Mursal alfaz "Arsala" se aya hai jiska matlab khula chorna (to set free) hota hai. Yeh alfaz isliye istemal hota hai kyuki is riwayat me raawio ke jod(chain) me ek raawi chuta(ommitted) hua hota hai. Hadiths ke pashmanzar me ye us riwayat ko kahte hai jisme aankhri raawi(sahaba) chute hue(ommitted) hote hai.
Fuqahaa ne aam taur par mursal hadith ki wazahat kuch is tarha ki hai ki jis raawio ke jod me koi raawi chuta hua hota hai use mursal riwayat kahte hai aur al-Baghdaadee is par razamand hai.
The Science of Authenticating the Prophets Traditions, pp. 75-6.
۞ Is Tarha Ke Hadith Ke Ahkaam:
Is tarha ki hadith ek wajah hoti hai zaif hadith hone ki aur isiliye ise apnaya nahi jata ittisaal(continuity) ki shart na pure hone ki wajah se aur us rawi ke ilm ki kami ki wajah se jo maujud nahi(missing) hota jo sahaba ho sakta hai ya Taabiee ho sakta hai.
Muhadiiso me Ikhtilaf tha ki mursal riwayato ko daleel ke taur liya ja sakta ki nahi:
Ulema is bareme teen raae rakhte hai
- Mursal kamzor hai aur isliye ise qubul nai kiya ja sakta: Aksar ulema is par muttafik hai.
- Mursal durust hai aur qabile qubul hai: Kuch Imam jaise Abu Haneefa, Malik aur Ahmad aur kuch digar Imam ise qubul kar lete the kuch sharte rakhne ke baad.
- Mursal riwayat kuch halat me qubul kiya ja sakta hai: Imam shafi aur digar Imamo ne 4 shart pure hone ke baad ise qubul kar lete the.
۞ Gair-Mamuli Mursal:
Ye mursal hadith ka ek gair-mamuli darjah hota hai. Agar koi rawi riwayat karta hai jisne RasoolAllah s.a.w. se suna ya karte hue dekha jab ki wo gair-muslim tha aur uske eeman lane se pahle RasoolAllah ka inteqal ho gaya ho, uski riwayat ko musalsal aur mustanad(authentic) samjha jayega, jabki upari taur par yeh mursal riwayat lag rahi hai.
Prepared By: Faisal Khan
Post a Comment