Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

26 Dec 2017

Haiz Ke Masael


Haiz us khoon ko kahte hain jo balegha aurat ke raham se har maah nikalta hai, iska kam se kam waqt ek din aur ek raat hai aur ziyada se ziyada 15 din hai. A’am taur par 6 ya 7 din aata rehta hai.

Haiz o Nifaas Ke Ayyam Mein Mamno A’amaal

1۩ Namaaz Aur Roza Ki Mumaneat:

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab aurat haiz se hoti hai to wo namaz nahi padhti aur na roza rakhti hai.’

(Bukhari: al Haiz 304 – Muslim: al Eman 79)

Ek aurat ne Aisha r.a. se dariyaft kiya: Kya wajah hai ke haaeza aurat roze ki qaza tu deti hai, Namaz ki nahi?

Aisha r.a. ne farmaya: ‘Rasool Allah ﷺ ke zamana mein hamein haiz aaya karta tha to hamei’n roze ki qaza ka hukam diya jaata tha magar namaz ki qaza ka hukam nahi diya jata tha.’

(Muslim: al Haiz 335)

2۩ Haeza Se Sohbat Karne Ki Mumaneat:

Haiz ki haalat main aurat se mujamat karna saqht gunah hai Allah Ta’ala ne Quran e Majeed main farmaya: ‘Pas (ayyam) haiz mein aurato’n se kinara kasha karo (ya’ani sohbat na karo).’

Agar koi is gunah ka murtakib hojaae to Nabi e Akram ne farmaya: ‘Jo shaqs bahaalat haiz apni aurat se sohbat kare to ise chaahie ke aadha deenar khairat kare.’

(Abu Dawood: al Tahaara 264 – Tirmizee: al Tahaara 136) Imam Malik (V1 P171‐172) aur Imam Zahabi ne ise Saheeh kaha hai.

Deenar sadhe chaar (4½) mashe sone ka hota hai to aadha deenar sawa do mashe (2¼) sone ka hua. Sone ki qeemat sadqa kare ya’anee kisi mustahiq ko de de aur aainda ke liey tauba kare.

Ibn e Abbas r.a. farmate hain agar haiz ka rang surqh hai to ek deenar aur agar haiz ka rang peela hai to adha deenar qhairaat kare.

(Tirmizee: 138 – Abu Dawood: an Nikaah 2169) Albani ne muquf riwayat ko saheeh kaha.

3۩ Tawaf Ka’aba Ki Mumane’at:

Ummul Momineen Aaisha r.a. se riwayat hai ke main Rasool Allah ﷺ ke sath hajj ko gai, raaste me mujhe haiz shuru hogae, Rasool Allah ﷺ mere paas aae aur main ro rahi thee, Aapne Farmaya: ‘Kya tumhe haiz aagaya? Main ne a’arz ki ke haa’n Aap ne farmaya: ye Allah Ta’ala ka amar hai jo is ne Aadam (A) ki betiyo’n ke liey likh diya hai, pas tum har wo kaam karo jo haaji karte hain siwaae khana e Ka’aba ke tawaaf ke, aur wo tum (haiz se paak hokar) ghusl karne ke ba’ad karna.’

(Bukhari: al Umrah 1785 – Muslim 1216)

۞ Haiz Aur Nifaas Mein Jaaez Umoor

Haeza Ko Choona Aur Is Ke Saath Khana Jaaez Hai:

Sayyadna Anas r.a. riwayat karte hain ke jab aurat haiz (ya’ani mahwari ka qhoon) se hoti to yahoodi iske saath khate peete nahi the, to Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Haaeza ke sath har kam karo siwae jima’a ke.

(Muslim: al Haiz 302)

Ya’ani haaeza se khana peena, uthna baithna, milna julna, ise choona aur bos o kinaar (kissing) waghaira sab batei’n jaaez hain siwae mujamea’at (T: sexual intercourse) ke.

Ummul Momineen Aisha r.a. riwayat karti hain ke Rasool Allah ﷺ mujhe (haalat haiz mein) izar baandhne ka hukam dete, so main izar bandhti. Aap mujhe gale lagate the aur main haiz wali hoti thee.

(Bukhari: al Haiz 300 – Muslim: al Haiz 293)

Aisha r.a. se riwayat hai ke Nabi e Akram ﷺ ne masjid (me apni etekaaf’gah) se mujhe boriya pakdane ka hukam diya. Main ne kaha ‘Mai’n Haaeza hu.

Aap ne farmaya: Tumhare Haiz tumhare haath me nahi hai.’ (Muslim: al Haiz, 298).

Ayesha r.a. se riwayat hai: ‘Nabi e Rahmat ﷺ meri god ko takiya banakar Quran e Hakeem ki tilaawat karte the hala’nke main haaeza hoti thi.’ 

(Bukhari: al Haiz, 297 – Muslim: al Haiz 301)

۞ Haaeza Ka Quran Padhna Aur Azkaar Ka Karna:

Haalat janaabat wo haiz main Quran e Hakeem ki tilaawat ke haraam hone ke bare me koi saheeh hadees nahi hai.Azkaar ki baabat Imaam Navawi farmate hain: ‘Haaeza ke liey Tasbeeh o Tamheed takbeer aur deegar dua’ae’n aur azkar bila ijma’a jaaez hain.’ (Al Majmua’a)

Iski daleel Aisha r.a. ki hadees hai.

Ap farmati hain: Main Hajj ke dauran me haaeza hogai to Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Baitullah ke tawaf ke alawa har wo kaam karo jo haaji karta hai.’ 

(Bukhari: al Haiz 294 – Muslim: al Haj, 1211)

Is hadees se ye bhi waazeh hua ke haaez Tawaaf e Ka’aba ke alaawa Hajj ke baaqi tamaam a’amaal kar sakti hai.

Umme A’atiya r.a. farmati hain ke Rasool Allah ﷺ ne haiz wali aurato’n ko bhi eid ke roz eid’gaah jane ka hukam diya take wo logo’n ki takbeero’n ke saath takbeerei’n kahei’n aur in ki dua ke saath dua karei’n leking namaz na padhe.

(Bukhari: al Edain 981 – Muslim 890).

Ummul Momineen Aisha r.a. farmati hain ke Rasool Allah ﷺ har haal me Allah ka Zikar karte the. 

(Muslim al Haiz 373)

In ahadees se saabit hua ke haaeza aur jumbi zikar azkaar kar sakte hai.

Post a Comment