اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Dec 2017

Kya Allah Hamare Liye Kaafi Nahi??


۩ “Waqai, tum Allah ko chor kar jin ko pukarte ho, wo bhi tumhari tarah Allah ke banday hain, so tum inko pukaro! Phir inhe bhi chahye ke tumhara jawab de, agar tum sachay ho.” 

[surah A’raaf, surat 07, Ayat.194] .

۩ Aur agar ALLAH tumhain koi takleef pochchana chahy to is k siwa usy koi door karne wala nahi or agar wo tumhary sath bhalai ka irada kary to koi us k fazal ko rad karne wala nahi wo apne bandon me se jisy chahta hy apna fazal pohchata hy aur wo bara bakhsne wala nihayat meherban hai.
(sura yunus ayat # 107).

۩ Jin Jin Ko Ye Log Allah K Siwa Pukarte Hain, Wo (Log) Kisi Cheez Ko Paida Nahi Karsakte, Bulke Wo To Khud Paida Kye Gae Hain, (Aur Wo) Murde Hain, Zinda Nahi, Enhain To Ye Bhi Khabar Nahi K (Apni Qabron) Se Kab Uthae Jaenge.

[Surah Al Nehl 20-21 Ayah]

۩ Ye Log Apko Allah K Siwa Auron Se Dara Rahe Hain,Jise Allah Gumrah Karde Iski Rahnumai Karne Wala Koi Nahi. (Surah-Zam ar, Aayat-no35 )

۩ Aur Allah-Taal a Par Jo Bharosa Rakhta Hai Iske Liye Allah Kafi Hai” (Surah-Tal aaq, Aayat-no 03)

۩ Aur usse badhkar GUMRAAH kaun hai jo Allah ke alawa aiso ko PUKARE jo uska qayamat tak ka jawab nai de sakte, balki wo to GAFIL hai unke pukar se.

{Surah Al-Ahqaf 46:5}.

۩ Chaliye dekhte hai ki BABA(MAZARO WALE) jinse kuch muslim apni murade mangte hai..qayamat ke din wo kya jawab denge.

۩ “Aur jiss din Allah Taalaa inhen aur Allah ke alawa jinki yeh ibadat karte hai unhen jama keray ga ke kiya meray inn bandon ko tum ney gumrah kiya ya yeh khud hi raah say gumrah hogaye. Woh jawab den gay kay tu pak zaat hai khud hume hi yeh zaiba na tha kay teray siwa auron ko apna MADATGAAR(AULIYA) banatay. Baat yeh hai kay tu ney enhen aur inn kay baap dadon ko aasoodgiyan ata farmaeen yahan tak kay woh naseehat bhula bethay yeh log thay hi halak honey walay. To enhon ney to tumhen tumhari tamam baton mein jhutlaya ab na to tum mein azabon kay pherney ki taqat hai na madad kerney ki tum say jiss jiss ney zulm kiya hai hum ussay bara azab chakhayen gay.”

Surah 25, ayat 17-19.

۩ Aye Nabi ﷺ keh dijiye insano se ke tumhare nafa aur nuqsan ka ikhtiar sirf Allah k paas hai .

(Surah Jin:21).

۩ Aye logo! tum sirf Mere dar k faqeer ho .

(Surah Fatir:15)

۩ Aur tumhare Rab ka farman hai ki mujse mango Mai tumhari Duao ko Qubool karunga. (Surah Momin:60).

۩ “Yahi tumhara rabb hai isi ki hukumat hai aur jinko tum allah ke elawa pukarte ho wah khajoor ki guthli(seeds)ke barabar bhi ikhteyaar nahi rakhte, agar tum unko pukaro to we tumhari sunege bhi nahi aur agar sun bhi len to tumhara khuch bhi na kar saken aur qiyamat ke din we tumhare shirk karne se hi inkaar karenge aur tujhko khuday khabeer ka sa koi na batayega” (surah faatir 13 ,14).

۩ “Aap kah dijiye tumne apne khudaai shareekon ke haal par bhi nazar ki hai jinhe tum Allah ke siwa pukarte ho zara mujhe bhi batao ki unhone zameen ka Kaun sa hissa(part) banaya hai ya unka aasmaan me kuch saajha hai ya hamne unko kitab di hai ki ye usi daleel par qayam hai?” (fatir 40).

۩ Aur zyada taqeed karte hue farmaya

aur jinko tum allah ke elawa pukaate ho wah na to tumhari hi madad kar sakte hain aur na apni madad kar sakte hai. (Aaraf 197).

۩ “Aur tumhara Allah ke elawa koi bhi na kaarsaaz hai aur na madadgaar” (ash shuara 31).

۩ “Kah! Bhala batao to Allah ke elawa tum jinko pukaarte ho agar Allah mujhe koi taqleef pahunchana chahe to kya ye uski di hui takleef ko door kar sakte hain ya Allah mujh par inayat karna chahe to ye uski inayat ko rok sakte hai” (zumar 38).

۩ “Woh jo sab beqaraar ki fariyad sunta hai jab wah use pukaarta hai aur musibat ko door karta hai aur tumko zameen me tasarruf waala banata hai kya Allah ke elawa aur koi aur bhi khuda Hai? Tum log bahut kam hi gaur karte ho” (namal 62).

۩ “Kah dijiye ki to kya tumne (phir bhi) uske elawa aur qaarsaaz karaar de liye hain to apni hi zaat ke liye nafa wa nuksaan ka ikhtiyaar nahi rakhte” . (Raad 16).

۩ “Aur usse badhkar gumraah kaun hoga jo allah ke elawa auron ko pukaare jo qiyamat tak bhi uski baat na sune balki unke pukaarne ki khabar tak na ho” (ahkaaf 5).

۩ “Aye Nabi ﷺ! Apko Aur Aur Apke Pairo kaar Ahle Emaan ko Bas Allah Hi Kafi Hai” .

Surah anfaal Ayat no :64.

۩ Mohammad ﷺ ne farmaya, “Allah us se naraaz hota hai jo Allah se nahi mangte”.

SUNAN TIRMIDHI (Book 48, Hadith 4). 

۩ “(Ae Muhammad ﷺ)Aur jab aap se ye mere bande mere baare me pucha karen to ap unse kah de ki main qareeb hi hun, pukarne waale ki pukaar ko sunata hu aur qubool karta hun jab kabhi bhi woh mujhe pukare to (logon ko) bhi chahiye ki mere ahkaamon ko maane aur mujhpar imaan laayen taaki wo hidayat paa jaaye” . (surah Baqarah 186).