اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2017

Nazar e Badd ki Dua

Dua:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ

“A’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin.”

“Mai panaah mangta hun Allah ki kamil kalimat ke zarye, har shaitan se aur har zahreele janwar se aur har bure aur nuqsaan pohchane waale nazar e badd se.”

Daleel:

Ibn e Abbas r.a. se riwayat hai ki, RasoolAllah ﷺ Allah se Hasan aur Hussain r.a. ke liye Panaah talab kiya karte the aur farmate the ki
“Tumharey buzurg-dada Ibrahim a.s. bhi Ismaeel aur Ishaq a.s. ke liye inhi kalimat ke zarye Allah ki panaah manga karte the:
“A’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin”


Sahih al-Bukhari,  Kitab al Hadees e Nabawi (60), hadith - 3371.

•٠•●●•٠•