Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Ataai, Gair-mustakil Biz-zaat Aur Mahdud Ka Fark


Allah ne insano ki chand sifaat ko apni sifat e kamil ka mazhar banaya hai. Masalan niche di gai ayat me batayi gai insan ki sifat e ataai, gair-mustakil bizzaat aur mahdud hai aur Allah ‎ﷻ ki sifat e kamil mukhtalif hai. Isi liye sirf Samee' aur Baseer ke alfaz ek jaise hone se shirk nahi hoga. Allah ‎ﷻ farmate hai,

إِنَّا خَلَقْنَا الْإِنسَانَ مِن نُّطْفَةٍ أَمْشَاجٍ نَّبْتَلِيهِ فَجَعَلْنَاهُ سَمِيعًا بَصِيرًا

Beshak Hamne insan ko mile jule nutfe se paida kiya taaki unko azmaye. Pas ise Samee' aur Baseer (Yani sunne aur dekhne wala) bana diya.

Surah 76, ayat-2.

Magar jo sifat e kamila Allah ‎ﷻ ne apne liye khas farma liya hai masalan Ibadat aur Gaib me Madad ke liye pukarna, Yaani Dua ko in sifaat ko ataai, gair mustakil bizzaat aur mahdud ka fark rakhne ke bawujud makhluq me manna khalisatan shirk hai aur na-kabile muafi gunah hai. Is wajah se haqiqat ko samajhne ke liye niche di gai hadith par gaur farmaye:

Abdullah bin Abbas r.a. se riwayat hai ki ek sahabi r.a. Ap ﷺ ki khidmat me hazir hue aur arz kiya,
"Jo Allaah Chahe Aur Jo Aap Chahe”. Nabi ‎ﷺ Ne Farmaya, "Tum Ne To Mujhe Allaah Ke Barabar Bana diya. Balke ye Kaho, "Jo Allaah Akela Chahe"

Musnad Imam Ahmad, Jild 1, Hadith no: 3247.

Ab is hadith par gaur karne se ye haqiqat bilkul wazeh ho jati hai ki wo Sahabi ne yakeenan RasoolAllah ﷺ ko ataai ikhtiyar ka malik aur gair mustakil bizzat ka aqidah rakh kar hi to kaha tha, magar apne use shirk karar diya aur us sahabi ki islah farmayi.  Hamari aakhe kholne ke liye ek hi misaal kafi hai alhamdulillah.
Allah se dua hai ki wo hame Kitab wa sunnat par gaur o fikr karne ki taufeek de. aameen.
Related:
۩ Dua Ek Ibadat hai

Post a Comment