Khate waqt salam karne me koi harj nahi hai, naahi sunnah me aisa kuch hai jo kahta hai ki ye amal ki ijazat nahi hai. Ye door tak faili hui afwah hai ki khane ke waqt salaam nai karna chaiye (“la salaam ‘ala ta‘aam”) ya salam ka jawab nai dena chaiye.
Al-‘Ajlooni (raheemaullah) ne Kashf al-Khafa’ me kaha: (Ye jumla) Khane ke waqt salaam nahi karna chaiye ye hadith nahi hai. End quote.
Kuch ulema ne kaha hai ki khana khate waqt hath nai mila sakte lekin salaam karne me koi harj nai hai.
Imam Nawawi (raheemaullah) al-adhkaar me farmate hai. Iski ek misaal kuch aisi hai ki agar koi kha raha ho aur us ke muh me niwale ho, agar koi use salam karta hai to wo salam ke jawab ka mustahik nahi hai. Lekin agar wo khana kha raha ho aur uske muh me niwale na ho to usko salam ka jawab dena chaiye.
Shaykh ‘Abd al-Rahmaan al-Suhaym (raheemaullah) kahte hai: Ye kalaam logo ki baate hai aur koi hadith nahi hai. Iska matlab sahih hai agar ye hath milane ke pashemanzar me kaha gaya hai lekin agar ye sirf salam kahne ke bareme me hai to ye mana nai hai jab koi kha raha ho. End quote.
Aur Allah sab se behtar janta hai.
Post a Comment