Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

28 Dec 2017

Kya Rasool Allah s.a.w. Aadam a.s. se Pahle The ?

Hazrat Jabir RaziAllahoanha Se riwayat he ke Main ne bargah e Risalat Me Aap ﷺ Arz Kia: Ya Rasoolullah Mere maa baap Aap par Qurban! Mujhe Batayen ke Allah taa’ala ne Sab se Pehle Kis Chez ko Paida kia?
RasoolULLAH ﷺ ne farmaya: ” Ae Jabir! beshak Allah Taala ne tamam Makhlooq (Ko paida karne) se pehle Tere Nabi Ka noor Apne Noor se Paida farmaya, Ye Noor Allah ki Mashiyat se jahan Us ne chaha Sair karta raha. Us waqt na loh thi Na Qalam, Na Jannat thi na dozakh, na (koi) farishta tha na Asman na zameen, na suraj tha na chand, na jin the aur na insan,jab Allah taala ne Iradah Farmayake makhlooq ko paida kare to Usne Is Noor ko char Hisson me taqseem kardia. Pehle Hisse se Qalam banaya, dusre hisse se Lohor teesre hisse se arsh banaya. Phir chothay hisse ko mazeed char hisson me taqseem kia to pehle hisse se arsh uthane wale farishte banaye or doosre hisse se Kursi or teesre hisse se baqi farishte paida kie. Phir chotay hisse ko mazeed char hisson me taqseem kia to Pehle hisse se asman banae, dusre hisse se zameen or teesre hisse se Jannat or dozakh banai, Phir chotay hisse ko mazeed char hisson me taqseem kia to Pehle hisse se Momino ki Ankho ka noor banaya, Dusre Hisse se in ke Dilo ka noor (Yani Allah ki muarfat) banaya, teesre hisse se In ke Ins ka noor (Yani Tauheed LAAILAAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH) paida kia…”

Ye Riwayat Bagher Mukammal Sanad (Unauthenticity) ke In Kutub Me mojood he:

(Al Muwahib al ladunniyya, Jild:1 Page: 89, Kashful Khafa, Page: 237, Hadith# 826, Fatawae Hadithiya, Page:206, Madarij un Nabuwwah, jild:2, Page:2, waghera…. )
Is Riwayat Ke Zaeef hone ki Waja ye he ke Is Riwayat ki Sanad in kutub me is tarah he ‘ Imam Abdur Razzaq ki riwayat hay jisy unhoun nain apni Sanad say Jabir Bin Abdullah (RaziAllahoanho) say riwayat kia hay:’
*Imam Abdur Razzaq ki Paidaish (birth) 126 hijri he (Tehzeeb ul kamal, Jild:6, page: 85 Number: 4185) or Hazrat Jabir RazirAllahoanho ki Tarikh e Wafaat (death) 78 Hijri he (Tehzeeb ul Kamal, Jild:2, Page:160, Number:873)
Dono Raawio ke darmyan 48 saalka waqfa he or Is he lie ye riwayat Mangharat kahi jati he ke is ki Mukammal sanad (chain of narrators) bhi malum nahi hosaki or na Imam Abdur Razzaqki likhi jane wali kisi bhi kitab me Is riwayat ka koi nishan hai, Ap ki likhi hui kitabo me (1-Tafseer ul Quran Al-sanani, 2- Musannaf Abdur Razzaq, 3-JamaeKabir) hain magar kisi kitab main bhi yeh riwayat mojood nahi. Taqreeban adhi sadi ke arse me Do ya Ek Rawi to Imam Abdur Razzaq ki sanad me Hona chahiye tha magar Ye Mangharat Riwayat, Sanad Munqata (breakage) ki Waja se bhi Mozoo qarar di gai he. Is Riwayat Ko katibeen ne Bagher Mukammal Sanad ke likha he or iski Nishandahi ki gai he jiski koi haqiqi hesiyat nahi hai.

Aaj k daur ke kuch Kazzabo or Firqa Parast logo ne is Hadith ko sahih sabit karne ke lie Ek Besanad Kitab (Juz al-Mafqud min al-Juz al-Awwal min al-Musannaf Abdur Razaq “Yani Musannaf AbdurRazzaq kay Pehlehissay Ka Gumshuda Hissa”) 2005 me publish kar ke is riwayat ki Sanad paish karna chahi Magar AlhamadoLILLAH wois sazish me nakam hue or Musalamano ko dhoka dene me unhain Ulama e Haq ke samne sharam ka samna karna para, Is Kitab me in Gumrah logo ne 40 ke Qareeb ahadith o athar likhe hain, Agar is kitab me Is riwayat ko Pichli kutub se milaya jaye to

Mazkoora Riwayat or Juz e Mafqud (Yani Jaali Juz) ki riwayatke Alfazo (matan) me Farq he jo bilkul Wazeh kardeta he ye Ye kitab bhi jhooti hai

Is Gumshuda Nuskhe Ka Likhne Wala ‘Ishaq Bin Abdur Rahman AlSulemani’ bataya jata he (see Juze Mafqud, Page 10), Jo ke Majhool (Unknown) he or Us ki Imam Abdur Razzaq tak ki sanadbhi na-mukammal (Break) he.

Is Jaali Nushke or Jhooti Hisse kiPakar karte hue Musalmano ke samne iski Haqiqat paish karne ke lie Ulama ne bohot bareeki se ilmi or tehqeeqi jaiza likha he jo PDF file me yahan se download kia jaskta hai
Baaz Log Ye dhoka dete hain ke Ye Kitab Jeddah, Saudia Arab se bhi shaye hui he Magar ye Jhoot he Wo Kitab asal me Is ka Radd (Jawab) he jo ke is ko Mangharathone ke lie Likhi gai he, Aam logo ki arabic se la ilmi ko samne rakhte hue inho ne Us kitab ke 2 pages bhi scan kie hain. Allah hidayat ata farmayen or Sahih Deen ko Samajhne or Is Par amal karne ki tofeeq ata farmayen or Iman me Barkat ata farmayen…

Continue…..
——————————————

Continue Description of Zaeef Riwayat #3

Riwayat e Noor (Hazrat Jabir RaziAllahoanho) Apni Sanad ke lehaz se To Zaeef Sabit hoti he hai, lekin Us ka Matan (Mafhoom)bhi Quran or Ahadith e Sahiha (Authentic Ahadith) kay bhi Bilkul Khilaf he:


Jesa Tirmizi Sharif, Abu Daud, Musnad e Ahmad or deegar Kutub e Ahaadith me Ye Sahih o Mustanad Hadith he

Ubadah Bin Samit (RaziAllahoAnho) Bayan karte hain ke, Muhammad Ur RasoolUllah ﷺ ne farmaya:

“Sab se Pehli Cheez Jo Allah Ne Paida farmai wo Qalam thi, Phir Usse Kaha ke Likho, To is Qalam ne kaha Kia Likhun? Allah ta’aala Ne Farmaya: Taqdeer likho, Qayamat tak qayem hone wali har har cheez ki.”
References: (Jamia Tirmizi, Kitab ul Qadr, Hadees Number: 2162, Abu Daud, Kitab us Sunnah, Hadees Number: 4700, Musnad e Ahmad, Jild: 5, Hadees Number: 21649, Behqi, Mishkat waghera…)

Is Sahih Hadith e Rasool ﷺ ko samne dekh kar khud andaza hojata he ke Allah ne Sab se pehle kia paida farmaya or Kia Aqeedah Islam hamain sikhata he.


Hadith e Noor, Islam ke Ek is Bunyadi Aqeedah ke bhi Khilaf he ke Allah Subhanahu WaTa’aalane Poori insaniyat ke Walid Hazrat Adam Alaihesalam ko Bina Maa or Baap ke Matti se paida farmaya jesa Allah ta’aala ka farman he:
Allah Ta’alaa kay nazdeek Eesa (alaih-e-salam) ki Misal Hoo ba hoo Aadam (alaih-e-salam) ki Misal jesi hai Jinhain Mitti say bana ker Farma diya kay (Insan) ho ja! Pus woh hogaya! (Surah Aal e Imran, Ayat: 59)

Aur Hamare Piare Nabi Muhammad Sallallahoalaihe wasallam ke Walid or Walidah dono Mojood the aur Aap Sallallahoalaihe wasallam, HazratAadam alaihesalam he ki Aulaad me se hain Aur jesa Aap Sallallahoalaihewasallam ne Farmaya:


“Allah Taalaa ne Farishto ko Noorse paida farmaya or Iblees ko Aag se, Aur Aadam alaihe salam ko jis cheez se Paida kia gya Wo Quran me batadia gya he. (Yani Mitti se)”

(Sahih Muslim, Kitab uz Zohod, Hadees Number: 7495)
Is Bunyadi Taleem or Aasan Nazariye ko Batil Firqo ne Apne tor par badalne ki koshish ki magar wo Hamesha ki tarah Nakam he hue. Sach ke aagay un ka dhakosla bilkul bekar sabit hua.

Tamam Ambiya Alaihemussalam Insan (bashar) The or unki Takhleeq bhi Mitti he se hui Jese Hazrat Aadam Alaihesalam ki huior Allah ne Noor se Farishto ko paida farmaya na ke Insano ko. Allah ta’ala ne Apne Inhe Bando me se Hidayat phelane ke Lie Nabiyo ko chuna ta ke Poori duniya ke lie Misaal sabit hosaken Aur Hamare Aakhri NabiRehmat e Do Aalam ﷺ ko Bhi Taa Qayamat Aala Misal Muntakhib kia or Buand o Behtreen Rehnumai sabit karwai.

Allah Ta’ala Farmate Hain:

“Aur Hum ne Aap ﷺ se pehle Mard he (Bator Peghambar)Bheje, Jin ki taraf Hum Wahi bhejte the. Agar Aap nahi jante to jo Yaad rakhte hain un se Malum karlen. Aur Hum ne un ke lie Aise Jism nahi banaye the ke Khana na Khayen or Na wo Hamesha Zinda rehne wale the” (Surah e Ambiya, Aayat: 7)

Aur Allah Subhanahu WaTa’aala ne Farmaya:

“Aap ﷺ farmadijie ke Mein Tumhari Tarah he Bashar (Insan) hun, (Han) Meri Janib Wahi Ki Jati he ke Sab ka Mabood Ek he Mabood (Allah) he, To Jisay bhi apne Rab se milne ki aarzu ho to usay chahiye ke naik aamaal kare aur Apne Parwardigar ki ibadatme kisi ko shareek na kare” (Surah e Al Kahf, Ayat: 110)

Aur Irshad Kia Ke:

“Aap ﷺ farmadijie Ke “Mein Tum se ye Nahi Kehta ke Mere Pas Allah ke Khazane Hain, Or na ye ke Main Ghaib ka Ilm Janta hun or Na Main tum se ye kehta hun ke Me Farishta hun, Balke me To Wahi ki Itteba karta hun jo Meri taraf bheji jati he, Aap ﷺ kahiye ke Andhaor Beena Kahin Barabar hosakta he, So kia tum Ghor nahi karte?” (Surah e Anaam, Ayat: 50)

Hadith e Noor apni sanad or matan me bilkul Wazeh tor par Mangharat sabit hoti he Ke us ka hamare Deeni Aqaid or Nazariyatme koi wujood nahi he, Allah ta’aala Hamain Asal Deen ko Samajhne Or Kitab o Sunnat se Muhabbat ka jazba Ata farmayen or Logo ki Islah Farmayen Batil o Bewajood Aqaid or Dalail se Hamari bhi Hifazat farmayen. Aameen

Post a Comment