اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Mar 2026

Kya ham Kitab o Sunnat ki roshni me Iran ka sath de sakte hai?


Hamare muashre ke kuch log ye sawal uthate hain ke: Jab Iran mein Sahaba ki tauheen hoti hai, to ham unka political support kyun karein? Ye ek jazbati sawal hai, lekin iska jawab Sunnat aur Haqiqat-pasandi ki roshni me dekhte hai.

Kisi mulk ko siyasi taur par support karne ka matlab ye nahi ke aap unke har aqeede ko sahi maan rahe hai. Aur is baat ki sabse badi daleel khud Rasool ﷺ ki seerat hai.
Jab Nabi ﷺ Madinah tashreef laaye, to wahan ke mukhtalif halaat ko control karne aur ek mazboot riyasat banane ke liye ye muahida kiya gaya jisko Misaaq e Madinah kaha gaya. Nabi ﷺ ne Madina ki hifazat ke liye waha ke Yahoodiyon ke sath military alliance banayi. Wo Yahoodi Allah ke Rasool ﷺ ki nubuwwat ka inkar karte the, lekin dushman (Quraish) ke khilaf Nabi ﷺ ne unka sath lena jayez samjha.

Is waaqye se sabit hua ke jab baat dushman se hifazat ki ho, to unse bhi hath milaya ja sakta hai jo Islam ko nahi maante. Sochiye, agar gair-muslim ke sath alliance ho sakti hai, to Palestine ke liye unka 'Siyasi' sath dena kaise galat ho sakta hai jo kam-az-kam kalma-go hai.

۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya, "Jo bhi jahiliyat ke zamane mein kisi insaaf-pasand muahide ka hissa raha ho, to Islam use sirf mazeed mazbooti hi deta hai."

Al Adab al Mufrad, hadees 570 | Sahih (Albani)

Is hadees ko samjhane ke liye Imam Zuhrah Fath ul baari (4/473) me kahte hai,

"Isse murad insaaf ka muahida hai, jaise ke Hilf al-Fudul, jis mein unhone is baat par ittefaq kiya tha ke wo Makkah mein kisi zalim (wrongdoer) ka sath mazloom ke khilaf nahi denge."

۩ Rasoolullah ﷺ ek dusri hadees me farmate hai, '

"Maine Abdullah bin Jud’an ke ghar mein ek aise insaaf-pasand muahide (pact of justice) mein shirkat ki thi, jo mujhe qeemti surkh oonton (red camels) ke revarh se bhi zyada mehboob hai. Agar Islam ke is dor mein bhi mujhe is (muahide) ki taraf bulaya jaye, to main zaroor qubool karunga."

Al-Sunan al-Kubrā 13080. Ise Ibn al-Mulaqqin ne sahih karaar diya hai.

Is hadees se saaf pata chalta hai ki agar muahida insaf aur sachai par mabni hai to islam ye nahi dekhta ki saamne wali party ka aqeedah kya hai ya wo kis maslak se taluq rakhti hai, balki sirf ye dekhta hai ke 'Zalim' ka hath rokne mein kaun 'Mazloom' ka sath de raha hai."

Nabi ﷺ ne ye nahi dekha ke muahida karne wale log Mushrik hai. Unhone sirf ye dekha ke muahida ka Maqsad (Goal) kya hai? Maqsad tha: "Zalim ko rokna aur Mazloom ko haq dilana."

Upar ki hadees se saaf sabit hua ki Islam hame ye sikhata hai ke agar koi bura aadmi bhi koi achha kaam kar raha ho, to us achhe kaam mein uska sath dena chahiye.

Farz karein ek dushman (Israel) ek bache (Palestine) ko maar raha hai. Wahan ek banda aata hai jise aap pasand nahi karte (Iran), lekin wo us dushman ka hath pakad leta hai taaki bacha bach jaye. Kya aap us waqt us bande ka hath jhatak denge sirf isliye ke aapka usse ikhtelaf hai? Ya aap uske sath mil kar dushman ko peechay hatayenge?

Iran ko support karne ka matlab unke Aqeede ko support karna nahi hai. Balki unke us "Hath" ko support karna hai jo Israel (Zalim) ko rokne ke liye Palestine (Mazloom) ke sar par rakha gaya hai.

Jab dunya ke bade bade Arab mulk dushman ke dar se khamosh baithe the, tab Iran ne kisi se dare bagair Palestine ka sath diya.
Wo himmat jo kisi Arab leader ne nahi dikhayi, wo Iran ne dikhayi. Unhone sirf baatein nahi ki, balki zameen par weapons aur paison se madad ki. Is raah mein unke bade leaders aur commanders ko apni jaan bhi deni padi. Ab ham itne kamzarf toh nahi ho sakte ki wo hamare palestine ke liye jaan qurban kar de aur ham unhe support bhi na kare.

Jab ghar ko aag lagi ho, to paani dene wale ka firqa ya aqidah nahi dekha jata. Is waqt Israel sabse bada khatra hai. Agar Iran unhe rok raha hai, to usse Sunni mulk (Gaza/Lebanon) ka hi faida ho raha hai.
Hamas khud Sunni hai, lekin fir bhi wo Iran se madad lete hai. Agar ladne wale mujahideen ke liye ye alliance jayez hai, to hame ac waale kamre me baith kar ise najayz kahne ka koi haq nahi.

Sahaba ki izzat hamara eeman hai. Lekin Siyasat aur Jihad me dushman ke dushman ko dost banana Hikmat hai. Jab wo Israel ke samne khade hain, to hamara unhe kamzor karna sirf dushman ko faida pahunchayega.
Iran ko support karna unke aqeeday ki tasdeeq nahi, balki unki us Jurrat ka aitraaf hai jo kisi Arab mulk na dikha sake. Agar ham aaj Amal ke bajaye Firqe ke chakkar me Iran ki dhaal ko kamzor karenge, to ham asalsal mein Israel ke hathon ko mazboot karenge.

Yaad rakhein: Nabi ﷺ ne Hilf al-Fudul me Mushrikeen ka sath sirf isliye diya tha kyunki wo 'Insaaf' ke sath khade the. Aaj Iran bhi wahi kar raha hai. Faisla aapka hai—Zalim ki khamosh himayat, ya Mazloom ka sath.

Allah farmate hai,
'Aur logo ki nafrat, tumhe is baat par na ubhare ke tum adl wa insaaf ke sath kaam na lo. Insaaf karo, yahi baat taqwe ke zyada kareeb hai.'
Surah Maida, ayat - 8.

Aur ek aakhri baat, Saare Shia Sahaba e karaam par tankeed nahi karte, bure log har qaum, har mazhab me hote hai, saaro ko ek hi laathi se haakna insaf ke khilaf hai.

۩ Iran ke leader Ayatollah Khamenei khud kahte hai,

"Sunni bhaiyo ki muqaddas shakhsiyat (Abu Bakr, Umar, Ayesha ra.) aur nishaniyo jin me Islam ke Nabi ki biwi (Aisha) bhi shamil hain, in sab ki tauheen karna haraam hai."
"Nabi ﷺ ki tamam azwaj-e-mutahiraat qabil-e-ahtaram hai; jis kisi ne bhi un me se kisi ki bhi tauheen ki, us ne Nabi ﷺ ki tauheen ki."

source- https://english.khamenei.ir/news/3905/Ayatollah-Khamenei-s-fatwa-Insulting-the-Mother-of-the-Faithful
•٠•●●•٠•

Aur Allah sab se behtar jaanta hai.
Read More »

27 Jul 2025

Kya Surah Fatiha ke baad koi Surah Padhna Farz Hai ?


۞ Surah Fatiha Ke Baad Surah Padhna: Farz Ya Mustahab?

Aksar Ulema ke mutabik, namaz ki pahli do rakato me Surah Fatiha ke baad Surah padhna mustahab hai, farz nahi.

۩ Abu Hurayrah r.a. ne farmaya,

'Har namaz me qirat hoti hai, toh jo Rasoolullah ﷺ ne hame sunaya, ham tumhe sunate hai, aur jo Aap ﷺ ne aahista padhi, ham bhi aahista padhte hai. Jo shakhs sirf Ummul Kitab (Surah Fatihah) padh le, wo uske liye kafi hai, aur jo is se zyada kare, toh ye behtar hai.'

Sahih al Bukhari, kitab al azaan (10), hadees- 772.

Yaani agar koi sirf  Surah fatihah padhta hai toh uski namaz sahih hai, aur izaafi surah padhna behtar hai, farz nahi.

۞ Imam Nawawi r.h. ne Sharh Muslim me farmaya hai,

'Jo lafz hai, ‘Jo shakhs Ummul Kitab (fatiha) padh le, wo uske liye kafi hai, aur jo is se zyada kare, to ye behtar hai’, Is se yeh wazeh hota hai ke fatiha padhna farz hai aur bina iske namaz sahih nahi hoti.

Iska ye bhi matlab hai ke Surah fatihah ke baad Surah padhna mustahab hai. Fajr, Juma aur har namaz ki pahli do rakat me ye sunnat hai aur is par tamam ulema ka ittefaq hai. Al Qaazi Iyad r.h. ne kuch Malik ke ashaab se riwayat kiya hai ke fatihah ke baad surah parhna farz hai, magar ye ek ajeeb aur radd karne layak raaye hai.'

(Sharh Muslim, 4/105).

•٠•●●•٠•
Read More »

17 Apr 2025

Phuphi Ke Bete Ki Beti Se Shadi Karna


 Sawal - 

Mai ek khubsurat aur deendaar ladki se shadi karna chahta hu jise mai pasand bhi karta hu, lekin ye ladki mere rishte me phuphi ke bete ki beti hai. Usne mere chacha ki beti se shadi kar rakhi hai, yaani wo ladki mere phuphi ke bete ki beti aur mere chacha ki beti ki beti hai.

Kya sharai taur par Islam me is ladki se meri shadi karna jaiz hai?

 Jawab - 

Har qism ki hamd Allah ke liye hai, aur durood o salam ho Allah ke Rasool par,

Ji haan aap ke liye mazkoora ladki jo ke aap ki phuphi ke bete aur chacha ki beti ki beti hai se shadi karna jaayz hai kyunke aap dono me koi hurmat nahi paayi jaati. Aur phir Ali r.a. ne Nabi ﷺ ki beti Fatima r.a. se shadi ki thi jo ke Ali r.a. ke chacha ke beta ki beti thi.

Is liye aap ke chacha aur aap ki phuphi ki betiya aap ke liye halal hai, aur usi tarah un ki betiya bhi chaahe wo kitni bhi nichli nasal me ho, aur isi tarah aap ke mamu aur khala ki betiya bhi aap ke liye halal hai, aur usi tarah un ki betiya bhi.

Lagta hai aap ko ishkaal is liye paida hua hai ke urf aam me muashre me aap ko is ladki ka chacha ka naam diya jaata hai, lekin ye sirf urf hi hai aur is ke nateeje me nikah ki hurmat ke ahkaam murattab nahi hote.

Allah Ta’ala hame aur aap ko aise kaam karne ki taufeeq naseeb farmaye jo usay pasand hai aur jin se uski raza haasil hoti hai.

Wallahu aalam.

•٠•●●•٠•

source: Islamqa.info
Read More »

26 Jan 2025

Soodi Maal ka Kya Kare?

Soodi Maal ka Kya Kare?

 Sawaal: 

Mai ek company me mulazmat karta hu jisne paanch baras qabal apne mulazimeen ko kuch rakam di aur ye rakam bank ke aise account me rakha jo paanch baras tak istemal nahi kiya ja sakta, aur is rakam par faide mil rahe hai. Ye maal mulazim ko paanch baras baad ya phir retirement ke baad diya jayega. Mujhe ilm hai ke ye haram hai lekin hame koi ikhtiyar hasil nahi.

Chand-maah baad mai company chor raha hu aur maloom karna chahta hu ke mai is maal ka kya karu? Kya mai asal maal lu aur faide sadqa kar du? Aap se guzarish hai ke mera taawun kare, mai gunah ka murtakib nahi hona chahta.


 Jawab: 

Alhamdulillah.

Paanch saal baad jo maal aap ko milega, wo asal maal (jo ke company ki taraf se diya gaya hai) aur soodi nafa (jise aap ne faida ka naam diya hai) ka majmua hoga. Aur kyunke soodi maal aap ke liye halal nahi hai, is liye aap asal maal se zyada nahi le sakte. Aap ko chahiye ke ye soodi faide bank ke liye hi chor dein.

Is liye ke Allah Ta'ala ka farmaan hai:

"Aur agar tum tauba kar lo to tumhare liye tumhare asal maal hai..."

Surah Baqarah, ayat- 279.

Aur agar bank aap ko haram faide diye bagair asal maal na de, to phir aap usay le lein aur usay mukhtalif qisam ke bhalai aur neki ke kaamon me kharch karke chutkara hasil karein. Aur aap ke liye un faido ko istemal karna ya unse faida lena jaiz nahi hai.

Wallahu A'lam.

•٠•●●•٠•


Read More »

25 Jan 2025

Sawal - Peshab Karne ke Baad Kapde Naapaak Hone ka Shak Hota Hai

Sawal - Peshab Karne ke Baad Kapde Naapaak Hone ka Shak Hota Hai

Sawal - Peshab Karne ke Baad Kapde Naapaak Hone ka Shak Hota Hai.

  Jawab  

Alhamdulillah.

Sunnat ye hai ke insaan baith kar peshab kare, aur agar khade ho kar peshab kare to jab tak jism aur kapdo ko najasat se paak rakha ja sake, to is me koi harj nahi hai.

Aur agar insaan ne khade ho kar peshab kiya, aur usay peshab ke kuch cheente bhi lag gaye, to jis jagah cheente lage hain us jagah ko dhona lazmi hai, aur is par pani ke cheente maarna ya geela haath wagaira pherna kaafi nahi hoga, balke najasat ko dhone ke liye is par pani bahana zaruri hoga.

Aur agar insaan ko shak laahaq ho jaye ke kya uske kapdo ko peshab laga hai ya nahi, to aisi surat me us par kapde ko dhona lazmi nahi hai, kyun ke asal ye hai ke kapde paak hote hain, hatta ke insaan ko yaqeenan maaloom ho jaye ke waqai usay najasat lag gayi hai.

۩ Daimi Fatwa Committee ke ulama e kiraam ka kahna hai:

"Jab aapko achi tarah yaqeen ho jaye ke [peshab ka] katra nikal gaya hai to aap par istinja karna, namaz ke liye wuzu, aur jaha kapde par peshab ka katra laga hua hai usay dhona lazmi hoga, aur agar sirf shak ho to aisi surat me aap par kuch nahi hai.

Aur aap shak-o-shuba me padne se bachen, taake aap waswasa ki bimari me mubtala na ho jayein." end quote.

"Fatawa Al-Lajnah Al-Daimah Lil-Ifta" (5/106).

Agar insaan mufeed deeni masail poochhe to yeh aib nahi hai aur na hi waswasa, balke kamal talash karne ka zariya, aur neki ki hirs hai.

Allah se dua hai ke humein aur aapko har acha kaam karne ki taufeeq de, beshak woh is baat par qadir hai.

Wallahu Aalam.

•٠•●●•٠•

Source: Islamqa.info
Read More »

30 Dec 2024

Tashahud ki Duae

۞ Tashahud ki Duae jo namaz me padhi jaati hai wo ye hai:

1. Attahiyaat

Tashahud ki Duae

‘Attahiyyatu lillahi was salawatu wat tayyabaatu, assalamu alaika ayyuhan nabiyyu wa rahmatullahi wa barakatuhu, assalamu alaina wa a’ala ibaadillahis saaliheen, ashadu alla ilaaha illallahu, wa ashadu anna Muhammadan abduhu wa rasuluhu.

‘(Meri saari) Qauli, badani aur maali ibaadat sirf Allah ke liye khaas hai. Aye Nabi Aap par Allah ki rahmat, salamati aur barkate ho aur ham par aur Allah ke (dusre) nek bando par (bhi) salaamati ho, Mai gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi (saccha) maabood nahi hai aur mai gawahi deta hu ke Muhammad Allah ke bande aur rasool hai.

Sahih al Bukhari, kitab al aazan, hadees- 831.

2. Allahumma Salli ala

‘Allahumma salli ala Muhammadin wa aalaa aali Muhammadin kama sallaita alaa Ibraheema wa aala aali Ibrahima innaka hameedum majeed.

Allahumma baarik ala Muhammadin wa aalaa aali Muhammadin kama baarakta a’alaa Ibraheema wa aala aali Ibrahima innaka hameedum majeed.

‘Aye Allah! salamati aur rahmat ata farma Muhammad ﷺ par aur unki aal par, Jis tarha aapne salamati ata farmayi Ibrahim a.s. par aur unki aal par. Beshaq Aap badi tareef waale aur buzurgi waale hai.

Aye Allah! barkat ata farma Muhammad ﷺ par aur unki aal par, Jis tarha aapne barkat nazil farmayi Ibrahim a.s. par aur unki aal par. Beshaq Aap badi tareef waale aur buzurgi waale hai.

Sahih al Bukhari, kitab ahadees al ambiya, hadees- 3370.

3. Allahumma Inni Zalamtu Nafsi

‘Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kaseerau’n walaa yaghfiruz zunooba illa anta faghfirli maghfiratan min indika warhamni innaka antal ghafoor ur raheem’

‘Aye Allah! Bila shuba maine apni jaan par bahot zyada zulm kiya hai. Aur tere siwa gunaho ko koi nahi baksh sakta, pas apni jaanib se mujh ko baksh de aur mujh par raham kar, be shak tu hi bakshne wala maherban hai.

Sahih al Bukhari, al azan 834, Sahih Muslim, al zikr wad dua, 2705.

4. Allahumma inni auzubika min azabi jahannam

‘Allahumma inni a’auzu bika min azaabi jahannama wa min azabil qabri wa min fitnatil mahyaa wal mamaati wa min sharri fitnatil maseehid dajjal’.

‘Aye Allah! Mai jahannam aur kabr ke aazaab se, maut o hayaat ke fitne aur maseeh dajjal ke shar se teri panah mangta hu.

Sahih Muslim, kitab al salat, hadees- 1324.

Ye bunyadi Duae hai jo hame padhni chahiye. Iske alawa aur bhi Duae hai jiski taleem hame Rasoolullah ﷺ ne di hai, use padhne ke liye ye article check karye:

https://www.iqrakitab.com/2018/01/aakhri-tashahud-ki-duae.html

•٠•●●•٠•

Read More »

21 Nov 2024

Mani aur Mazi Lage Kapdo ka Hukm - Paak ya Napaak

Mani aur Mazi Lage Kapdo ka Hukm -  Paak ya Napaak

Agar Mani kapdo ko lag jaye to yeh paak rahti hai, yani yeh napak nahi hoti. Agar aise kapdo me Namaz parh li jaaye toh koi masla nahi hai.

۩ Ibn Qudama r.h. ne kaha hai:

"Agar ham ise paak kahen to ise khurachna afzal hai, aur agar kisi ne bina khurache Namaz padh li to bhi ye jayz hai."

Al-Mughni (1/763).

Lekin Mazi ke liye sirf paani chirakna kaafi hai, kyunki isme mushkil hoti hai. Iski daleel Sunan Abu Dawood ki niche di gai hadees hai:

۩ Sahl ibn Hunayf r.a. bayan karte hai,

'Mujhe zyada Mazi aati thi aur mai baar baar ghusl kiya karta tha. Maine is baare me Rasoolullah ﷺ se poocha to Rasoolullah ﷺ ne farmaya,
"Tumhare liye sirf wuzu karna kaafi hai."
Maine pucha: "Aye Allah Ta'ala ke Rasool ﷺ, agar Mazi kapdo me lagi ho to kya karu?"
To Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
"Tumhare liye itna hi kaafi hai ke chullu bhar paani le kar jahan lagi ho, wahan chirak do."

Sunan Abu Dawood, hadees-210 - Hasan, Al-Albani.

۩ Aur Imam Tirmizi r.h. is riwayat ko nakal karne ke baad likhte hai:

"Yeh hadees hasan sahih hai, aur Mazi ke mutallik hame is tarah ki hadees Muhammad bin Ishaq ke ilawa kisi aur se nahi mili."

۩ Tuhfat-ul-Ahwazi me likha hai:

"Is hadees se yeh sabit hota hai ke agar kapro par Mazi lag jaaye to sirf paani chirakna kaafi hai, dhona zaroori nahi."

Tuhfat al-Ahwazi (1/373).

🟢 Nateeja:

● Mani paak hai, ise dhona zaroori nahi.
● Mazi lagne par sirf paani chirakna kaafi hai.
● Mazi nikalne se sharmgaah dho kar (aur kapde ke us hisse par paani chirak kar) Namaz ke liye sirf wuzu karna zaroori hai, ghusl zaroori nahi.

Wallahu Aalam.

•٠•●●•٠•

Related articles:

Read More »