اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2016

Safar ki Dua

Dua 1:
سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَـٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنقَلِبُونَ-

“Subhanallazi sakhkhara lana haaza wama kunna, lahoo muqrineen, wa inna ila Rabbina Lamunqalibun.”

“Wo Paak hai jisne isko hamare qabu mein kar diya aur hum mein taqat na thi ki isko kaabu mein kar lete aur hamko apne Rab ki taraf hi laut kar jana hai.”

Daleel:

Allah ﷻ farmate hai:

“Jis ne tamaam chizo ke jode banaye aur tumhare liye kashtiyaa banayi aur chaupaaye jaanwar (paida kiye) jin par tum sawaar hote ho.
Taa keh tum un ki peet par jam kar sawaar hua karo fir apne Rab ki nemat ko yaad karo, jab us par theek thaak baith jaao, aur kaho 'Paak zaat hai us ki jis ne ise hamare bas me kar diya, halaan ke hame ise qaabo karne ki taaqat na thi.

Quran, Surah Az Zukhruf (43), Ayat: 12-13.

Dua 2:

Pahle teen (3) baar Allahu akbar kahe fir ye dua padhe:

سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَى رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ- اللَّهُمَّ إِنَّا نَسْأَلُكَ فِي سَفَرِنَا هَذَا الْبِرَّ وَالتَّقْوَى وَمِنَ الْعَمَلِ مَا تَرْضَى- اللَّهُمَّ هَوِّنْ عَلَيْنَا سَفَرَنَا هَذَا وَاطْوِ عَنَّا بُعْدَهُ اللَّهُمَّ أَنْتَ الصَّاحِبُ فِي السَّفَرِ وَالْخَلِيفَةُ فِي الأَهْلِ- اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ وَعْثَاءِ السَّفَرِ وَكَآبَةِ الْمَنْظَرِ وَسُوءِ الْمُنْقَلَبِ فِي الْمَالِ وَالأَهْلِ-

“Subhaan allazi sakhkhara lana haaza wa ma kunna lahu muqrineen wa inna ila Rabbina lamunqaliboon. Allaahumma inna nas’aluka fi safarina haaza al-birra wa’l-taqwa wa min al-‘aml ma tarza.
Allaahumma hawwin ‘alayna safarana haaza watwi ‘anna bu’dahu. Allaahumma anta al-saahib fi’l-safar wa’l-khaleefah fi’l-ahl.
Allaahumma inni a’oozu bika min wa’shaa’ al-safar wa ka’aabat al-manzar wa su’ al-munqalib fi’l-maali wa’l-ahl.”

“Aye Allah! Ham tujh se apne is safar mein neki aur parhez-gari mangte hai aur aise kaam ka sawal karte hai jise tu pasand kare.
Aye Allah! Hum par is safar ko aassan karde aur is ki masafat ko ham par thoda kar de. Aye Allah tu hi safar mein rafeeq e safar aur ghar mein nigraan hai.
Aye Allah! Mai tujh se safar ki taklifo aur ranj o gham se aur apne maal aur ghar walo me bure haal me laut kar aane se teri panah mangta hu.”

Daleel:

Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki Jab bhi RasoolAllah ﷺ kisi safar me jane ke liye apne oont par sawaar hote the toh teen baar Allahu akbar padhte fir ye dua padhte the:

Aye Allah! Ham tujh se apne is safar mein neki aur parhez-gari mangte hai aur aise kaam ka sawal karte hai jise tu pasand kare.

Aye Allah! Hum par is safar ko aassan karde aur is ki masafat ko ham par thoda kar de. Aye Allah tu hi safar mein rafeeq e safar aur ghar mein nigraan hai.

Aye Allah! Mai tujh se safar ki taklifo aur ranj o gham se aur apne maal aur ghar walo me bure haal me laut kar aane se teri panah mangta hu.

Aur jab laut kar aate tab bhi yahi dua karte aur ye dua bhi mila us me mila lete:

Ham lautne wale hai, Tauba karne wale, khaas apne Rab ki ibadat karne wale aur isi ki taareef karne wale hai.

Sahih Muslim, Kitab al Hajj (15), hadith- 3275.

۞ Safar se wapis aane par padhi jane wali Dua:

Dua 1:
 آيِبُونُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ تَائِبُونَ عَابِدُونَ لِرَبِّنَا حَامِدُونَ-

“A’ibuna in shaa Allah, ta’ibuna abiduna lirabbina hamidun.”

“Ham lautne wale hai apne ghar walon me in shaa Allah, tauba karne wale hai, apne Rab ki Ibadat karne wale hai, hamd bayan karne wale hai.”

Daleel:

Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki Jab bhi RasoolAllah ﷺ (safar se) ghar ki taraf palat te to kahte the:

“Ham lautne wale hai apne ghar walon me in shaa Allah, tauba karne wale hai, apne Rab ki Ibadat karne wale hai, hamd bayan karne wale hai.” [ye puri hadees ka ek hissa hai]

Sunan Tirmizi, Kitab ad-daawaat (48), hadith- 3447. Imam Tirmizi ne ise Hasan gareeb aur Shaykh Zubair ali zai ne sahih karar diya hai.

Dua 2:

سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَى رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ- اللَّهُمَّ إِنَّا نَسْأَلُكَ فِي سَفَرِنَا هَذَا الْبِرَّ وَالتَّقْوَى وَمِنَ الْعَمَلِ مَا تَرْضَى اللَّهُمَّ هَوِّنْ عَلَيْنَا سَفَرَنَا هَذَا وَاطْوِ عَنَّا بُعْدَهُ اللَّهُمَّ أَنْتَ الصَّاحِبُ فِي السَّفَرِ وَالْخَلِيفَةُ فِي الأَهْلِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ وَعْثَاءِ السَّفَرِ وَكَآبَةِ الْمَنْظَرِ وَسُوءِ الْمُنْقَلَبِ فِي الْمَالِ وَالأَهْلِ- آيِبُونَ تَائِبُونَ عَابِدُونَ لِرَبِّنَا حَامِدُونَ-

“Subhaan allazi sakhkhara lana haaza wa ma kunna lahu muqrineen wa inna ila Rabbina lamunqaliboon. Allaahumma inna nas’aluka fi safarina haaza al-birra wa’l-taqwa wa min al-‘aml ma tarza.
Allaahumma hawwin ‘alayna safarana haaza watwi ‘anna bu’dahu. Allaahumma anta al-saahib fi’l-safar wa’l-khaleefah fi’l-ahl.
Allaahumma inni a’oozu bika min wa’shaa’ al-safar wa ka’aabat al-manzar wa su’ al-munqalib fi’l-maali wa’l-ahl. Aayiboona taa’iboona ‘aabidoona li rabbina haamidoon.”

“Aye Allah! Ham tujh se apne is safar mein neki aur parhez-gari mangte hai aur aise kaam ka sawal karte hai jise toh pasand kare. Aye Allah! Hum par is safar ko aassan karde aur is ki masafat ko ham par thoda kar de. Aye Allah tu hi safar mein rafeeq e safar aur ghar mein nigraan hai. Aye Allah! Mai tujh se safar ki taklifo aur ranj o gham se aur apne maal aur ghar walo me bure haal me laut kar aane se teri panah mangta hu.
Ham lautne wale hai, Tauba karne wale, khaas apne Rab ki ibadat karne wale aur isi ki taareef karne wale hai.”

Daleel:

Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki Jab bhi RasoolAllah ﷺ kisi safar me jane ke liye apne oont par sawaar hote the toh teen baar Allahu akbar padhte fir ye dua padhte the:

“Aye Allah! Ham tujh se apne is safar mein neki aur parhez-gari mangte hai aur aise kaam ka sawal karte hai jise tu pasand kare.
Aye Allah! Hum par is safar ko aassan karde aur is ki masafat ko ham par thoda kar de. Aye Allah tu hi safar mein rafeeq e safar aur ghar mein nigraan hai.
Aye Allah! Mai tujh se safar ki taklifo aur ranj o gham se aur apne maal aur ghar walo me bure haal me laut kar aane se teri panah mangta hu.
Aur jab laut kar aate tab bhi yahi dua karte aur ye dua us dua me mila lete:
Ham lautne wale hai, Tauba karne wale, khaas apne Rab ki ibadat karne wale aur isi ki taareef karne wale hai.”

Sahih Muslim, Kitab al Hajj (15), hadith- 3275.

•٠•●●•٠•