۞ Ghusl e Janaabat Ka Tareeqa:
Ghusl e janaabat karne wala sab se pahle ghusl karne ka iraada ya’ani niyat karega.
Ummul Momineen Maimoona r.a. bayan karti hain ke Rasool Allah s.a.w. ne ghusl ka iraada farmaya to sab se pehle dono’n hath dhoe, fir sharamgaah ko dhoya, fir baya’n haath, jis se sharamgaah dhoya tha, zameen par ragada fir is ko dhoya fir kulli ki aur naak main paani daala, fir chehra dhoya, fir kohniyo’n tak haath dhoe fir sar par paani daala aur balo’n ki jado’n tak paani pon’hchaya. Teen baar sar par paani daala, fir tamaam badan par pani dala, fir jaha’n aapne gusl kiya tha is jagah se hat kar paao’n dhoe.
(Bukhari: al Ghusl 265 – Muslim: al Haiz 317)
Ummul Momineen Maimoona r.a. farmati hain ke ‘Main ne ghusl ke ba’ad jism saaf karne ke liey Rasool Allah s.a.w. ko kapda diya magar aapne nahi liya.’
(Bukhari: 266 – Muslim 317)
Haafiz ibne Hajar farmate hain: ‘Kisi hadees mein (ghusl janabat ka wazu karte waqt) sar ke masah ka zikr nahi hai.’
(Fatahul Baari, Sharah Saheeh al Bukhari)
Abdullah bin Umar r.a. Rasool Allah s.a.w. ke gusl janaabat me wazu ka zikr karte hue farmate hain ke aapne sar ka masah nahei’n kia balke is par pani dala. Imam Nasai ne is hadees par ye baab baandha hai: ‘Janaabat ke wazu me sar ke masah ko tark karna.’
(Nasai: al Ghusl 420 V1 P205)
Imam Abu Dawood Farmate hain: ‘Main ne Imam Ahmad se sawal kiya ke junubi jab (ghusl se qabl) wuzu kare to kiya sar ka masah bhi kare? Aap ne farmaya ke wo masah kis liey kare jab ke wo apne sar par paani dale ga.’
۞ Ek Hi Bartan Me Miya’n Biwee Ka Ikhtte Ghusl Karna:
Ummul Mominnen Aisha r.a. ne kaha: ‘Main aur Rasool Allah s.a.w. ek bartan se nahate aur duno’n is se chullu bhar bhar kar lete the.’
(Bukhari: al Ghusl 273 – Muslim: 319)
Abdullah bin Abbas r.a. se riwayat hai ke Nabi Akram ki zauja muttahhera ne ek lagan se paani lekar ghusl kiya. Nabi e Akram ne lagan me bache hue paani se wazu karna chaaha to inho’n ne arz ki aey Allah ke Rasool s.a.w.! Main jumbi thi. Aap ne farmaya: ‘Beshak paani janbi (ya’ani napaak) nahi hota.’
(Abu Dawood: al Tahaara 68)
۞ Ghusl Parde Mein Karna Chahiye:
Umme Haani bint Abi Taalib r.a. se riwaayat hai ke main Rasool Allah s.a.w. ke paas gai. Aap ghusl kar rahe the aur Faatima r.a. aap par kapde se parda kie hue the.
(Bukhari: al Ghusl 280 – Muslim: al Haiz 336)
۞ Gusl e Janaabat Ka Wuzu Kaafi Hai:
Ummul Momineen Aisha r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah s.a.w. ghusal (janabat) ke ba’ad wuzu nahi karte the.
(Tirmizee: al Tahaara 108 – Abu Dawood: al Tahara 250) Ise Imam Haakim, Imam Zahabi aur Imam Tirmizee ne sahee kaha.
Ya’ani ghusl ke shuru me wuzu karte the, isko kaafi jaante aur (namaz ke liey) dobara wuzu nahi farmate the. Lekin is me ye ehteyat zaroori hai ke dauran ghusl, sharm gaah ko haath na lage.
۞ Jumua Ke Din Ghusl:
Sayyadna Ibne Umar r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah s.a.w. ne farmaya: ‘Jab tum me se koi shaqs namaz jumua ke liey aae to ise ghusl karna chahiye.’
(Bukhari 877 – Muslim 844)
Sayyadna Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah s.a.w. ne farmaya: ‘Har musalman par haq hai ke hafte me ek din (jumua ko) ghusl kare. Is me apne sar dhoe aur apna badan dhoe.’
(Bukhari: al Jumua 897 – Muslim: al Jumua 849)
Abu Saeed Khudri r.a. kehte hain ke Rasool Allah s.a.w. ne farmaya: ‘Jumua ke din har baaligh musalman par nahana wajib hai.’
(Bukhari: al Jumua 879 – Muslim: al Jumua 846)
Imam Ibn Jauzi farmate hain: ‘Jumua ke Din ghusl waajib hai, kyou’nke is ki ahaadees ziyada saheeh aur qawi hain. Ibne Hazam aur Allama Shaukaani ne bhi isi tarike ko ikhtiyaar kiya hai.’
۞ Mayyat Ko Ghusl Dene Wala Ghusl Kare:
Abu Huraira r.a. riwayat karte hain ke Rasool Allah s.a.w. ne farmaya: ‘Jo shaqs murde ko ghusl de ise chaahie ke wo khud bhi nahae.’
(Abu Dawood, al Janaaez 3161 – Tirmizee, al Janaaez 993 – Ibne Majja 1463) Ise Imam Ibne Hibban 751 aur Imam Ibne Hazam V2 P23 ne Saheeh kaha.
Ibne Abbas r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah s.a.w. ne farmaya: ‘Tum par maiyyat ko ghusl dene se koi ghusl wajib nahi, kyou’nke tumhari maiyyat taahir marti hai najis nahi, lehaza tumhei’n haath dhol lena hi kaafi hai.’
(Baihaqi V1 P 306) Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh aur Imam Ibne Hajar ne Hasan kaha hai.
Dono’n ahadees ko milane se masla ye baat hua ke jo shaqs maiyyat ko ghusl de is ke liey nahana mustahab hai, zaroori nahi.
Chuna’che Ibne Umar farmate hain: ‘Ham maiyyat ko ghusl dete (fir) ham me se ba’az ghusl karte aur ba’az na karte.’
(Baihaqi, V1 P306) Imam Hafiz Ibne Hajar ne ise Saheeh kaha hai.
۞ Nau Muslim Ghusl Kare:
Qais bin A’asim r.a. se riwayat hai ke jab wo musalman hue to Rasool Allah s.a.w. ne inhei’n hukam diya ke paani aur beri ke patto’n ke sath ghusl karei’n.
(Abu Dawood: al Tahara, 355 – Tirmizee, al Jamea’a, 605)
Ise Imam Nawawi ne Hasan, Imam ibne Khuzaima V1 P26 (154‐155) aur Imam Ibne Hibban 234 ne Saheeh kaha.
۞ Idain Ke Roz Ghusl:
Naafe r.a. kehte hain ke Sayyadna Umar eid ul fitr ke roz ghusl kiya karte the.
(Muwatta Imam Maalik V1 P17)
Hafiz ibn Abdul Bar farmate hain ke eidain ke din ghusal ke bare me Rasool Allah s.a.w. se koi hadees saabit nahi, Sahaaba ka amal hai. Ahle Ilm ki ek jama’at ke nazdeek ye ghusl, ghusl Juma’a par qiyas karte hue mustahab hai.
Sayyadna Ali r.a. ne farmaya: ‘Jumua’a, A’arfa, Qurbani aur Eid ul Fitr ke din Ghusl karna chahiye.’
(Baihaqi V3 P278).
۞ Ehram Ka Ghusl:
Zaid bin Saabit r.a. se riwayat hai ke Haj ka ehram baandhte waqt Rasool Allah s.a.w. ne Ghusl Farmaya.
(Tirmizee, al Haj: 830) Imam Imam Tirmizi ne is hasan kaha.
۞ Makka Me Daqhil Hone ka Ghusl:
Sayyadna Ibne Umar r.a. farmate hain ke Rasool Allah s.a.w. makka me daqhil hote waqt ghusl karte the.
(Bukhari, al Haj 1573 – Muslim: al Haj: 1259).
•٠•●●•٠•
Post a Comment