Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Dec 2017

Kya Quran Ko Samajh Kar Padhna Zaruri Hai ??


Quran e paak Allah swt ki aakhri wahi hai jo Allah ke aakri Rasool Mohammad ﷺ pe nazil hui thi. Quran majeed duniya me sabse behtreen kitab hai. Ye sari insaniyat ke liye hidayat hai.

Ye quran majeed hikmat ka fawwara(jharna) hai.

Jo log nahi mante un k liye sakhti hai.
Jo log bhatke hai unko sidhi raah dikhati hai ye quran majeed.
Ye ek itminan hai jinko shak hai.
Jinko mushkilat hai unke liye rahat hai.

Ye saari khubia koi hasil nahi kar sakta jab tak wo quran ko samjhe nahi aur quran pe amal nahi kare.

Quran majeed duniya me sabse zyada padhi jani wali kitab hai lekin afsos ki baat hai ki ye wo bhi kitab hai jo duniya me sabse zyada bina samajh ke padhi jati hai. Isi liye jo ham musalma aur Quran ka rishta hai wo kamzor hota chala jara hai. Kitni afsos ki baat hai ki ek shaks Quran ke kareeb hata hai, Quran padhta hai lekin uski zindagi me koi bhi tabdili nahi ati. Us ke jine ke tarike me uske rahen sahen me koi fark nai ata. Uska dil zara bhi nai pighalta. Afsos ki baat hai ki ek shaks quran ke kareeb ata hai aur usme zara bhi tabdili nai ati. Allah pak farmate hai

Surah Imran ayat 110: Tum behtreen ummat ho kyuki tum logo ko achai ke taraf bulate ho aur burai se rokte ho aur ek Allah par eeman rakhte ho.

Agar ham logo ko achai ke taraf bulana chahte hai aur burai se rokna chahte hai to zaruri hai ki ham quran samajh ke padhe. Agar ham Quran ko samajh ke nahi padhenge to ham logo ko achai ke tarf kese bulaenge aur burai se kese rokenge. Aur agar ham quran samajh ke nai padhe, logo ko achai ke tarf nai bulae, burai se nai roke to ham khaira umma kahlanene ke layk bilkul nahi hai, ham musalman kahlane ke layk nahi hai.

Afsos ki baat hai ki ham ise sirf upari izzat dete hai asal izzat nahi. Alhamdulilah upari taur par izzat dena achi baat hai par itni izzat mat dijiye ki is kitab ka maksad hi faut ho jaye.

Quran ka asal maksad hai Hidayat dena aur ye tabhi hoga jab ham isko samajh ke padhenge na ki ise Taawiz banakar latkane par ya murde ke samne padhne par ya ise gilaf me bandh kar rakh dene par.

Baat kadwi hai par afsos ki baat hai ki ye sach hai, aj Quran ki asal fayde ko chor kar isse baki tamam fayde uthae ja re hai.

Allah pak farmate hai,

02.01- Alif laam meem

02.02- Iss kitab (kay Allah ki kitab honey) mein koi shak nahi, perhezgaron ke liye Hidayat hai.

14.01- Alif-laam-raa! Yeh aali shaan kitab hum ney aap ki taraf utari hai kay aap logon ko andheron say ujalay ki taraf layen inn kay perwerdigar kay hukum say zabardast aur tareefon walay Allah ki taraf.

Kuch log kahte hai ki Quran boht mushkil hai samajhna ham aam aadmi Quran nai samajh sakte. Unlogo ko Quran ki is ayat pe eeman lana chaiye:

Aur hamne is quran ko samajhne ke liye aasan kar diya hai toh kya koi hai jo isse nasihat haasil kare?

Surah Qamar(54), ayat-15, 17, 22, 32.

Allah pak Quran ki Surah Qamar me, ek hi surah me is ayat ko char baar dohrate hai. Toh Allah kah rahe hai ki Quran ko samajhna aasaan hai aur kuch log kahte hai mushkil hai..ab ye hamari aql par depend karta hai ki hame kis ki baat manni chaiye.

Allah pak farmate hai,

Aur beshak is quran me unlogo ke liye nasihat hai jo log samajh rakhte hai.

Quran, 39:21.

Quran Samajh Kar Padhne Ke Fayde:

Allah pak farmate hai,

Aur beshak is quran me unlogo ke liye nasihat hai jo log samajh rakhte hai.

39:21.

Allah pak Quran, Surah Bani Israil, Surah No:17, Aayat No-9 me farmate hai ( Inna Hazal Quraana Yahdi Lillati Hiya Aqwam ) Yaqinan Ye Quran Wo Raasta Dikhata Hai Jo Bahot Hi Sidha Hai.

Itni Fazilat aur sawab hone ke bawujud hamne isko samajhne ki zarurat nahi samjhi. Ye hamare kam ilmi ki wajah se hai ki hamne:

Amal Ki Kitab Thi
Wazefon Ki Kitab Bana Diya..

Samjhne Ki Kitab Thi
Parhne Ki Kitab Bana Diya..

Zindon Ka Dastoor Tha
Murdon Ka Manshoor Bana Diya..

Inqelab Ki Kitab Thi
Sirf Sawab Ki Kitab Bana Diya..

Jo Ilm Ki Kitab Thi
Use La-Elmon K Hath Thama Diya..

Taskheer e Qainat Ka Dars Dene Aai Thi
Sirf Madarson Ka Nisaab Bana Diya..

Murda Qawm Ko Zinda Karne Aai Thi
Murdon Ko Bakhshwane Par Lagwaa Diya..

Socho Musalmano Ye Hum Ne Kiya Kiya.

Aur isi wajah se RasoolAllah ﷺ qayamat ke din Allah se hamari shikayat karenge..Allah pak Quran me farmate hai:

Aur (kayamat k din) RasoolAllah ﷺ kahenge ki Ae mere Rab! meri ummat ne is Quran ko chor rakha tha.

Quran, 25:30.

Toh mere azeez bhaiyo aur behno apni aakhirat ki parwah kare aur Quran ko samajh kar padhe. Kya ap nai janna chahenge ki Ap ke Allah ne apko kya message bheje hai..Facebook aur Whatsapp ke messeges se zyada apko apne Rab ke messeges se muhabbat honi chaiye. Agar apko arabic nai aati to ap iska tarjuma padhe kamaskam, us zuban me jisme apko samajhne me sabse zyada aasani hoti hai.Ek aur ahem baat ki Quran ko sirf zeenat aur barkat ke liye takon me saja kar na rakha jaye balki use bar bar padha jaye aur us par amal kiya jaye kyu ki Quran pak kitabe barkat ke sath kitabe Hidayat bhi hai, Allah ham sabo ko Quran majeed ko padhne, samajhne aur us par amal karne ki taufeeq ata farmaye.AAMEEN
“Wo mu’azziz they zamane mein Musalma hokar
aur Ham khwar huey tarike Quran hokar”

Post a Comment