Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

April Fool


1st April ke din boht log ek dusre se jhuth bolte hai, ek dusre ko bewakuf banaya jata hai, ek dusre ko pareshan kiya jata hai, aur pareshan kar ke khushi manai jati hai. Aj kal Muslim Ummah me bhi kai log is gunah e kabira se jude hue hai. Allah pak farmate hai:

Allah ﷻ farmate hai, 

“Unke dilo mein ek bimari hai jise Allah ne aur zyada badha diya, aur unke liye dardnaak aazaab hai, is wajah se ki wo jhuth kahte the.”

Surah Baqarah ﴾2﴿, ayat-10.

۩ Abdullah bin Masud r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Sach neki hai aur neki Jannat ki taraf le jati hai aur bandah puri koshish se sach bolta rahta hai hatta ke wo Allah taa'la ke nazdeek Siddiq (sachha) likh diya jata hai aur jhuth fahaashi hai aur fahaashi jahannam ki taraf le jati hai aur bandah jhuth bolta rahta hai hatta ke use jhutha likh diya jata hai.”

Sahih Muslim, hadith- 6638. 

۩ Rasool ﷺ ne irshaad farmaya: “Kisi bande ka eemaan mukammal nahi ho sakta jab tak ke hasi-mazaak me bhi jhuth ko na chhode.”

Musnad Imam Ahmad, hadith- 8630.

۩ Rasool ﷺ ne irshaad farmaya: “Jo logo ko hasane ke liye jhuth bole us ke liye halaakat hai, us ke liye halaakat hai, us ke liye halaakat hai.”

Jamia Tirmizi, hadith- 2315. Hasan (Darussalam)

۩ Rasool ﷺ ne irshaad farmaya: “Main us shakhs ke liye Jannat ke bich me ghar ki zamaanat leta hu, jo jhuth ko chhod de, agarche mazaak me hi kyu na ho.”

Sunan Abu dawood, hadith- 4800. (Hasan)

۩ Rasool ﷺ ne irshaad farmaya: “Aadmi ke jhutha hone ke liye yahi kaafi hai ke wo har suni sunaai baat ko aage bayan karde.”

Sahih Muslim, hadith- 8.

•٠•●●•٠•

Allah ham sabko jhuth bolne se bachaye. aameen.

Post a Comment