Mughaira bin Shoba r.a. bayan karte hain ke ek safar mein, mein Nabi e Rahmat ka hamrah tha. Main ne wuzu ke waqt chaaha ke Aap ke dono’n mauze utaardu’n.
Aap ne farmaya: inhein rehnedo main ne inhei’n tahaarat ki haalat me pehna tha phir aap ne in par masah kiya.
(Bukhari: al Wuzu 206 – Muslim: al Tahaara 274)
Shareen bin Haani farmate hain: ‘Main ne Sayyadna Ali r.a. se mauzo’n par masah karne ke muddat ke muta’alliq poocha to Sayyadna Ali r.a. ne farmaya: Rasool Allah ne musafir ke liey (masah ki muddat) teen din raat aur muqeem ke liey ek din raat muqarrar farmai hai.’
(Muslim: al Tahaara 276)
Imam Nawavi, Imam Auzaai aur Imam Ahmad kehte hain ke masah ki muddat mauze pehenne ke ba’ad wuzu ke toot jaane se nahi balke pehla masah karne se shuru hoti hai, ya’ani agar ek shaqs namaz e fajar ke liey wuzu karta hai aur mauze ya jurabei’n pahen leta hai to agle din ki fajar tak wo masah karsakta hai.
Safwaan bin A’asaal r.a. riwayat karte hain ke jab ham safar mein hote to Rasool Allah s.a.w. hamei’n hukam dete ke ham apne mauze 3 din aur 3 rato’n tak paaqhana, peshab ya sone ki wajah se na utarei’n (balke in par masah karein) haa’n janaabat ki soorat mein (mauze utarne ka hukam dete).
(Tirmizee: al Tahaara 96 – Nasai V1 P83, 84, 98) Ise Imam Tirmizee, Imam Ibne Qhuzaima, Imam Ibne Hibban aur Imam Nawavi ne Saheeh kaha)
Is hadees se ma’aloom hua ke Jumbi hona masah ki muddat ko qhatam kardeta hai. Is liey ghusl janaabat me mauze utarne chaahiey al batta bol o baraaz aur neend ke ba’ad mauze nahi utarne caahiey balke ma’aeena muddat tak in par masah kar sakte hain.
Mauze agar leather ke na ho:
Arabic zuban me chamde ke moze ke liye lafz istemal hota hai Khuffayn. Aur dusra lafz Jawrabayn hai. Arabic dictionary al-Qaamoos ke mutabik jo cheez lifaafe ki tarah pao’n par pahen lien wo Joraab hai.
Khuffayn par masah karna sunnat hai aur ispar hamare muashre me koi ikhtilaf nahi hai lekin ikhtilaf Joraab par hai.
Abu Bakr ibn al-‘Arabi (Ulema, born on 468 Hijri) farmate hain: “Joraab wo cheez hai jo pao’n ko dhaa’npne ke liey Oon ki bani jaati hai, jo paao ko garam rakhne ke liye pahni jati hai.”
Joraab par masah karne par sahaba ka ijma bhi hai.
Ek hadith hai,
Al-Mughirah ibn Shu’bah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Wuzu kiya aur Jurabo aur Juto par masah farmaya.
Sunan Abu Dawud, Kitab Al-Tahara, hadith-159; Sunan Tirmidhi, Kitab Al-Tahara, hadith-99.
Lekin ye hadith Zaif hai kyuki isme Sufyan ath-Thawri Mudallis hai aur wo An se riwayat kar rahe hai. Lekin iske sath Imam Abu Dawud aur Imam Tirmidhi ne salaf ka manhaj likh diya hai aur wo hamare liye aham hai.
Is hadith ke baad Imam Abu Dawood ka Qawl hai:
Imam Abu Dawood farmate hai ki ‘Ali b. Abi Talib, Ibn Mas’ud, al-Bara’ b. ‘Aziz, Anas b. Malik, Abu Umamah, Sahl b. Sa’d, ‘Amr b. Huriath, Umar bin Khattab aur Ibn Abbas se Juraabo par masah karna sabit hai.
Imam Tirmidhi is hadith ke baad farmate hai,
“Jurabo par masah karna agarche Naalain (shoes) na ho ye ahle ilm se boht logo ka qawl hai Aur is ke kayl hai Sufyan Ath-Thawri, ibn Mubarak, Imam Shafi, Imam Ahmad aur Ishaaq. Abu Muqatil As-Samarqandi ek baar Abu Haneefa ke paas unke maraz al maut(Wafat wala marz) me gaye pas unho ne paani mangaya aur unho ne wuzu kiya is haal mein ki un par Juraab the pas unho ne (un juraabo) par masah kiya. Fir kaha: Aaj maine wo kaam kiya jo pahle kabhi nahi kiya tha, maine Juraabo par masah kiya halanki wo naalain (shoes) ke alawah hai.”
Isse ye bhi pata chala ki Imam Abu Hanifa ne apne aakhri waqt me apne pichle raaye se ruju kar liya. Imam Tirmidhi ne ek shart rakhi hai ki jurab moti honi chaiye (jisse khaal na dikh sake mauje pahenne ke baad).
Ibne Qadama kehte hain ke Sahaaba Ikram ka jurabo’n par masah karne ke jawaz par ijma’a hai.
Mughnee by Ibne Qadaama, Volume-1, P332, – Mas’alaa 426.
Yahyaa al-Bakka farmate hai, maine Ibn Umar se ye suna, “Jawrabayn par masah khuffayn par masah karne jaise hai”.
Al-Musannaf by Ibn Abi Shaybah, 1/173.
Ye ek aesi sunnat hai jo aksar mar chuki hai hamare muashre me, hame is sunnat ko zinda karna hoga. Allah ham sab ko taufeek de. aameen.
Post a Comment