اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Hazrat Abu Hurairah r.a. Ki Waleda Ka Qubool E Islam


Abu Hurairah r.a. Ki Waleda Islam nahin laayi thi , Abu Hurairah r.a. Waleda ko Islam ki Dawat dete to woh Inkar kar deti, Ek Din Abu Hurairah r.a. ne Waleda se Israr Kiya ke Islam Qaubool karlein is per Gusse main Aakar Waleda ne Rasool ﷺ ko bura bhala keh diya.

Abu Hurairah r.a. Bahot ranjeeda hue aur rote rote Rasool ﷺ ki khidmat Main gaye aur Arz ki : Aiy Allah ke Rasool ﷺ Main Apni Waleda ko Islam ki dawat deta rehta hoon aur woh inkar karti rehti hain , aaj fir mene unhe Islam ki taraf bulaya to unhone Aap ke baare main ghalat baatein kahin , Aiy Allah ke Rasool ﷺ Allaah se Dua kijiye Woh Umme Abu Hurairah r.a. ko Islam ki Hidayat de,

Rasool ﷺ Ne unke Liye Dua ki, Abu Hurairah r.a. ghar Wapas Aaye Darwaza kholna chah to wo band tha Dastak dene per waleda Ne Darwaza khola aur sath hi kaha : Ash hadu Anna Laa ILAHA ILLALLAHU Wa Ash Hadu Anna Mohammed ur Rasool Allah

Abu Hurairah r.a. ne yeh kalmaat waleda ki zuban se sune to foran Wapas Rasool ﷺ ki khidmat main hazir hue, unki aankhon main Khushi ke aansoo they unhone kaha : Aiy Allah ke Rasool ﷺ khush ho jaiye Allah ne aapki Dua Qubool karli hai.

Abu Hurairah r.a. ne Arz ki: Aiy Allaah ke Rasool ﷺ Allah se Dua Kijiye ke woh apne momin bando ke dilon main meri aur meri waleda ki mohabbat daalde aur unhe hamare liye mehboob bana de ,

Rasool Allah ﷺ ne Dua ki: Aiy Allah  apne is pyare bande aur iski waleda ko apne momin bando ka mahboob bana de aur momino ki mohabbat inke dilon main daal de "

Sahih Muslim, hadith-2491.