat nahi hai ki wo ya toh Mushaf se kuch padhe ya apne zahen se, jab tak ke wo ghusl na kar le, kyuki ye Rasoolullah ﷺ se sabit hai ki koi bhi cheez Aap ﷺ ko Quran (padhne) se nahi rokti thi siwaye janabat ke.
Quran ki tilawat sunne ke hawale se ye ahkaam hai ke isme koi harj nahi hai kyuki ye boht mufeed hai, bina mus'haf ko chuye ya is me se padhne ke.'
Majmu Fatawa Ibn Baaz, 10/152.