اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Jummah Se Pahle Aur Uske Baad Ki Sunnate


۞ JUMMAH SE PAHLE KI SUNNATE

Jummah se pahle koi sunnat namaz nahi hai. Kyunki na ye Nabi ﷺ se sabit hai aur na hi sahabao ne isko bayan kiya hai ki jummah ki namaz se pehle koi khas sunnat namaz hai. 

Lehaza aimmah (imaams) ki aksariyat (majority) is baat par ittefaq(mutaafiqa khayal) hai ke jummah se pahle maqsus tadaat ke sath ki rakaat maqsus waqt par kiya jaye wahan koi sunnat nahi.

Kyunki na Nabi ﷺ ke alfaz aur amal se bayan kiya gaya hai., aur na unki fitrat (nature) se bayan kiya gaya hai. 

Ye Imaam Malik, Imaam Shafai aur inke ashab ke aur sab se zyada Imam Ahmad ke mazhab ke maslak me maroof Raae (khayal) hai. 

۩ AL-IRAAQI NE FARMAYA :-

Maine aisa kuch bhi nahi dekha jo tashdeek kare ki teen Imamo ne Juma se pahle sunnat padhne ki koi nishani batayi ho.

۩ AL-ALBAANI NE TABSIRAH KIYA:-

Yahi wajah hai ke ye naam nihaad sunnat aur naa iska hawala kitab al Imam al Shafai me hai aur na masail Imam Ahmed ke aur na ye deegar kisi imam ki taraf se. Jahan tak mai janta hoon is wajah se mai kehta hoon ke jo log jumma se pahle ye sunnat padhte hai wo na hi sunnat-e-Rasul ki itaat karte hai aur na hi kisi aimma (imaam) ki naqal ( mushabahat) kar rahe hai. Wo mushabahat kar rahe hai jo baad ke Ulema aye jo unhi me se hai jo mushabahat karne wale hai (apne se pahle uemao ki) Bajaye mujtahedeen ke (Wo ulama jinhone tahkeek ki aur apne ehkaam khud banaye). Mai hairaan hoon ye dekh kar ki ek mushabahat karne wala dusre mushabahat karne wale ki mushabahat kar raha hai (an imitator imitating another imitator).

AL-QAWL AL-MUBEEN 60,374.

LEKIN

Jummah se pahle nawafil namaz padhna mustahab hai jitni bhi tadad me koi padhna chahe. Lekin agar Imam Khutba de raha ho to sirf 2 rakat padhna hai jiski dalail aage article me di gai hai-

۩ Hazrat Salman Faarsi r.a. riwayat karte hai ki Nabi kareem ﷺ ne farmaya, "Jo shaks Jummah ke din ghusl kare aur khoob achhi tarah se paaki hasil kare aur tel istemal kare ya ghar me jo bhi khushbu mayassar ho istemal kare fir namaz e Jummah ke liye nikle aur masjid me me pohoch kar do admiyo ke darmiyan na ghuse, fir jitni ho sake nafil namaz padhe aur jab Imam khutbah shuru kare toh khamosh sunta rahe toh us ke us Jumma se lekar dusre jummah tak saare Gunaah muaaf kar diye jate hai."

Sahih al Bukhari, Kitabul Jummah, hadith- 883.
_________________________________________________________________________________

JUMMAH SE PAHLE SUNNAT NAMAZ PADHNE KI KUCH HADITHS MILTI HAI LEKIN WO SAARI HADITH USOOL E MUHADDISEEN PAR ZAIF HAI. IN ZAIF HADEES KI TAHKEEK PADHNE KE LIYE YE ARTICLE CHECK KARE: 
_____________________________________________________________________________

AGAR KOI SHAKS JUMMAH KO MASJID AATA HAI TO USE BAITHNE SE PAHLE DO RAKAT (TAHYATUL MASJID) PADH KAR BAITHNA CHAIYE


۩ Rasool Allah jummah ka khutba irshad farma rahe the ke ek shaks masjid me aaye aur 2 rakat padhe bagair baith gaye. Nabi e Rahmat ne poocha: kya tum ne 2 rakatei’n padhi hai?

Inho ne arz ki: Nahi Ya RasoolAllah!

Aap ne hukam diya: ‘Khade ho jaao aur 2 rakatei’n padh kar baitho.’

Fir Aap ne (saari ummat ke liey) hukam de diya: ‘Jab tum me se koi aise waqt masjid me aaye ke imam khutba (juma) de raha ho to use 2 mukhtasar si rakatei’n padh leni chahiye.’

(Bukahri: al Juma 930,1166 – Muslim: al Juma 875)
_________________________________________________________________________________

۞ JUMMAH KE BAAD KI SUNNATE

۩ HAZRAT ABU HURAIRAH R.A. se riwayat hai ki RASOOLALLAH ﷺ ne farmaya jab tum mai sai koi jummah ki namaz parhay tu chahiya ke iss ka baad 4 rakat aur parhay.

SAHIH MUSLIM (Book #004, Hadith #1915)

۩ HAZRAT IBN-E-UMMAR R.A. sai riwayat hai ki RASOOL ALLAH ﷺ namaz-e-jumma k baad koi namaz nahi parhtay thay yahaan tak ke ghar tashreef la jatay aur phir ghar main hee 2 rakaatain parhtay .

ABU DAWOOD (Book #3, Hadith #1127)

IS HADITH SE YE PATA CHALTA HAI KI AGAR KOI SHAKS JUMMAH KE BAAD MASJID ME SUNNATE PADHNA CHAHTA HAI TO WO 4 RAKATE PADHE AUR AGAR GHAR JA KAR PADHNA CHAHTA HO TO WO 2 RAKAT NAMAZ PADHE.

ALLAH HUM SAB KO HAQ KO SAMAJH KAR USPAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYE. AAMEEN.

•٠•●●•٠•
Related: