اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Azaan Ka Jawab Aaur Us Ke Baad Ki Duae


Azaan Ka Jawab:

Umar Farooq رضي الله عنه riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya:

‘Jab muezzin kahe Allahu Akbar pas tum bhi kaho Allahu Akbar,

Phir jab muezzin kahe Ashhadu alla ilaaha illallah to tum bhi kaho Ashhadu alla ilaaha illallah,

Phir jab muezzin kahe Ashhadu anna Muhammadur Rasool Allah tum bhi kaho Ashhadu anna Muhammadur Rasool Allah,

Phir jab muezzin kahe Haiyya A’alas Salaah to tum kaho Laa Haula Wala Qhuwwata Illa Billah,

Phir jab muazzin kahe Haiyya A’alal Falaah to tum kaho Laa Haula Wala Qhuwwata Illa Billah,

Phir jab muazzin kahe Allahu Akbar pas tum bhi kaho Allahu Akbar,

Phir jab muazzin kahe Laa Ilaaha illallah to tum kaho Laa Ilaaha illallah

Jo shaqs apne sadq dil se muazzin ke kalimat ka jawab dega to (jawab ki barkat se) bahisht (T: Jannat) mein daaqhil hojaaega.’

Sahih Muslim, kitab al Salah, hadees- 385.


۞ Azan ke baad ki duae:

۩ Abdullah bin Umru bin A’aas رضي الله عنه riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab tum muazzin (ki awaz) suno to tum muazzin ko jawab do aur jab azan khatam ho jaae to phir mujh par darood bhejo pas jo mujh par ek baar darood bhejta hai Allah is par 10 baar rahmat bhejta hai.’ 

(Sahih Muslim, kitab al Salah, hadees- 384.

Pas sab musalman mardo’n aur aurato’n ko chahiey ke jab muazzin azan khatam kare to 1 baar darood shareef padhe:

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ، اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ، وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ-

Allahumma Sau‐lli A’ala Muhammadin waA’ala Aaali Muhammadin Kama Sau‐llaita A’alaa Ibrahima waA’ala Aaali Ibrahiman Innaka Hameedum Majeed.
Allahumma Baarik A’ala Muhammadin waA’ala Aaali Muhammadin Kama Baarakta A’alaa Ibrahima waA’ala Aaali Ibrahiman Innaka Hameedum Majeed.

Aye Allah Rahmat bhej Muhammad aur aale Muhammad par jaise rahmat bheji Tune Ibrahim aur aale Ibrahim par
beshat Tu ta’areef kiya gaya, buzrugi wala hai.
Ya Ilaahi barkat bhej Muhammad aur aale Muhammad par jaise barkat bheji Tune Ibrahim aur aale Ibraheem par beshak Tu ta’areef ke layak, buzrugi wala hai.

(Bukahri: Ahadees al Ambiya 3370 – Muslim 406)

۞ Jabir riwayat رضي الله عنه karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs (azan ka jawab de aur phir) azan khatam hone par ye dua padhe iske liyd qayamat ke din meri shafa’at waajib hojati hai.

اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ، وَالصَّلَاةِ الْقَائِمَةِ، آتِ مُحَمَّداً الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَاماً مَحْمُوداً الَّذِي وَعَدْتَهُ-

Allahumma Rabba Haazihid Da’awatit Taammati wa Saulaatil Qaaimah Aaati Muhammadal Waseela wal Fadheela Waba’asu Maqaamam Mahmoodallazi wa A(d)tta. (T: here ‘D’ is silent)

Is poori pukar (azan) ke aur (qiyamat tak) qaem rehne wali namaz ke Rab! Muhammad ko waseela aur buzrugi ataa farma aur inhei’n maqaam e mehmood mein paho’ncha jiska tune inse wa’ada kiya hai.

(Bukhari: al Azan 614)

Waseela Ki Tashreeh: Waseela ke muta’alliq khud RasoolAllah ﷺ farmate hain: ‘Tehqeeq waseela bahisht mein ek darja hai jo sirf ek bande ke laaeq hai aur main ummeed rakhta hu’n ke wo banda main hi hu’n. Pas jis ne (azan ki dua padhkar) Allah se mere liey waseela maanga iske liey (meri) shafa’at waajib hogai.’

Sahih Muslim, kitab al Salah, hadees- 384.

Nabi e Rahmat ke irshad se maloom hua ke waseela bahisht mein ek buland o baala darje ka naam hai.

Dua e Azan mein Izaafa:

Masnoon duae azan mein baaz logo’n ne chand alfaz badha rakhe hain aur wo alfaz marwajja kutub e namaz mein bhi maujood hain. Duae mason ke jumla (wal Fadheela) ke baad wad Darajatar Rafea’ah ki ziyadati karte hain aura age wa A(d)tta ke qhalis doodh mein (warzuqhna Shafa’ah Yaumal Qiyaama) ka paani mila rakha hai aur phir akheer mein masnoon dua ke andar Ya Arhamur Rahimeen ke amezish (T: has been mixed) hai.
Afsos! Kya Nabi ki farmooda dua mien ye kami rehgai thee jo baad ke logo’n ne apne izaafe se poori ki hai?
Musalmano’n ko Rasool Allah ﷺ ke farman paak mein kami ya beshi karne ke tasawwur se kaa’np uthna chahiye.

Nabi e Akram ne raat o baa wuzu hokar sone se pehle padhne ke liey ek dua bataai. Baraa bin A’azib ne padh kar sunai to (Bi Nabiyyika) ki jagah (Bi Rasoolika) ya’ani Nabi ki jagah Rasool kaha, to Nabi e Rahmat ne farmaya ke mere batae hue lafz Nabi ko Rasool se mat badlo balke (Bi Nabiyyika) hi kaho.

(Bukhari: al Wuzu 247 – Muslim: al Zikr wa Ad‐Dua 2710)

Isse maloom hua ke masnoon duaei’n aur wird Tauqheefi (Allah ki taraf se) hain aur inki haisiyat ibaadat ki hai lehaza in mein kami beshi jaaez nahi, lehaza (kisi qareena ya daleel ke baghair) mutakallim ke seeghe to jama’a ke seeghe se badalna durust nahi hai iski bajaae behtar ye hai ke mutakallim ka seegha hi bola jaae albatta niyyat mein ye rakha jae ke main yehi dua falaa’n falaa’n ke haq mein bhi kar raha hu’n. Nez masnoon duao’n aur auraad ke hote hue qhud saaqhta Arbi duao’n, wazeefo’n aur daroodo’n ka iltezam karna durust nahi hai aur agar inke kuch alfaz Shirk, Kufr ya Bidat par mushtamil ho’n to is surat mein inka padhna katai taur par Haraam hojata hai, lekin afsos ke jaahil log rozana A’alas Subha (T: early morning) paabandi ke sath
Darood e Taaj, Darood e Lekhi aur Darood e Hazaari waghair ki ‘tilaawat’ karte hain. Allah ham sab ko hidayat de. Aameen.

۞ Sa’ad bin Abi Waqqas r.a. riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs muazzin (ki azan) sunkar ye dua padhe to iske gunah baqsh deiy jae’nge.

Dua ye hai:

Ashadu alla ilaaha illal lahu wahdahu laa shareeka lahu wa anna Muhammadan A’abduhu wa Rasooluhu, Razeetu billahi rabbaou’n wa biMuhammadin Rasoola wa bil Islaami deena.’

Main gawaahi deta hu’n ke Allah ke siwa koi (saccha) ma’abood nahi woe k hai iska koi shareek nahi aur tehqheeq Muhammad iske bande aur Rasool hain. Main Allah ke Rab hone aur Muhammad ke Rasool hone aur Islam ke Deen hone par raazi hu.

Sahih Muslim, kitab al Salah, hadees- 386.