Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

28 Dec 2017

Aadam a.s. ka Mohammad ﷺ ko waseela banane wali hadees ka baatil hona

HADEES-
( Jab Aadam aleh salam ne ghalti ka irtikaab kya to kahne lagey : Aye mere Rab mein Mohammad sale Allah aleh wasallam ke waaste se sawal karta hun ke mujhe maaf karde, ALLAH tala ne farmaya aye Aadam aleh salam tune Mohammad sale Allah aleh wasallam ko kaise jaan liya halanke main ne abhi tak use paida bhi nahi kya ? toh Adam aleh salam kahne lage aye Rab is liye ke jab tune mujhe apne hath se bana kar rooh phonki to main ne apna sar uthaya to Arsh ke payon par lailaha ila Allah Mohammad rasool Allah likha howa dekha to mjhe ilm hogaya ke Tu apne naam ke sath is ka naam hi lagata hai makhlooq mein se tujhe sab se ziyada mehboob ho, ALLAH tala ne kaha aadam tu sach kah raha hai Mohammad sale Allah aleh wasallam mujhe makhlooq mein sab se ziyada mehboob hain, mujhe is ke waste se pukaro to tujhe maaf karta hon, aur agr Mohammad sale Allah aleh wasallam na hote to main tujhe bhi paida na karta ) .
Yeh Hadees mauzo hai, ise Imam Haakim ne Abdullah bin Muslim Alfahri ke tareeq se bayan karte hain : ismael bin Musalmah unba Abdul Rahman ban Zaid ban aslam an an jadah an Umar Bin khattab razi Allah taala anho qaal rasool Allah sale Allah aleh wasallam : jab aadam aleh salam ne ghalti ka irtikaab kya. .. phir hadees ko unhi alfaaz ke sath zikar kya hai jo ke sayel ne zikr kiya hain .
Imam Haakim ne usay sahih al Isnaad kaha hai.
Imam Haakim Rehma Allah taala ke is qoul ka ulama ikaraam ki kasrat ne taqub kiya aur is hadees ki sahet ka inkaar kiya hai aur is hadees per hukum lagaya hai ke yeh hadees baatil aur mouzu hai, aur yeh bayan kiya hai ke Imam Haakim Rehma Allah taala khud bhi is hadees mein tanaquz ka shikaar hain .
Ulama ke kuch aqwal paish kiye jatay hain :
Imam Haakim Rehma Allah ki kalaam ka imam Rehma Allah taqub karte huye kahte hain : balke yeh hadees mauzo hai aur Abdul Rahman waahi hai aur abdullah bin muslim ka mujhe ilm hi nahi woh kon hai. Aur Meezan ul Aitedal me Imam Zahabi Rehma Allah taala is terhan likhte hain yeh khabar baatil hai.
Aur Hafiz Ibn hijr Rehma Allah taala ne Lisan al mizan main isi qoul ki tayid ki hai .
Aur imam bahqi Rehma Allah taala kahte hain : is tareeq se Abdul Rahman bin Zaid bin aslam ne yeh riwayat mutfrid bayan ki hai aur Abdul Rahman zaeef hai.aur Hafiz Ibne kaseer Rehma Allah taala ne isi qoul ko sahih kaha hai dekhen albidaya wanahaya ( 323 /3 ) .
Aur Allama Albani Rehma Allah tala ne Al zaeefa main use mauzo qarar diya hai dekhen al-sisilat ul zaeefaا ( 25 ).
Aur Imam Haakim – Allah tala inhen maaf farmaye.inhone khud bhi Abdul Rahman bin Zaid ko mutaham boza -al-hadith kaha hai, To ab is ki hadees sahih kaise ho sakti hai?
Sheikh al – Islam Ibn e Tahmiya Rehma Allah tala” Al Qaeda al jalilah fil tosal waseela ( 69 )” main kahte hain :
Aur Imam Haakim ki riwayat inhi riwayaat mai se jis ka un per inkar kiya gaya hai, kyunke unhon ne khud hi kitaab” al madkhal eli marafatul sahi man saqeem ” main kaha hai ke Abdul Rahman bin Zaid bin aslam ne apne baap se mauzo ahadees riwayet ki hain jo ke ahale ilm main se ghor-o-fikar karne walon per makhfi nahi is ka gunah is par hi hai, main kahta hun ke Abdul Rahman bin Zaid bin aslam bil ittfaq zaeef hai aur bahut ziyada ghalatiyan karta hai. dekhen” silsila Zaeefa albani Rehma Allah (38 – 47/1 ) .
wallahu Aalm .
•٠•●●•٠•
Prepared By: A.Sayed.

Post a Comment