Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Khane Ke Aadaab

hi 
Allah ﷻ Quran majeed me farmate hai,

"Aur khoob khao aur piyo aur hadd say mat niklo. Be-shak Allah hadd say nikal janey walon ko pasand nahi karta".

Surah Aaraf, ayat-31.

۩1 KHANE SE PEHLE HATHON KO DHOYA JAAYE

Rasool ﷺ jab khane ka irada karte to pehle apne hath dhote phir khate.

(Sunan Nasai, 256)

۩2 KHANA BAITH KAR KHAYA JAYE

Nabi ﷺ ne is baat se manaa farmaya ke koi shaqs khada hokar pani piye. Qatada kahte hai hum ne (Anas rz se) kaha Khane ke baare me kya hai ? To inhon ne kaha ye zyada shar wala aur ganda amal hai.

(Sahih Muslim 5275)

۩3 BISMILLAH PADH KAR KHANA SHURU KIA JAAYE

Rasool ﷺ ne farmaya "Jab tum me se koi khana khane lagee too bismillah padh lee agar shuru me bismillah padhni yaad na rahe too khane ke dauraan jab bhi yaad aaye too ye padhle:bismillahi fii awwalihi wa akhirihi.

(Tirmizi 1858)

۩4 KHANA DAYI HATH SE KHAYE

Rasool ﷺ ne ne farmaya: "Jab tum me se koi (khana) khaye toh dayen(right) hath se khaye aur jab pani piye too dayen hath se piye. Be shak shaitan bayen(left) hath se khata aur peeta hai.

(Sahih Muslim 5265)

۩5 KHANA BARTAN KE ATRAAF(NAZDEEK) SE KHAYA JAAYE

Nabi ﷺ ne farmaya: "Tum pyale ke atraaf(Nazdeek) se khaao aur iske darmiyaan se na khao, be shak barkat khane ke darmiyan me utarty hai.

(Musnad ahmed 2439)

Aap ﷺ jab khana tanawal farmate(khate) too apne samne se khate.

(Al-Silsilate as-sahiha 2062)

۩6 KHANA TEK LAGA KAR NAA KHAYA JAYE

Rasool ﷺ ne farmaya: "Tek laga kar naa khaao."

(Al-Silsilate as-sahiha 3122)

۩7 KHANA GARAM GARAM NA KHAYA JAYE 

Sayedah Asma binte Abu bakar rz jab Sareed banaty to ise kisi cheez se dhanp dety yahan tak ke iska josh aur dhuwa khatam hojata phir farmaty ke maine Rasool ﷺ ko farmate hue suna hai ke ye zyada barkat wala hota hai.

(Musnad Ahmad 26958)

۩8 KHANE ME AIB NA NIKALA JAYE

Allah ke Nabi ﷺ ne kabhy khane me kabhy aib nahy nikala agar khane ki khwahish hoty to tanawal farmate(khate) warna chor dete.

(Sahih Bukhari 5409)

۩9 KHANA PET BAHAT KAR NA KHAYA JAYE

Rasool ﷺ ne farmaya ;admi apne pet se zyada badtareen kisi bartan ko nahi bharta,adam ke bete ke liye itne luqme hi kafi hai jo iski kamar ko sidha rakhe aur agar zarury hi hojaye too pet ke ek hisse ko khane ke liye aur dusre ko pani ke liye aur tisre ko sans ke liye rakhe. 

(Sunan Tirmizi 2380)

۩10 KHANA MIL KAR KHAYA JAYE

Rasool ﷺ ne farmaya: "Allah tala ke yahan mehboob khana wo hai jis par hath zyada ho."

(Musnad Abi Ya'la Al Musli 2045)

Sahaba ne Aap ﷺ se kaha ke hum khana khane bawajuud sair nahi hote, 

Aap ﷺ ne farmaya shayad ke tum alahida alahida(alag alag) khate hoo? Sahaba kehne lage: Ji haan, too Aap ﷺ ne farmaya: Tum apne khane par jama hokar bismillah padh kar kahaya karo, Allah ki taraf se is khane me tumhare liye barkat daal di jayegyy.

(Sunan Abi Dawud 3764).

۩11 KHANE ME BADO KO MUQADDAM KIYA JAAYE

Syedna Huzaifa rz se riwayat hai ke hum jab Nabi ﷺ ke sath khana khate too apne hath na dalte yahan tak ke Aap ﷺ shuru karte aur hath dalte.

(Sahih Muslim 5259)

۩12 KHANE KE BAAD UNLIUON KO CHATA JAYE

Rasool ﷺ ne farmaya: Jab tum me se koi khana khaye too us waqt tak hath rumaal se naa ponche jab tak ke use chaat naa le ya chatwa na le.

(Sunan Abi Dawud 3847)

۩13 KHNANE KE BAAD HATHON KO DHOYA JAYE

Rasool ﷺ ne farmaya: "Jo shaqs is halat me raat guzare ke uske hathon me cikhnayi ki boo ho aur use koi cheez takleef pohunchye toh wo khud ko hi malamat kare".

(Sunan Tirmizi 1860).

URDU VERSION:-

10257716_739005072788395_3167978117389937416_o

Shukran to Al Huda International.

Post a Comment