Aj ke firqa parasti ke daur me log ek dusre ko samajhna to dur ki baat sunne tak ko nahi pasand karte. Wo bhi sirf isliye kyuki wo kahte ki fula shaks hamare firqe ya jamaat ka nahi hai. Ye is tarha ki shiddat pasandi pe log aa gaye hai. Ek wo 1400 saal pahle ka zamana tha jaha par ek shaks (Rasoolallah ﷺ) ne do groh ke logo ko (Ansaar aur Muhajireen) is tarha se ek kar diya tha jaise lagta tha ki wo dono apas me khoon ke talluk se bhi badh kar talluk rakhte ho aur ek aj 1400 saal baad ke log hai jo Rasoolallah ko manne ka dawa toh karte hai lekin fir bhi apas me ek dusre ko samajhna yaha tak ke sunna bhi gawara nahi karte. Aiye dekhte hai ki hamare Rasool ﷺ ka tarika kya tha:
Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai, unho ne kaha, "Rasool ﷺ ne mujhe sadqa e fitr ki hifazat par muqarrar farmaya. Fir ek shaksh aaya aur dono haaton se (khuzoore) sametne laga. Maine use pakad liya aur kaha ki mai tumhe Rasool ﷺ ki khidmat mein pesh karung, fir Abu Huraira r.a. ne ye pura qissa bayan kiya. (Jo sadqa e fitr churaane aaya tha usne kaha ki Rasool ﷺ ke paas na le chalo iske badle mai tumhe kuch alfaz sikhata hu jisse tumhe fayda hoga) Usne kaha Jab tum raat Ko Apne bistar par sone jao toh Ayat al Kursi padh liya karo. Fir subah tak Allah tala ki taraf se tumhari hifazat karne wala ek Farishta muqarrar ho jaye ga aur shaitan tumhare paas bhi nahi aa sakega. (Hazrat Abu Huraira r.a. ne ye baat Aap ﷺ se bayan ki toh) Nabi ﷺ ne farmaya, "Usne tumse Sach kaha hai, agarche wo jhuta hai, wo shaytan tha."
Sahih al Bukhari, Kitab Fazail al Quran, hadith- 5010.
Ye tha hamare Rasool ﷺ ka tarika jo shaitan ke haq baat ko bhi tashdeek karte the aur ek aj ke daur ke kuch log hai ki agar kisi shaks se zara si galti ho jaye to use zero se multiply kar dete hai. Ye hadees un par bhi radd hai jo kahte hai ki sirf apne jamaat ki baat sunni chaiye. Is hadith se hame pata chala ki haq baat ki tashdeed karni chaiye wo kyu na shaitan ke taraf se bhi ho. Aur isi tarha ka hukm surah Nisa, ayat-59 me bhi diya gaya hai.
۩ Is mauzu ke silsile me pahla aetraz:
Kuch zyada aqalmand log kahte hai ke is hadith par ab amal nahi kar sakte kyuki ab haq baat par mohar lagane ke liye RasoolAllah nahi hai. Agar RasoolAllah ﷺ nahi hai to kya hua unki hadeese to hai na ummat me, Aap ﷺ ki hadeeso ke zarye haq baat par mohar lagaya jayega aur mere bhai RasoolAllah ke farmaan me aur Aap ﷺ ke sahih hadeeso me koi fark nahi hai jaise Allah ke farman me aur Quran me koi fark nahi hai.
۩ Is mauzu ke silsile me dusra aetraz:
Aur kuch boht zyada aqalmand log kahte hai ki RasoolAllah ne shaitan ki baat tashdeek ki toh Abu Hurairah r.a. ne baat maan li lekin kya iske baad Abu Hurairah shaitan ke ilmi majlis me baithne laga? Toh fir ham kaise fasiq/fajir shaks ki baat ko qubul kar sakte hai?
Iska jawab ye hai ki pahli baat hamne kabhi nahi kaha ki agar koi shaks apke nazdeek is layk nahi hai ki ap unse ilm lena pasand kare to ap jakar unki majaalis me baithna shuru kar dein lekin agar wahi shaks jise ap us layk nahi samajhte apse kahta hai ki Allah ek hai aur kahta hai ki ye baat surah ikhlas me likhi hai. Toh ab ap kya karenge? Ye kahenge ki ham apki is baat ko tasleem nahi karenge kyuki ap hamare jamaat se nahi hai ya fir jakar surah ikhlas padhenge? ummeed hai ki haq ki talash karne wale logo ko jawab mil gaya hoga. Toh ap kisi ki ilmi majlis me mat baithen lekin kisi ke sach baat ko tashdeek kare jaise sahabi e Rasool ne kiya tha.
۩ Is mauzu ke silsile me teesra aetraz:
Kuch bhai Ibn Sireen r.h. ka ek qawl Sahih Muslim se dete hai ki unhone kaha ki Ye ilm Deen hai toh ap ye dekho ki ap apna Deen kisse le rahe ho.
Pahli baat ye hai ki Ibn Sireen r.h. ka ye qawl aam ilm ke bareme nahi hai balki isnaad ke ilm ke liye hai. Imam Muslim ne is hadith par ye baab bandha hai "باب فِي أَنَّ الإِسْنَادَ مِنَ الدِّينِ" yaani "Isnaad Deen maise hai." To isse baat wazeh hui ki yaha par Ibn Sireen r.h. isnaad ki ilm ki baat kar rahe hai na ki aam ilm e deen ki. Aur ye dono ilm me boht farq hai. Usool e hadees ka ilm ek alag ilm ki speciality hai. Aur isme itni zyada sakhti karni boht zaruri hai kyuki aam ilm toh kitab o sunnat se pata chal jata hai ki kitna sach hai lekin is field me sab kuch ek raawi par depend hota hai, jo bhi raawi RasoolAllah ﷺ ke taraf nisbat kar ke bolega wo Ummat ka Deen ban jayega. Jab ki aam ilm to kitab o sunnat me dekhne ke baad asani se pata chal jata hai ki kahne wala shaks sach kah raha hai ya jhut.
Misaal ke taur par isi Sahih Muslim ki hadith no. 30 me likha hai,
Ibn Abi Zinad apne walid se riwayat karte hai ki maine Madinah me aese 100 admi paye jo nek sirat the magar unhe hadith riwayat karne ka ahal nahi samjha jata tha, aur unki hadith qubul nahi ki jati thi, kaha jata tha ki ye is (ilm) ke ahal nahi hai.
Sahih Muslim ka Muqaddamah, hadith- 30.
Ye isliye kyuki in logo ko usool e hadith ka ilm nahi tha, yaani koi bhi akar hadith ke naam par inhe kuch suna de to wo ise hadith samajh kar aage bayan kar denge. Toh isi liye usool e hadees ke ilm par aam deeni ilm qiyas nahi kiya ja sakta warna fir upar ki hadees ke mutabik toh jo shaks ilm e hadees ya ilm e isnaad se waqif na ho usse ilm lena haraam ho jayega unke usool ke nazdeek.
Dusri baat hamare Deen ne hame ye sikhaya hai ki jab ap kisi se ilm lete ho to uska rang, nasal, zuban, mazhab, zaat, firqa nahi balki uski daleel dekho. Dekho kya wo apni baat ke daleel me Quran ya sahih hadith pesh kar raha hai ya nahi. RasoolAllah ﷺ ne khud farmaya hai ki jab tak Allah ki kitab aur meri sunnat ko mazbuti se pakde rahoge tab tak gumrah nahi hoge. [Mustadrak al Hakim, hadith - 318, sahih]. Mazeed ilm ke liye ye article padhe: https://www.iqrakitab.com/2018/07/kisko-suna-jaye-aur-deen-ka-ilm--kisse-liya-jaye.html
•٠•●●•٠•
Allah Se Dua Hai Ki Wo Hame Firqa-parasti Se Upar Uthne Ki Taufeek Ata Kare. Aameen.
Post a Comment