۩ Sayyadna Huzaifa farmate hain: ‘Rasool Allah jab raat ko tahajjud ke liye uthte to miswak karte.’
(Bukhari: al Wuzu 245 – Muslim: al Tahaara 255)
۩ Sayyadna Ibne Abbas farmate hain: ‘Nabi e Rahmat raat ko har do raka’at ke ba’ad miswak karte.’
(Muslim: al Tahaara, Baab as Siwak 256)
۩ Sayyada Aisha Siddaqa se riwayat hai ke Rasool Allah ne farmaya: ‘Miswak Mu’nh ke liye Tahaarat ka Sabab aur Allah ki razamandi ka zaria hai.’
(Nasai: al Tahaara 5) Ise Imam Nawawi aur Imam Ibne Hibban ne Saheeh kaha.
۩ Sayyada Umme Salam se riwayat hai ke Rasool Allah ne farmaya: ‘Jab bhi mere paas jibrail aate to mujhe miswak karne ka hukam karte the. Mujhe khatra laahaq hua ke main apne mu’nh ki agli jaanib na cheel lu’n.’
(Sunan Baihaqi, V7, P-49) Imam Bukhari ne is hadees ko Hasan kaha hai.
۩ Sayyadna Abu Huraira se riwayat hai ke Rasool Allah ne farmaya: ‘Agar main apni ummat ke liye mushkil na jaanta to har namaz se pehle miswak karne ka hukam deta.’
(Bukhari: al Jumua’a 887 – Muslim: al Tahaara, Baab as Siwak 252).
•٠•●●•٠•
Post a Comment