RasoolAllah ﷺ ne farmaya “Namaz us tarah padho jis tarah mujhe padhte hue dekha.”
Sahih al Bukhari, 604.
RasoolAllah ﷺ ki kisi bhi sahih riwayat me ye nahi hai ki mard aur aurat ki namaz me fark hai. Agar sahih hadith aur salaf ke amal ko dekha jaye to yahi pata chalta hai ki mard aur aurat ki namaz me koi fark nahi hai. Dono ke namaz ke tarike yaksa hai.
۞ Ulma e Deen ki Raae(opinion) kuch aisi hai:
Imam Bukhari (rah) sahih sanad ke sath Umm e Darda r.a. ka amal bayan karte hai ki wo (namaz me) mardo ki tarha baithti thi. [Al-Tarikh Al-Saghir Al-Bukhari 90]
Ibrahim Al-Nakhai (rah) - "Aurto ko namaz me mardo ke tarah baithna chaiye." [ Ibn e Abi Shaybah 1/170 ]
Ibn e Hazm (rah) - "Mard aur aurat ki namaz me koi fark nahi hai." [Al-Mahalla 3/37]
Ibn-e-Hajar (rah) - "Mard aur Aurat ke Takbeer ke dauran hath uthane me koi fark nahi hai." [Fath Ul Bari 2/222]
Ibn-e-Qudaima (rah) - "Haqiqat me, mard aur aurat ki namaz me ek hi hukm hai siwae ye ki aurat ke liye ruku aur sujood me khud ko dhakna mustahab hai " [Al-Mughni 2/258]
Imam Nawawi (rah) - "Aurto ko mardo ki taarha apne hatho ko seene par rakhna chaiye" [ Sharh Muslim 1/195 ]
Imam Behaqay (Rah) ne pura baab(chapter) likha hai Sunan al Kubra me "Namaz me seene par Hath rakhna sunnah hai"
Shaykh Nasir ud din Al Albani (Rah) ne kaha
Imam Bukhari ne bhi at-Taareekh as-Sagheer (p. 95) me saheeh sanad ke sath Umm ad-Dardaa' se riwayat kiya hai ki “ wo namaz me usi tarah baithti thi jis tarah mard baithte hai", aur wo samajhdar (aql wali) aurat thi.
Post a Comment