Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Dec 2017

Eid Ki Ibadat


1) Sadqa Fitr 

Rasoolullah ﷺ ne Hukm Dia ke Eidul Fitr ki Namaaz ki Adaa Karne se Pahle Sadqa Fitr Ada Kiya Jaaye.

(Bukhari; Muslim )

2) Gusl Karna

Narrated Ali r.a. Juma, Arfa, Qurbani aur Eidul Fitr ke din Gusul Karna Chhaiye ( Bayhaqi : 3/278 )

3) Adhan wa Iqamah 

Jabir Bin Abdullah ra Narrated: Maine Rasulullah sws ke saath Eid ki Namz Parhi Aap ne Baghair Adhan Aur Takbeer ke, Khutbe se Pahle Namaz Parhaai : ( Muslim : 775 )

Rasulullah ﷺ, Abu Bakr, Umar wa Uthman Radiallaho Anhum Pahle Namaz Parhte Fir Khutba dete :

( Bukhari , 774 )

4) Sunnat wa Nawafil

Ibne Abbas Ra Narrated: Nabi Sws Eidgaah me Siwaaye Eid ki 2 Rekaato ke na Pahle Nafal Parhe na Baad me. ( Bukhari: 964 )

5) Khuzur Khana

Nabi Rahmat ﷺ Eidul Fitr me Kuch khaa kar Namaz ko Nikalte , Aur Eidul Zuha me Namaz Parh kar khaate :

(Timizi; Ibn e Majah )

Rasulullah ﷺ Eidul Fitr ke Rooz Taaq Khazooren ( In Odd Numbers ) Kha kar Eid Gaah Jaaya Karte The.

(Bukhari,  953)

6) Raasta Badal kar Eidgaah Jaaye

Jabir bin Abdullah Narrated : Rasulullah sws Eid ke din Eidgaah Aane Jaane ka Raasta Tabdeel Farmaaya Karte the. ( Bukhari )

7) Namaz ki Takbeer 

Ayesha Siddiqa ra Narrated: Beshak Rasulullah sws Eidul Fitr aur Eidul Zuha ki Namaaz ki Awwal Rekaat me 7 Takbeeraat Aur Doosri Rekaat me 5 Takbeeraat kahte.

(Abu dawood; Tirmizi)

Dono hi rekat me Takbeerat Soorah Fatiha Parhne se pahle honge.

8) Rafa yadain 

Abdullah bin umar ra Farmate hain ke Rasulullah sws har us Takbeer me Haath uthate jo Rukooh me Jane se Pahle karte , Yahan Tak ke Aap ki Namaaz Mukammal ho Jaati.

(Abu Dawood 722 , Musnad Ahmed 2/133 , Darqutni 1/ 279)

9) Nabi ﷺ Juma aur Eidaain ki Namzo me Pahli Rekaah me Soorah A’ala ( Ch: 87 ) Aur Doosri me Soorah Ghasiiya ( Ch: 88) Parhte. ( Muslim )

10) Eid ka Khutba Mimbar par na Pardhe.

Abu Saeed Khudri ra ki hadeeth se maloom hota hai ke Eid gaah me Mimbar ka Ehtemaam Marwaan
bin Hakim ki ahad me kia gaya.

( Bukhaari 956, Muslim 779 )

11) Aurto ke liye Hukm

Umme Atiya Radiallaho anha kahti hain,

Hume Hukm diya Gaya hai ke hum Sabhi Awratho ko hatta ke Haiz waaliyo aur Parda Waaliyo ko bhi Dono Eido me Gharo se Nikalen Taake wo sab Musalmaano ki Jamat Aur unki Dua me Haazir hoon.

Aur Farmaya Haiz Waaliya Jaayen aur Namaz se Alag Rahen , Lekin Musalmano ki Duaoon aur Takbeero me Shaamil Rahen , Taake Allah ki Rahmat Aur Bakshish se Hissa Paayen.

Ek Awrath ne Arz kia ke Agar hum me se kisi ke Paas Chaadar na hoo to , Farmaya “ us ko uski saath waali Awrath Chaadar Aurha de .

( Bukhari 351; Muslim 790 )

12) Takbeerat

Abdullah Bin umar radialaho anho Eidul Fitr ke din ghar se Eid Gaah Tak Takbeerat kahte. (Bayhaqi) 

Sulemaan Radiallaho anho uun Takbeerat Kahte :- 

Allahu Akbar , Allahu Akbar, Allahu Akbar Kabeera ( Bayhaqi )

Ibn Masud Ra uun Takbeerat kahte

Allahu Akbar Allahu Akbar, Laa Ilaaha Ilaallah , wallaho Akbar , Allahu Akbar , Wa Lillahilhamd.

(Ibne Abi Shayba)

[Takbeerat Fazar ki Namaz se shuru Asar ki Namaz Tak hai.]

13) Eid aur Juma ager ek din ho toh, 

Eid ki Namaz ke baad Juma ke bare me , Nabi Rahmat sws ne farmaya “ Jo chahe wo Juma ki namaz ada kare aur Jo chahe Wo Ada na kare “ ( Ibn e Majah )

Aisi soorat me use Zuhar ki namaz Ada Karni hoogi. 

14) Eid ki Mubarakbaad Ek Doosre ko

“Taqabballaho Minna wa Minkum” Kah kar karen,

yani Allah Qubul kare meri aur aapki Taraf se..!

Lekin eid mubarak kahna bhi jayz hai par upar wali dua kahna Rasool s.a.w. aur sahabao ki sunnat hai !!
•٠•●●•٠•

Post a Comment