Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

26 Dec 2017

Ashura Ka Roza

۞ Sab Rozo Main Afzal Ramadan Ka Roza, Aur Uske Baad Muharram Ka Roza Hai:

۩ Abu Hurairah r.a. say riwayat hain kay, RasoolAllah ﷺ ne farmaya,
“Sab Rozo main afzal ramadan ka roza, aur uske baad Muharram ka roza hain, jo Allah ka mahina hain aur baad namaz-e-farz ke Tahajjud ki namaz hai.”

Sahih Muslim, jild- 3, hadees- 2755.

۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke, ek sahib RasoolAllah ﷺ ke khidmat me hazir hokar arz karney lage ke, “Ramadan ke baad sabsey ziyada fazilat kaun se rozey ki hain, toh Aap ﷺ nay farmaya, “Allah tala ka mahina jise tum Muharram kahte ho”. 

Sunan ibn Majah, jild- 1, hadees- 1742. Ise darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۞ Muharram Ke Roze Ki Shuruat Aur Iski Taarikhi Pashmanzar:

۩ Abdullah bin abbas r.a. se riwayat hain ke jab RasoolAllah ﷺ Madine me tashreef laye toh yahudiyon ko dekha ke aashurey ke din ka roza rakhte hain, logo ne un se pucha ki kyun roza rakhte hai, toh unhone kaha ki ye wo din hain jab Allah ta’ala ne Musa (alaihis salaam) aur Bani Israeel ko firoun par galba (victory) diya isliye aaj hum roze se hai, iski taazeem ke liye, toh Nabi-e-kareem ﷺ ne farmaya: “Hum tum se zyada dost hai aur kareeb hain Musa (alaihi salam) ke, fir Aap ﷺ ne is (10 muharram) roze ka  hukm diya.

Sahih-Muslim, jild- 3, hadees- 2656.

۞ Aashura Ke Roze Ki Fazilat:

۩ Abu Qatada al-ansari r.a. se riwayat hai ki Nabi ﷺ se Ashura (10 Muharram) ke din ke roze ke bare mein pucha to Aap ﷺ ne faramaya, “Ye guzrey hue saal ke gunahon ka kaffara hai.” 

Sahih-Muslim, jild- 3, kitab- 6 (Roze ka Masayel), hadees- 2747.

۞ Aksar Logon ko ye Doubt rahta hai ke kya 10 Muharram ka Ek hi Roza rakhna chahiye ya Do rakhna hai? Iska Jawab Hadees ke mafhoom se maloom karte hai:

۩ Abdullah ibn Abbas r.a. se riwayat hai ki jab Rasoolallah ﷺ ne Aashurey ke din (10 Muharram) roza rakha aur huqm (order) kiya is rozey ka, toh logo ne arz, “Ya RasoolAllah ﷺ ye din toh aisa hai ki Yahud aur Nasara iski taazim karte hain”?
To Aap ﷺ ne farmaya ki : “Jab agla saal aayega to in shaa Allah hum 9 ka roza rakhenge”. Aakhir agla saal na aane paya ki Aap ﷺ ki wafaat ho gai.”

Sahih Muslim, jild- 3, hadees- 2666.

Yaani Ahle kitab ke amal se alag karne ke liye 9 aur 10 dono ka roza rakha jaye kyuki ahle kitab sirf 10 Muharram ka roza rakhte the.

Allah taala kahne sunne se ziyada amal karne ki taufeeq ata farmaye. aameen

Post a Comment