Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Beautiful Hadiths


1۩ Abdullah bin masood r.a. se riwayat hai ki mainey Rasoolullah ﷺ se pucha ki deen ke muaamley mein kaun sa amal afzal hai Aap ﷺ ne farmaya ki waqt par namaz Parhna, mainey pucha uskey baad Aap ﷺ ne farmaya ki Waldein ke saath neik suluq karna, mainey pucha uskey baad Aap ﷺ ne farmaya Allah ke raastey mein jihad karna.

Sahih Bukhari, Vol 4, 2782.

2۩ Mohammad ﷺ ne farmaya ki Momin ka ajab(boht achha) haal hai ke jab ALLAH usey nemat bakshta hai to wo shukr karta hai aur ispe isko sawab milta hai aur jab Allah use aazmata hai aur uspe taklif dalta hai tab wo sabr karta hai aur ispe bhi isko sawab milta hai.

Sahih Muslim, Book 042, Number 7138.

3۩ Anas bin Malik r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Koi bhi musalman jo ek darkht ka paudha(small tree) lagaye ya khet mein beej boye phir us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai.

Sahih Bukhari, Vol 3, 2320.

4۩ Huzaifa r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya, “Gujishta ummaton ke kisi shaksh ki rooh ke paas farishte aaaye aur pucha ki tune kuch achhey kaam bhi kiye hain? Rooh ne jawab diya ki main apne naukaro se kaha karta tha ki wo maaldaar logo ko (jo unke karzdaar hai) mohlat de diya kare aur un par sakhti na kare aur mohtaajon (ka karz) muaf kar diya karein.

Fir farishton ne bhi us se darguzar ki aur sakhti nahi ki.”

Sahih al Bukhari, kitab al buyu ﴾34﴿, hadith- 2077.

5۩ Anas bin Malik r.a. Rasoolullah ﷺ ne farmaya jo shaksh apni Rozi mein kushadgi chahta ho ya umar darazi chahta ho to usey chahiye ki Sila rahmi (keep good relations with his relatives) karey.

Sahih Bukhari, Vol 3, 2067.

6۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya agar aurat apney Shohar ki kamayee uski ejazat ke bagair bhi ( Allah ke raastey mein) kharch karey to usey Aadha sawab milta hai.

Sahih Bukhari, Vol 3, 2066.

7۩ Ummul Momeneen Hazrat aayesha r.a.ne arz kiya Ya Rasoolullah ﷺ mere 2 Padosi (neighbor) hai to mujhe kiskey ghar hadiya bhejna chahiye Aap ﷺ ne farmaya jiska darwaza tumse kareeb hai.

Sahih Bukhari, Vol 4, 2595.

8۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jab kisi ka ghulam (naukar) khana laye aur wo usey apney saath na bitha sakey to usey ek ya do niwaley Zarur khila de kyunki usney isko(khaney ko) tayyar karney ki takleef uthayee hai. 

Sahih Bukhari, Vol 4, 2557.

9۩ Jubair bin Mutim Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Qataa Rahmi karney wala (Rishtey todney wala) jannat mein nahi jayega.

Sahih Bukhari, 5984

10۩ Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Ek Aurat ko azab is wajah se hua kyunki usney ek billi ko itni der tak baandh kar rakha tha ki wo bhook se mar gayee aur wo Aurat isi wajah se Dozakh mein dakhil huyee. Rasoolullah ﷺ ne faramaya ki Allah taala ne us sey kaha tha { Aur allah hi jiyada janta hai } ki jab tuney us Billi ko baand kar rakha us waqt na tuney usey kuch khilaya aur na kuch pilaya aur na usey chod ki wo zameen ke keedey makodey hi kha kar apna pet bhar leti.

Sahih Bukhari, Vol 3 , 2365.

11۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya ek shakhsh ja raha tha ki usey sakht piyas lagi usney ek kunwey mein utar kar paani peeya phir bahar aaya to dekha ki ek Kutta(dog) haanf raha hai aur pyas ki wajah se keechad chaat raha hai usney (apney dil mein) kaha ki ye bhi is waqt aisey hi pyas mein mubtala hai jaisey abhi mujhe lagi huyee thi (wo phir se kunwey mein utra) apney jutey ko bhar kar usey apney daanto se pakdey huye upar aaya aur kuttey ko pani pilaya Allah taala ne uskey is kaam ko qubul kiya aur uski maghfirat farmayee Sahaba ne arz kiya Ya Rasoolullah ﷺ kya humein chopayo (animals) par bhi ajar milega Aap ﷺ ne farmaya har jaandar mein sawab hai.

Sahih Bukhari, Vol 3 , 2363.

12۩ Anas bin Malik r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Koi bhi musalman jo ek darkht ka paudha(small tree) lagaye ya khet mein beej boye phir us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai.

Sahih Bukhari, Vol 3, 2320.

13۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki Allah taala ka farman hai teen tarah ke log aisey hain jika Qayamat ke din main khud Muddaii banuga ek to wo shkash jisney mere naam par ahad (vada) kiya aur phir wada khilafi ki,
Dusra wo shaksh jisney kisi Aazad aadmee ko bech kar uski Qeemat khayee,
Teesra wo shaksh jisney kisi ko majdur kiya phir kaam to us sey pura kiya lekin uski majduri na di.

Sahih Bukhari, Vol 3, 2270.

14۩ Ayesha r.a. se riwayat hai ki mainey pucha Ya Rasoolullah ﷺ mere Do Padosi hain unmein se kiskey paas mein Hadiya (Gift) bheju, To Aap ﷺ ne farmaya jiska darwaza tujhse jiyada kareeb hai.

Sahih Bukhari, Vol 3,2259.

15۩ Ayesha r.a.se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Allah ke nazdeek sabse bura shkash wo hai jo sakht jhagdalu( faltu ki ladaii karne wala) ho.

Sahih Bukhari, Vol 8, 7188.

16۩ Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya logo mein sabse badtareen shaksh wo hai jo Do rukha (daugla) hai jiska kuch logon ke samney ek rukh hota hai aur dusrey logon ke samney dusrey rukh se milta hai.

Sahih Bukhari, Vol 8, 7179.

17۩ Maqil r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ Wasallam ne farmaya jab Allah kisi bandey ko kisi riwaayat (yani kisi jagah ke logon ka) ka hakim (ruler) banata hai aur wo imandari ke saath uski hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi payega.

Sahih Bukhari, Vol 8, 7150.

18۩ Ibn Abbas r.a. se riwayat hai ki unhoney nabee ﷺ se suna ki koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey aur koi aurat us waqt tak safar na karey jab tak uskey saath uska mahram na ho itney mein ek sahabi khadey huye aur farmaya Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam mainey falah jihad mein apna naam likhwa diya hai aur meri Biwi hajj ke liye ja rahi hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tu bhi uskey saath hajj ke liye ja.

Sahih Bukhari, Vol 4, 3006.

19۩ Ayesha r.a. se riwayat hai ki Rasoolullahu ﷺ juta (shoe) pahanney, kanghi karne , wudhu karney aur apney har kaam mein dahiney taraf se kaam ki Ibtida karney ko pasand kartey they. 

Sahih Bukhari, Vol 1, 168.

20۩ Abdullah bin Saad r.a. kahte hai k mai ne Nabi ﷺ se poocha ke Nafil Namazein ghar mai padhna afzal hai ya Masjid mai? Nabi ﷺ ne farmaya k tum dekhtey hoo k MERA gharMasjid sey kitna kareeb hai, lekin is k bawajood Farz Namazo k Alawa Mujhe Nafil Namzein apne ghar mai padhna zyada pasand hai.

Shamail-Tirmizi: 276.

21۩ Mohammad ﷺ ne farmaya ki Jo Shakhs Kisi Ko Naiki Ka Rasta Bataa’ay Ga, To Usay Bhi Utna Hi Sawaab Milayega Jitna Us Par Amal Krnay Walay Ko.

Sahih Muslim, Hadees 1893.

22۩ Mohammad ﷺ ne farmaya ki jannat me chugalkhor nahi jayega.

Sahih al bukhar, hadith-6056.

23۩ Mohammad ﷺ ne farmaya ki Agar Allah kisi ke sath bhalai ka irada karna chahta hai to use deen ki samajh ata kardeta hai.

Sahih al bukhari,vol 1, hadith-71.

24۩ Hazrat Anas bin malik r.a. se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jab raat ka khana samney rakh diya gaya ho aur Namaz bhi khadi ho gayee ho to pahley khana khao.

Sahih Bukhari, 5463.

25۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jumaa mein 3 tarah ke log aatey hain, ek to wo jo waha aakar behuda baat karey, uska hissa yahihai(yani usko kuch sawab na milega) aur dusra wo hai jo wahan aakar Allah Subhanahu se Dua karey agar Allah chahega to uski Dua Qubul karega aur chahega to nahi karega, aur teesra wo haijo wahan aakar khamoshi se baith jaye na logon ki gardanein faand kar (over the neck) aagey badey aur na kisi ko takleef pahuchaye to uska ye amal is jumaa se lekar agli jumaa tak bulki aur teen deen ziyada tak ke liye gunaahon ka kaffara ban jayega, kyunki Allah subhanahu ka irshaad hai ki jo shaksh ek neki karta hai usko 10 gunaa sawab milega .

Sunan Abu Dawud, hadith-1101 .

26۩ Adi bin Hatim r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya, “Apne ap ko jahannam ke aag se bachao wo kyu na aadhi khajur hi dekar ho aur agar wo bhi nai ho sakta to achhi baat karke.”

Sahih al Bukhari, kitabul zakaat ﴾24﴿, hadith-1417.

27۩ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, 'Tumhe maalum hai gareeb kaun hai?' Sahaba r.a. ne arz kia, ham to gareeb us ko samjhte hai jis ke paas rupya-paisa aur saaz o saamaan na ho.

Rasool ﷺ ne farmaya, “Meri ummat me gareeb wo shaksh hoga jo qayamat ke din namaz, roza aur zakat ke sath aayga magar us ne kisi ko gali di hogi, kisi par jhuta-ilzam lagaya hoga, kisi ka maaal hadap kiya hoga, kisi ka khoon bahaya hoga, kisi ko maara hoga, chunache us ne jin jin logon ki haq talfi ki ho gi unhe us ki nekiya de di jayengi. Aur agar uski nekiya kam pad jaye toh fir in logo ke gunaah la kar us par laad diya jayega . Aur use dozakh me fenk diya jayega.”

Sahih Muslim, Book of virtue, enjoining good manners, and joining of the ties of kinship ﴾45﴿, hadith- 6579.

28۩ Rasoolullah ﷺ jab mimber pe chadhe to pahle kadam pe aamin ka, fir dusre qadam pe bhi aameen kaha aur teesre kadam pe bhi aameen kaha. To sahabao ne iski wajah puchi nabi ﷺ se. To fir ap ﷺ ne irshad farmaya ki pahle kadam pe jibreel a.s. ne kaha ki lanat ho us shaks par jisne ramzaan ka mahina pa kar bhi Allah ki bakshish na pa saka. Phir ap ﷺ ne aameen kaha. Fir dusre kadam pe jibreel a.s. ne kaha ki lanat ho us shaks par jisene ap ka naam suna aur ap par durood o salam na bheja, fir ap ﷺ ne aameen kaha. Aur teesre kadam pe jibreel a.s. ne kaha ki lanat ho us shaks par jisne apne maa-baap ko budhi umr par paa kar bhi jannat hasil na kar saka.. Aur fir ap s.a.w. ne kaha aameen.

Ibn hibbaan, 3/188.

29۩ Anas bin Malik r.a. riwayat karte hai ki ek baar nabi ﷺ ne isha ki namaz me deri kar di hatta ki aadhi raat aa pohchi iske baad namaz ada karke hamse mukhatib hue aur kaha”Log namaz padhke so chuke honge lekin ap tab tak namaz me hote ho jab tak ap iska intzar karte ho.

Sahih Al-Bukhari , Book: Characteristics of Prayer, hadith- 808.

30۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Ek fahashah aurat sirf is wajah se baksh di gayi ke wo ek kutte ke qareeb se guzar rahi thi, jo ek quwe ke qareeb khada pyasa bhanp raha tha. Aisa malum hota tha ke wo pyas ke shiddat se abhi mar jayega. Us aurat ne apna mojah nikala aur usme apna dupatta bandh kar pani nikala aur us kutte ko pila diya, to iski bakshish us (neki) ke wajah se ho gayi.”

Sahih Bukhari, kitab bada al khalq ﴾59﴿, hadith- 3321.

31۩ Mohammad ﷺ ne farmaya ki jab bhi tum mese koi namaz padhae to use choti karle kyuki usme kamzor bhi hote hai budhe bhi aur zaruratmand bhi.

Sahih Al-Bukhari Book: Call To Prayer(Adh aan),Hadit 670.

32۩ Abu Zarr r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya ki kisi bhi neki ko kam aham ka na samjho chahe yahi ho ki tum apne bhai ko muskurate hue chehre se milo. 

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal aadaab ﴾45﴿, hadith- 6690.

33۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya, “Allah tumhare chehre aur maalo ko nai dekhta lekin Allah toh dekhta hai tumhare dilo ko aur aamaalo ko.”

Sahih Muslim, hadith- 6543.

34۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya, “Jab koi banda Allah ka zikr karta hai kisi mahfil me toh Allah us bande ka zikr karte hai usse behtar mahfil me.”

Sahih al bukhari, hadith-7405.

35۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

"Momin apni khush akhlaqi se rozedaar aur raat ko namaz padhne waale shaks ka
darja paa leta hai."

Sunan Abu Dawud, 4798 I Sahih

36۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

"Teen log hai jin ki Dua radd nahi hoti. Ek Rozadaar ki, jab wo roza khole, (dusra) Aadil Imaam. (teesra) Mazloom."

Jamia Tirmizi, 3598 | Hasan

37۩ Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

Jab (insan) kabeera gunahon se bachta ho, toh 5 Namaaze, ek Jumah se dusre Jumah tak aur ek Ramzan se dusre Ramzan, darmiyan me hone waale gunaho ko mitaane ka sabab ban jaate hai.

Sahih Muslim, 552.

•٠•●●•٠•