اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Dec 2017

Jashn e Milad Manana - Ek Nazarya


Ye waisi badi fitri baat hai ki jabse dunya bani hai log apni badi-shakshiyaat ke din manate rahte hai aur qaumi lehaz se bhi, mazhabi lehaz se bhi mukhtalif tyohar, mukhtalif qaumo me, mukhtalif groh aur jamaat aur mazahib me muqarrar kiye jate rahe hai; jaise christmas ka tyohar hai, ye hazrat eesa a.S. Ki paidaish ki khushi me hi ye log manate hai. Aur bhi baaz waqyaat qaumo ke zindagi me bade ho jate hai usko bhi log manate hai, jaise ham apni azaadi ka din manate hai ya jaise allama iqbal ka yaum e paidaish ya yaum e wafat manate hai.

Toh tyohar manane ki ek amumi riwayat dunya ki saari qaumo me rahi hai, ye apni jagah koi buri chiz nahi hai. Isse tarikhi waqyat yaad rahte hai, logo ki ek dili wabastagi rahti hai, aur kisi had tak ap kah sakte hai ki ainda naslo ko baaz chize iske zarye se muntakil hoti rahti hai. Isliye aslan ye koi buri chiz nahi hai.

Lekin Nabi ﷺ ka muqam, martaba aesa hai ki mere khyal ke mutabik ap ﷺ isse boht buland hai ki apko is satah par le aya jaye ki jaise ham allama iqbal ka ek din manate hai waise ham apka bhi ek din manale, jaise ham apne mulk ke azadi ka ek din manate hai waise ham apka bhi ek din manale. Ap kisi ek din ki shakshiyat nahi hai, ap to hamare subo-roz ki shakshiyat hai. Aur apki besat, apka nubuwat ka muqam, ye aesi chize nahi hai ki jisko yad karane ke liye mujhe ya apko din mana kar koi ehtimam karna hai. Uska ehtimam allah ne is darje me kar diya hua hai ki har roz 5 waqt hamari masjido se ye sada buland ho jati hai, toh Ye Naghma Fasl-e-gul-o-lala Ka Nahin Paband Bahar Ho Ke Khazan, La Ilaha Illallah.

Isliye mai to isko pastiy e zauq samajhta hu, mere nazdeek iske liye koi khas din muntakhab nahi karna chaiye. Yahi wajah hai ki sahaba e karaam ne is tarha ka koi kaam Rasoolullah ﷺ ke muamle me nahi kiya. Rasoolullah hamare har roz ki shakshiyat hai, har din ki shakshiyat hai, har din apka din hai, har mahina apka mahina hai. Musalman ke subo-roz me ye yaad qayam rahni chaiye aur allah ne iska bada gair-mamuli ehtamam kar rakha hua hai. Yaani ye mera aur apka mohtaj nahi raha. Allah tala ne jo ehtemam risalat me ap ﷺ ke zikr aur apki risalat ki bulandi ke liye kar rakha hua hai usse bada ehtimam dunya me kisi shakshiyat ke liye ho nahi sakta, jis ehtamam se hamari har masjid se ye sada buland hoti hai aur 5 waqt buland hoti hai aur durud o salam ka bhi itna ehtemam kar diya gaya hai ki ham apni namazo me har tashahhud ke mauke par padh rahe hote hai. Is gair-mamuli ahtemam ke sath aesi buland o bala shakshiyat ko ke jiski koi misal nahi hai, aam shakshiyaat ke satah par utarna ye mujhe pasand nahi hai. Toh mai to ise pasand nahi karta.

•٠•●●•٠•