Lafz "jahez" Arabi lafz h jiske m'aani h tayyari karna, jis tarah Surah Yousuf me hai "Wa lamma Jahazahum bi jihazihim" aur jb unho ne unke liye samaan tayyar rakha.
Goya "jahez" tayyari ko kehte h aur yeh shadi par jayiz hai lakin yeh jahez ladke ke zimmah hai kyunki shadi ki saari tayyari ussi ko karni hoti h, jis tarah Nabi saw ne Ali r.a. ki zirah bech kar us se Ali r.a. ke liye tayyari ki jis ko jahez kehte hai aur yeh shar'ii jahez h.
LEKIN jis ko barr e sageer me jahez kehte hai woh yeh hai ki Ladki apne ghar se woh samaan tayyar kar k lati hai jis ke liye ladke walo ki taraf se pehle hi list diya gaya hota h lakin iski sharyat me koi hasiyat nahi aur yeh ladke ki begairti ka saboot hai aur hinduwo se mushabihat hai kyunki Hindu isse hi Kanya-daan kehte h...
Qurani Aayat Aur Ahadees Se Wazeh Hota Hai Ki Shadi Ek Sadgi Ka Naam Hai Shadi Se Muashra Sudharta Hai Do Khandan Aabad Hote Hain, Nayi Nasl Ki Shuruat Hoti Hai. Aur Aisi Koi Aayat Nahi hai aur Na Hi Hadees Hai Jisme Hai Ke Ladki Ko Dahej Dena Chahiye Sare Dalail Yehi Kar Keh Rahe Hain Ki Ladke Ko Mahr Dena Chahiye Allah Ka Farman Bhi Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ka Qaul Bhi Aur Sahaba Ikram Ki Jamat Bhi.
Allah SWT ka farman hai-
Mard Aurat per haakim hai,Isliye ke ALLAH SWT ne ek ko dusre per fazilat di hai,aur iss wajah se ke mardo ne apne maal kharch kiye hain.[Surah Nisa 34]
Aur ek jagah farmaya-
Aur Aurton ko unke Maher raazi khushi dedO.[Surah Nisa 4]
Aur Farmaya-
Aur jO kuch tum unhe de chuke ho Usme se kuch bhi wapas lena tumhare liye Halal nahi.
[Tafseer Ibne Kaseer 1/474]
Sheikh Abdullah Bin Qaud kahte hain-
Maher lena biwi ka haqq hai,isse muqarrar karna wajib aur zaruri hai,Biwi aur Iske ghar walO per kOi chiz dena wajib nahi Lekin agar wo khushi se dena chahe to unki marzi.
Inn ayaton se ye zahir hOta hai ke mard aurat ko Maher ada krega nake aurat Mard ko.
Ab ahem muazu ki taraf aate hain Islam me dahej ki kya haqeeqat hai kya Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam hamare Nabi hain rasul hain rehnuma hain qudwa hain ideal hain unki pairvi se hi jannat milsakti hai unki itaat se hi Allah razi hota hai to kya unhone dahej liya Allah ke Rasul sallellahu alayhiwasallam ne 11 shadian ki kisi ek se bhi apne dahej liye gaur Karen doston agar kisi k paas koi daleel hai to pesh Karen aur apke baad apke sahaba khulafaye rashideen ne bhi ek se zyada shadian ki kisi ne dahej liye nahi aap puri tareeq utha kar dekhen aur unhone apni betion ki bhi shadian ki ya kisi ko dahej diye Allah ke liye gaur Karen sochen apni islah Karen, muashre ki islah Karen.
Ab Aayiye Us Baat Ki Taraf Jo Ye Jhoota Dawa Karte Hain Aur Isse Hi Samaj Me Bigad Phaila Jahez Ka…. Wo Ye Ke Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ne Hazrat Fatima R.A Ko Jahez Diya, Ye Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Par Tohmat Hai Aur Isko Darr Na Chahiye Allah Se Uske Azaab Se Aur Loog Jo Is Wahem Me Mubtila Hain Unko Tahqeeq Karna Chahiye Andhi Taqleed Gumrahi Hai, Is Haqeeqat Par Nazar Dalte Hain... Hadees Is Tarah Se Hai:
Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ke Paas Abu Bakar Siddiqe R.A, Umar Farooq R.A, Usman Gani R.A Aate Hain Aur Ali R.A Ke Nikah Ke Bare Me Baat Rakhte Hain Aur Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Puchte Hain Kya Ali Razi Hain To Kehte Hain Haan Wo Razi Hain. To Phir Baat Tai Huyi Jab Hazrat Ali R.A Samne Aaye To Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Ne Pucha Ali Apke Paas Fatima Ko Dene ke liye Maher Me Kya Hai To Ali R.A Kehte Hain Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Main To Bachpan Se Apke Paas Raha Hun Mere Paas To Kuch Bhi Nahi Haan Jung E Badar Me Ye Zira Mujhe Mili Thi Ek Talwar Aur Dhal To Allah Ki Rasul Sallellahualayhi Wasallam ne Kaha Talwar Aur Dhal To Kaam Aayegi Isko Rakhlo Aur Ye Zira Bech Kar Iski Keemat Leke Aau Yehi Apka Maher Hoga Aur Ussi Se Apka Nikah Hoga, Phir Ali R.A Gaye Bechne Usman R.A K Paas Wo Us Zira Ko Khareed Liye 400 Dinar Me Phir Unse Kaha Kya Ab Main Is Zira Ko Kise Bhi Dedun Ali R.A Ne Kaha Ab Ye Apka Hai Aap Jo Chahen Karen To Usman R.A Ne Ali Ko Hi Wo Tohfeh Me Dedi Phir Ali R.A Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam Jakar Sab Bayan Kiye Phir Aapne Unse Wo Paise Lekar Unka Maher Tai Kiya Aur Ussi Paison Se Do Chakhiyan Lin, Ek Chatai Li, Aur Ek Sahabi K Makan Me Apka Intezam Kiya Aur Kuch Khane Pakane Ki Cheezon Ko Bhi Apne Kharid Kar Diya Wo Isliye Ke Ali R.A Shuru Se Hi Allah Ke Rasul Sallellahualayhi Wasallam K Paas Rehte The To Unke Paas Koi Saman Nahi Tha To Inhi Ki Zira Bech Kar Inhi Ke Paison Me Se Liya Gaya Hai…. Subhan Allah
Referrence : Tabqat Ibn Saad, Al Jalalain, Tariq Ul Tabri, Ibn Hisham, Sahi Muslim Aur Sahi Bukhari (Baab Al Nikah Me Puri Tafseel Maujood Hai )
to Iski asal shakal ye hai jise tod madod kr pesh karke Jahez ko saabit kiya jata hai.
ALLAH SWT Hum sabko Sunnato per chalne ki tOufeeq ata farmaye.Aur Kahne Sunne se zyada Amal karne ki Toufiq ata farmaye.
Ameen Ya Rabbul Aalameen-
•٠•●●•٠•
Prepared by:- A.Sayed
Post a Comment