Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Kabr Par Phool Rakhne Ke Ahkaam


Allah pak Quran me farmate hai

..Aur hamne yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri hai musalmanon kay liye.
(al Israa :89)

Mohammad ﷺ ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto ki mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
[Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676).

Kuch Muslims ka aqidah hai ki wo kabr par phool rakhte hai aur wo is amal ko murdo ke liye faydemand samajhte hai. Asal me ye ahkaam na to kitab e hidayat me hai aur na hi sunnat e Rasool me. Kabr par phool rakhna Deen me nayi chiz hai.

Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.

Sahih al bukhari, had-2697. Sahih Muslim, had-1718.

Kuch log apne is amal ki himayat karne ke liye ek hadith pesh karte hai:

Ibn Abbas r.a. riwayat kahte hai: RasoolALlah ﷺ do kabr se guzre aur farmaya."In dono ko saza ho rahi hai lekin us chiz ke liye nahi jisse bachna mushkil tha. Un maise ek ko saza isliye ho rahi hai kyuki wo peshab ke katro se(apne jism aur kapde) ki hifazat nahi karta tha. Aur dusra shaks logo me galat baate failata tha." Fir unhone ek Taazi Khazur ke patte ki daal liya aur usko do bhag me takseem kar diya aur use do kabro se har ek par ek tukda rakh diya. Unlogo ne farmaya:"Ae RasoolAllah apne ye  kyu kiya? 
RasoolAllah ne farmaya: "Shayad ye azaab kam ho jaye jab tak ye sukhi nahi hoti".
[al-Bukhaari (218) and Muslim (292)]

Ab jo log ye hadith pesh karte hai un ke ilm ke liye bata du ki jo amal RasoolAllah ﷺ ne kiya wo do tarha ke hote hai. Ek wo amal jo sare muslims ko amal karne ke liye hoti hai aur dusra wo amal jo khas RasoolALlah ke liye hoti hai jise mojzah kahte hai. To ye amal mojzah hai kyuki na hi RasoolAllah ne apne sahabi ko ye amal karne ka hukm diya aur na hi ye amal kisi sahaba ne kiya. Agar ye amal mojzah nahi hota to sahaba bhi kasrat se ya amal karte par haqiqat me aesa kuch nahi hai. Ab sahih hadiths me ek aur riwayat hai ki RasoolAllah  ﷺ ne chand ko ungli ke ishare se do tukde kiye to kya ummat e mohammadi ko bhi chand ko ungli ke ishare se do tukde karne ki koshish karni chaiye???? Ye bilkul hi aql ke khilaf hai aur sath-sath islami shariah ke khilaf bhi hai.

Dusri baat RasoolAllah ne hame kabr ki ziyarat ka tarika sikhaya hai lekin un ke tarike me is amal ka zara bhi zikr nahi hai.

Shaykh Ibn Baaz farmate hai:

Ye(amal) Islam me mashru nahi hai, balki ye biddat hai. Kyuki RasoolAllah ﷺ ne wo daal sirf un do kabro par hi rakha jinke aazaab ka unhe ittela diya gaya tha; unhone ye daal un do kabro ke alawa kisi aur kabr par nahi rakha. Aur Isse hame ye pata chalta hai ki ye kabr par rakhne ki ijazat nahi hai kyuki RasoolALlah ﷺ ne farmaya: " Jisne hamare is Deen me koi aisi baat shamil ki jo is maise nahi hai to wo mardud hai. Aur Sahih Muslim me bhi riwayat kiya gaya tha ki Agar koi shaks koi aesa amal karta hai jo is(Deen) maise nahi hai to wo mardud hai."

Isi tarha Kabro par likhna ya kabro par phool rakhne ki ijazat nahi hai isi do hadith ki wajeh se jo upar bayan ki gai hai, aur kyuki RasoolAllah ne kabro ka pakka karwana, un ke upar imarat banwana, un ke upar baithna aur un ke upar likhna mana farmaya tha.

Majallat al-Buhooth al-Islamiyyah, 68/50.

JO chiz pe amal karna hai hame RasoolAllah  ﷺ ne bata diya hai. Agar Kabr ke upar phool rakhne me bhi koi sawab ya fayda hota to RasoolAllah  ﷺ hame zarur bata kar jate. Unhone nauzbillah ummat se koi baat chupai nahi hai.
Mohammad ﷺ ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”
[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani].

Note:-  Ye saare ahkaam sirf us masle me hai jab ek shaks kabr par phool dalne ko Deen ka hissa samjhe. Agar koi ise Deen ka hissa na samajh kar kar raha ho ya fir sirf mayyat ki muhabbat me kar raha ho (bagair Deen ka hissa samjhe) to us par ye ahkaam nahi lagte na hi uske is amal ko biddat kaha jayega. Lekin is baat ko dhyan me rakhe ki phool dalna ziyarat e kabr ka hissa nahi nahi, Ye khud Mufti Akmal kahte hai jo barelwi fikr se talluq rakhte hai (Daleel) .

Wallahu alam.

•٠•●●•٠•

Prepared by:- Faisal Khan.

Post a Comment