Allah pak Quran me farmate hai
..Aur hamne yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri hai musalmanon kay liye.(al Israa :89)
Rasoollallah ﷺ ne farmaya
” Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai …”
Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.
Muslim ummah ke ek groh me ek riwaj paya jata hai ki wo kisi khas mauke par ya har jume-raat ko khane ke upar surah fatiha padhte hai aur fir uska sawab faut shuda logo ko baksh dete hai. Is amal ka zikr na toh kitab e hidayat me hai aur na hi sunnate Rasool me. Lihaza ye biddat me shumar hota hai.
Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.
Sahih al Bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.
Mohammad ﷺ ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto se mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
[Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676)].
Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”.
SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH-138).
RasoolAllah ﷺ ne hame biddat se bachne ki sakht nasihat farmai hai. So hame Allah se darna chaiye deen me nayi chize ijaad karne se aur biddat ko chor kar sunnat ko apnana chaiye.
Hamare bhai apne is amal ko support karne ke liye ek riwayat pesh karte hai. Jo ye hai:
Jabir bin `Abdullah bayan karte hai, Ham Ghazwa e Khandak ke mauke par khandak khod rahe the toh ek boht sakht chattan nikal aya, sahaba karaam r.a. Nabi ﷺ ki khidmat me Hazir hue aur Arz kiya: Khandak me ye ek chattan nikal ayi hai, Aap ﷺ ne farmaya "(Acha) Mai Utarta hu." Fir Ap khade hue, us waqt Ap ke pet par Patthar bandha hua tha, teen din guzar chuke the aur hamne koi chiz chakh kar bhi nahi dekhi thi, Nabi ﷺ ne Kudal pakad kar mari to wo (chattan) aesi ret ki manind ho gai jo aasani se girti hai, mai apni ahliya ke pas aya to pucha kya tumhare pas kuch (khane ko) hai? Kyuke maine Nabi ﷺ ko sakht bhuk ke aalam me dekha hai, Unhone ek thaili nikali usme ek Saa' Jau the aur hamare pas Bakri ka ek bachha tha, maine ise zibah kiya, Jau pise hatta ke hamne gosht ko handiya me rakha, fir mai Nabi ﷺ ke pas aya aur Sargoshi ke andaz me arz kiya, Allah ke Rasool! Hamne apna bakri ka baccha zibah kiya hai aur ek Saa' Jau ka aanta gunda hai, lehaza Aap Tashrif laye aur kuch sathiyo ko bhi sath le chale, lekin Nabi ﷺ ne zor se Awaz di Khandak Walo! Jabir ne ziyafat ka ehtemam kiya hai, Aao Jaldi karo. Rasool ﷺ ne farmaya Mere aane tak apni Handiya chulhe se na hi utarna aur na roti pakana shuru karna. Aap ﷺ Tashreef laye to maine apke samne aanta nikala, Aapne isme Lu'aab milaya aur barkat ki dua ki fir farmaya Roti pakane wali ko bulao wo tumhare sath roti pakaye aur Handiya se salan nikalte raho, lekin ise chulhe se niche na utaro. Wo ek Hazar ki tadad me the, Mai Allah ki kasam uthata hu ke in sab ne kha liya hatta ke wo bach gaya, aur wo wapas chale gaye jab ke hamari Handiya pahle ki tarha bhari hui thi aur Aante ki Rotiya pahle ki tarha pakai ja rahi thi.
Sahih al-Bukhari, hadith-4102.
Kya daleel di hai batil ne jab Nabi ﷺ ne roti[khane] me barkat ke liye duwa kari tu 1000 sahaba[ra] pet bhar kar khaye! Lekin unke yaha khane me barkat ke liye duwa ki jata hai tu 3 admiyo ka khana 1 hi admi kha jata hai. Ye unke liye sochne wali baat hai!!!
Jab Nabi ﷺ ne roti me barkat ke liye duwa ki toh Ap ﷺ ne kaunsi surat padhi yeh kisi sahaba r.a. ko malum nahi tha. Lagta hai unko ko ilm gaib hai kyu ke Nabi ﷺ ne bataya hi nahi ke unhone kaunsi surat ya ayat ya dua padhi hai Roti me barkat ke liye. Aur ye bhi baat qabile Gaur hai ki RasoolAllah ﷺ ne dua se pahle apna Lua'ab (thuk) dala usme. Ab agar isi hadith par amal karna hai to Mukammal hadith par amal kare aur Khane par Fatiha padhne se pahle usme Lua'ab (thuk) dala jaye aur fir sab ko parosa jaye. Fir dekha jaye wo barkat wala khana kaun khata hai. Dusre ko chhore wo khud nahi Khayenge jisne apna Lua'ab dala hoga usme. Is baat pe gaur karna chaiye unko.
Dusri baat, unki di hui ahadith se ye saaf pata chalta hai ki ye RasoolAllah ﷺ ka mojzah(miracle) tha aur agar kisi muslim me zara si bhi aql hogi to usko ye pata hoga ki mozza aur sunnat alag alag chize hai. Ummatio ko mojzah ka nai balki sunnah ka paband hona chaiye. Ab sahih hadiths me ek aur riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne chand ko ungli ke ishare se do tukde kiye to kya ummat e Muhammadi ﷺ ko bhi roz ya jume-raat ko ya hafte me ek baar ya kisi khas mauke pe chand ko ungli ke ishare se do tukde karne ki koshish karni chaiye???? Ye bilkul hi aql ke khilaf hai aur sath-sath islami shariah ke khilaf bhi hai.
Jo chiz deen hai hame RasoolAllah ﷺ ne bata diya hai. Agar khane ke upar surah fatiha padhne me bhi koi sawab ya fayda hota to RasoolAllah ﷺ hame zarur bata kar jate. Unhone nauzbillah ummat se koi baat chupai nahi hai.
Mohammad ﷺ ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”
[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942 . [Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani]
Post a Comment