Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Dec 2017

Mazar aur Islam

hi  -
۩ Jabir r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne kabro par baithna, kabr ka Pakka karwana aur kabr par imarat banwana mana farmaya tha.

Sahih Muslim, kitab al Janaaez, hadees-2245.

۩ Shumama bin Shafayy r.a. ne bayan kiya, unhone kaha, 'Ham sarzameen e Rome ke jazirah 'Rhodes' me Fazalah bin Ubaid r.a. (sahabi) ke sath the ke hamara ek dost wafat paa gaya. Fazalah bin Ubaid r.a. ne un ke kabr ke baare me hukm diya toh us ko barabar kar diya gaya, Fir unhone kaha, “Mai ne RasoolAllah ﷺ se suna hai ke Aap ﷺ in (kabro) ko (zameen ke) barabar karne ka hukm dete the.”'

Sahih Muslim: kitab al Janaaez, hadees- 2242.

۩ Abu'l-Hayyaj al-Asadi r.a. ne kaha ki Ali r.a. ne unko kaha ki kya mai tumhe usi maqsad ke liye na bheju jis maqsad ke tahet RasoolAllah ﷺ ne mujhe bheja tha. (Wo ye hai) ki tum kisi tasweer ko na chorna magar use mita dena ya kisi unchi kabr ko na chorna magar use (zameen ke) barabar kar dena.

Sahih Muslim: kitab al Janaaez, hadees- 2243.

۩ Ayesha r.a. kahti hai ke jab Nabi ﷺ bimaar pad gaye toh Aap ﷺ ki baaz biwion (umme Salma aur umme Habiba) ne ek Girje ka zikr kya jise unhone Habsha me dekha tha jis ka naam Mariya tha. Umm Salma aur Umm habiba r.a. dono Habsha ke mulk me gayi thi. Unhone iski khubsurti aur is me rakhi hui tasveer ka bhi zikr kiya. Is par aa huzoor ﷺ ne sar mubarak utha kar farmaya, 'Yeh woh log hai ke jab un mein koi nek shakhs mar jata to uski kabr par ibadatgaah bana lete aur fir uski Tasveer usme rakh dete the, Allah ke nazdeek ye log saare makhluk me bad-tareen (bure) makhluk hai.'

Sahih al Bukhari, kitab al Janaaez, hadees- 1341.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Aye Allah meri kabr ko but na banana jiski ibadat ki jaye. Allah ka us kaum par sakht gazab nazil hota hai jo apne nabiyo ki kabro ko ibaadat gaah bana lete hai.” 


Muwatta Imaam Malik, vol-9, page-88. 


۩ Jundub r.a. ne kaha: Maine Nabi ﷺ ko Aap ki wafaat se panch din pahle ye kahte hue suna, “Mai Allah ta'ala ke huzoor is cheez se bara'at ka izhaar karta hu ke tum me se koi mera khalil ho kyuke Allah ta'ala ne mujhe apna khalil bana liya hai, jis tarha usne Ibrahim a.s. ko apna khalil banaya tha, agar mai apni ummat maise kisi ko apna khalil banata toh Abu Bakr r.a. ko khalil banata. Khabardaar! Tum se pahle log apne ambiya aur nek logon ki kabron ko Ibadatgaah bana liya karte the, khabardaar! Tum kabron ko ibadatgaahe na banana, mai tum ko is se rokta hu.

Sahih Muslim, kitab al Masjid wa Mawazihis Salaat, hadees - 1188.


Note: Boht se log kahte hai ki ham baba ki ibadat kaha karte hai lekin ham to sirf unse dua mangte hai to unke ilm ke izafe ke liya bata du ki Hazrat-Noumaan- Bin-Bashir r.a. se riwayat hai RasoollAllah ﷺ ne farmaya, “Dua ek ibadat hai”.

Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, kitab ad Daawaat, hadees - 3372. Imam Tirmizi ne ise Hasan Sahih kaha.

۩ Imam Shafi' r. h. farmate hain:

وقد رأيت من الوالة من يهدم بم ّكة ما يبنى عليها، فلم أر الفقهاء يعيبون ذلک-

“Maine hukmaraano ko makkah e mukramah me qabro par se imaarate giraate dekha hai, (aur) fuqaha e karaam ko maine is par koi aeteraz karte nahi dekha.”

Kitab al-Umm 1/316.

•٠•●●•٠•

Post a Comment