۩ IMAAM BUKHARI (raheemaullah)
Agar Quran ke baad kisi kitab ka darja aata hai to wo hai Imam Bukhari ki saheeha ka jise imam Bukhari ne riwayat kiya hai. Imam Bukhari ek bade Imam, ulema, Ameer hai unke jo hadith par eeman rakhte hai, Abu ‘Abd-Allaah Muhammad ibn Ismaa’eel ibn Ibraaheem al-Bukhaari. Inki wiladat Bukhaara me hui thi 194 AH me, aur wo yateem hi bade hue. Inhone bachpan me hi apni roshni kho di thi fir Allah ne inko roshni ata kari. Wo bachpan se hi hadith yaad karne lage the aur wo gani the isme, Allah inpar apni rahmat kare.
Imamo ne inki achi yad-dasht, durustgi, Ilm, Riazat aur ibadat ki tashdeek ki hai. Imam ahmad r.a. ne inse kaha: Khorasan(ek jagah ka naam hai) ne inki tarha kisi ko nahi banaya hai.
Ibn Khuzaymah r.a. ne kaha: Maine inki tarha aasmaan ke saye ke tale kisi ko nahi dekha hai jinhe inse zyada RasoolALlah ke hadith ka ilm ho aur jisne Inse zyada hadiths yaad ki hai.
Al- Tirmidhi r.a. kahte hai: Maine Iraq ya Khorasan me kisi ko nai dekha hai jiske pas hadith ki tankeed, tarikh aur sanad ka Imam bukhari se zyada ilm ho.
Al-Bukhari ke pas ek hazar se zyada shaykhs the jinse ye mulko aur shahro me mile jaha inhone safar kiya. Unmese: Imam Ahmad ibn Hanbal, Hammaad ibn Shaakir, Makki ibn Ibraaheem aur Abu ‘Aasim al-Nabeel the.
Jinhone Imam bukhari se riwayat kiya wo ye the:
Muslim ibn al-Hajjaaj jo ke al-Saheeh ke likhne wale the; al-Tirmidhi; al-Nasaa’i; Muhammad ibn Nasr al-Marwazi; aur bhi boht se the.
Al-Bukhari ne boht se kitabe likhi thi, kuch mashhoor ye hai: al-Jaami’ al-Saheeh; al-Tareekh al-Kabeer; al-Adab al-Mufrad; Khalq Af’aal al-‘Ibaad, Juzz Raful yadain.
Unki wafat nao(9) Eid al-Fitr, 256 AH. ko hui thi.
Ye ek bade Imam, hafiz aur ulema the, Abu’l-Husayn, Muslim ibn al-Hajjaaj ibn Muslim al-Nisaboori. Inki wiladat 204 ya 206 AH me hui thi. Ye Imam Bukhari ke student the.
Unhone apna waqt hadith me waqf kiya. Aur inhone hadith ki talaash me boht se safar kiye aur kadi mehnat ki is field me jab tak ke wo boht mashhoor ho gaye. Inke ham-asar inki fazaail ki tashdeek karti thi. Inke shaykh Muhammad ibn Bashshaar (Bandaar) ne kaha: Duniya ke char Hafiz hai: al-Ray ke Abu Zar’ah, Nisapur ke Muslim, Samarqand ke ‘Abd-Allaah al-Daarimi, aur Bukhaara ke Muhammad ibn Ismaa’eel the.
Ahmad ibn Salamah al-Nisaboori ne kaha: Maine Abu Zar’ah aur Abu Hatim ko dekha ki woh Muslim ibn al-Hajjaaj ko ilm e saheeh ke binah par us zamane ke baki shaykhs par Fazilat de rahe hai.
Ibn ‘Abd al-Barr ne inke bare me kaha: Wo sare ek raae pe razi the unke azeemiyat, kiyadat aur buland martaba pe.
Inke shaykhs the: Ahmad ibn Hanbal, al-Bukhaari, Yahya ibn Yahya al-Teemi, Ishaaq ibn Raahawayh, Yahya ibn Ma’een, Abu Bakr ibn Abi Shaybah aur boht se dusre.
Inke student the: Abu Haatim al-Raazi, Abu ‘Eesa al-Tirmidhi, Ibn Khuzaymah, Abu ‘Awaanah al-Isfaraayeeni and Makki ibn ‘Abdaan.
Inki Kitabe: al-Jaami’ al-Saheeh; al-Kuna wa’l-Asma’;al-Tabaqaat; al-Tamyeez; and al-Munfaridaat wa’l-Wahdaan
Inki wafat Rajab me 261 AH me hui thi.
Post a Comment