Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Aurto Ka Masjid Jana


RasoolAllah ﷺ ne Khawateen ko masjid aane ki ijazat di hai aur mardo ko hukum diya hai ke wo apni biwiyon ko masjid janay se na roke. Farmane Rasool ﷺ hai:

1. "Izas taazantim raata ahdikum falaa yamna'haa." 
Tarjuma:-Ager tum may se kisi ki biwi is se masjid jane ki ijazat talab kare to wo use mat roke, ijazat de de.

SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #824)

2. Ibne Umar(R) se riwayat hi k Nabi kareem ﷺ ne farmaya "Izas Tazanakum Nisaawukum bil laili ilal Masjidi fazanoo lahunna."
 Tarjuma:-Ager tumhari auraten tum say raat ke waqt masjid me jane ki ijazat talab karen to tum log unhe uski ijazat de diya karo.

SAHIH BUKHARI (Volume 2, Book 13, Hadith 22)

3. RasoolAllah ﷺ ka farman hai "Laa tamnawoo ima'a Allahi masajidAllahi."
Tarjuma:-ALLAH ki bandiyon ko ALLAH K Gharon(Masajid) say mat roko.

SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 886)

Is tarah ki aur bhi kai sahih Ahadees moujood hain.

Jab RasoolAllah ﷺ ne Aurato ko masajid may aane say nahi roka to phir humara kya huq hai unko rokne ka. ALLAH hum sub musalmano ko ALLAH aur USKE Rasool ﷺ ke ahkamat per amal kerne aur amal kerwane ki Towfeeq ata farmaye.Aameen ya Rabbul Aalamin.

۩ AURTO KA AZAN DENA AUR IQAMAT KAHNA:

Aurat sirf aurto ki jamaat ke liye azan de sakti hai. Ya jab wo khud namaz akele me padhti ho.  Aurat ko ijazat hai ki wo sirf apne aurat ki jamat ke liye hi azan de sakti hai. Lekin yahi baat mard ke liye nahi hai. Mardo ke liye ye khas zor dekar ye mustahab hai jaha tak aurto ke liye ye kare to jayz hai aur na kare to bhi jayz hai. Agar aurat azan deti hai use apni awaz niche rakhni chaiye aur sirf utna hi awaz buland karna chaiye jitna jamaat ki aurte sun sake. Sahih ahadiths me hai ki  Umm Salamah r.a. aur Aisha r.a. aurto ki imamat karti thi:

"Hazrat Aaisha r.a. azan kaheti thi aur iqamat aur fir imamat karati thin aur aurton ke darmiyan khadi hoti thi"

(Mustadrak haakim j. 1, page 204, Kitabus salat bab imamatal maratun nisa fil faraiz, AUR Abu dawood p. 1/87)

Note: Abu dawood ki riwayat me umme warqa razi ko Rasool ﷺ ne khud jamat karane ka hukm diya hai aur musdarak hakim ki riwayat me farz namaz ka bhi zikr hai ke wo imamat bhi farz

Arabic ref: بیہقی #٤٠٨/١ .......حاکم #٢٠٣/١ ........ابن ابی شیبہ #٢٢٣/١

۩ AURTON KI IMAMAT KA MASLA

 "Nabi sws ne Umme Warqa ko apne ghar walon ki Imamat karane ka huqm diya”

Sunan Abi Dawud 592 (hasan).

“Hazrat Aisha r.a. Tahira r.a. ke beech me khadi hokar aurton ki imamat karti thi”

(Mustardark haakim, baab imamatul imraat)

Ra’itah Al-Hanafiyyah riwayat karte hai ki Ayesha r.a. kahti hai ki wo Aurto ki Imamat karti thi aur har Farz namaz me unlogo ke sath khadi hoti thi.

Abdur-Raziq (5086), Ad-Daraqutni (1/404) and Al-Bayhaqi (3/131)

۩ Par Jab bhi aurat namaz padhti hai kisi jagah par wo jagah jitna hi poshida ho utna hi behtar hai isliye Aurto ki namaz unki masjid se behtar unke ghar me hai:

Abd Allah kahte hai ki RasoolALlah ﷺ ne farmaya Ek aurat ki namaz aagan se behtar uske ghar me hai aur uske ghar se behtar uske kamre me hai.

ABU DAWOOD (Book 2, Hadith 567) See also Saheeh al-Jaami’, no. 3833..

Abdullah Bin Mas’ud riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya aurto ke liye apne aagan me padhne se behtar hai ki wo apne gharo me padhe aur apne ghar me padhne se behtar hai ki wo apne poshida jagah par padhe.

ABU DAWOOD (Book 2, Hadith 570)

۩ AURAT KA NAMAZ E EID KE LIYE GHAR SE BAHIR NIKALNA JAIZ HAI!

Eidain ki namaz ke liye auraton ka ghar se bahir jana mashro hai, aurton ko iski khas tour per takeed ki gaye hai:

Umm-e-Atiya r.a. farmati hain ke "Hume namaz eid ke liye jany ka hukm diya jata tha, yahan tak ke hum kanwari bachiyon, perdah nasheen larkiyon aur haiza aurton ko bhi sath le jaya karte the taa-ke woh musalmano ke sath mil ke takribat parhain aur inki duaon mai shirkat karen aur is din ke fiyoz-o-barkaat ki umeed rakhen.

Sahih al Bukhari' hadis:324'wa sahi muslim'hadis:890.

Jahan tak haiza aurton ka ta'aluq hai to woh eid gaah mai namaz ki jagah sy alag reh ker kher-o-barakat aur musalmano ki duaon mai shirkat karen. is per Umm-e-Atiya R.A. ny kaha: "Aye Allah k Rasool ! Agar hum mai sy kisi ke pass chadar na ho to phir? App (S.A.W) ny farmaya: "Iski bahen isse apni chader pehna dey."

Sahih muslim'hadis:(12)-890.

Wajeh rahi ke namaz Eid ke liye jate waqt aurton ko khushbo aur fitna angaiz zaib-o-zeenat se ijtanab kerna chahye aur intehai sadgi k saath mardon sy alag thalag rehty huway bahir nikalna chahye. (Shiekh ibn Baaz) 
Kyunki Rasool Allah ﷺ ka irshad garami hai: "Jab tum mai sy koi aurat masjid mai (Namaz k liye) hazir ho to khushbo mat lagay."

[Sahih muslim'hadis:(142)-443.]

aur Hazrat Abu Mosa r.a. ki ravayat mai hai:

"Jab koi aurat khusbu laga kar kisi qaum k pass sy is liye guzrey k woh is ki khusbo ko mehsoos karen to woh aurat aisi aisi, yani zania hai."
[Sunan Abi daud, hadis:4173.]

۩ EIDGAAH ME AURTON KO NAMAZ KA HUQM

" RasulAllah ﷺ sahaba aur sahabiyaat ko (yahan tak ki haiz waali aurat ko bhi) saath lekar eidgaah ki taraf jaate, aapki eidgaah masjid e nabwi se hazaar feet ke faasle par Thi(fathul bari), yeh eidgaah baqi ki taraf thi"
(Sahih Bukhari fatah,2/465, hadith 976, kitabul eidain)

۩ LEKIN SATH ME KUCH SHARTE BHI HAI AURTO KO MASJID JANE KE LIYE:

1) Use pure Hijab me hona chaiye [for details refer to Al-Qur’an [SURAH AN NUR 24 VERSE 31]]

2) Use Khushboo laga kar nai jana chaiye.[for details refer to SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 892, 893, 894)]

3) Use apne Shauhar se ijazat lena chaiye. Uske bahar nikalne se kisi tarah ki mamnoo chize shamil nai honi chaiye jaise na-mehram driver ke sath akele car me hona wagaira. Agar Aurat kuch galat karti hai to uske shauhar ka pura haq hai use rokne ke liye balki uska farz hai rokna. 

4) Aurto ko Aadmiyo se pahle masjid se nikalna chaiye.[for details refer to SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #799, 809, 825, 829)]

5) Ek doosra darwaze ka intzam hona chaiye Masjid me sirf Aurto ke aane aur jaane ke liye.[for details refer to ABU DAWOOD ( Book 2, Hadith 484)]

Post a Comment