اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Dec 2017

Fajr Ki Namaz Ka Waqt


Shuru ka waqt: Saher ke khatm hone ke fauran baad. [Sunan Tirmizi: Kitab as Salah, Hadith- 149. Ise Imam Tirmizi aur Imam Ibn e Khuzaima ne Saheeh kaha hai.]
Khatm waqt: Suraj nikalne se pahle [Sahih Muslim: al Masaajid, hadith- 1273.]

Tafseer:

Sayyada Aaisha r.a. se riwayat hai: ‘RasoolAllah ﷺ jab namaz e Fajar padhte the, auratei’n (Masjid se Nabi e Akram ﷺ ke saath namaz padh kar) apni chaadaro’n mei’n lipti hui laut‐teei’n to andhre ki wajah se pehchaani na jaati thi.’

Sahih al Bukhari: al Adhaan, hadith- 867. Sahih Muslim: al Masaajid, hadith- 645.

Ma’aloom hua ke Nabi e Rahmat ﷺ andhere me awwal waqt namaz padha karte the. Agarche namaz ka waqt subha saadiq se sooraj tuloo hone tak hai. Leking awwal waqt padhna afzal hai.

Ummul Momineen Ayesha r.a. riwayat karti hai: ‘RasoolAllah ﷺ ne koi namaz us ke aakhri waqt me nahi padhi yaha’n tak ke Allah ne Aapko wafaat de di.’  

Sunan Kubra Baihaqi, V-1 P-430. Mustadrak al Haakim V-1 P-190. Isko Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha. 

Is riwaayat se ma’aloom hua ke Nabi e Kareem ﷺ  hamesha namaz awwal waqt adaa karte the. Albatta ba’az mawaqe par (sharai uzar ki bina par) namaz takhair se bhi adaa ki hai.

RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Awwal waqt namaz padhna afzal amal hai.’ 

Sunan Tirmizee, as Salaah, hadith- 170. Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

•٠•●●•٠•