Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Musafa Ek Hath Se Ya Do Hath Se?


Sahih Hadeeso ki roshni me dono tariko se musafa karna sahih hai. Hame dono tariko se musafa karne ki dalail milte hai. Imam Bukhari r.h. ka bhi yahi aqida tha.

Sab se pahle hum do haath se musafa karne ke talluq se janne ki koshish karte hain. Main yaha Imam Bukhari r.h. ka tarz-e-istadlal bayan karta hoon.

Imam Bukhari r.h. ne pahle ek baab bandha- "بَابُ المُصَافَحَةِ" yani Musafa ka bayan. Is me Imam Bukhari r.h. ne teen (3) hadeese naqal ki.
Phir is ke baad ek aur baab bandha- "بَابُ الأَخْذِ بِاليَدَيْنِ"  yani 2 haath se pakadane ka bayan. Dusre baab ke saath hi Imam Bukhari r.h. ne salaf ka ek amal bayan kiya aur kaha,


وَصَافَحَ حَمَّادُ بْنُ زَيْدٍ، ابْنَ المُبَارَكِ بِيَدَيْهِ


"Hammad bin Zaid r.h. ne Ibne Mubarak r.h. se 2 haathao se Musafa kiya."

Fir is ke baad Imam Bukhari r.h. ne ye hadith naqal ki hai,

حَدَّثَنَا أَبُو نُعَيْمٍ، حَدَّثَنَا سَيْفٌ، قَالَ سَمِعْتُ مُجَاهِدًا، يَقُولُ حَدَّثَنِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ سَخْبَرَةَ أَبُو مَعْمَرٍ، قَالَ سَمِعْتُ ابْنَ مَسْعُودٍ، يَقُولُ عَلَّمَنِي رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم وَكَفِّي بَيْنَ كَفَّيْهِ التَّشَهُّدَ، كَمَا يُعَلِّمُنِي السُّورَةَ مِنَ الْقُرْآنِ

Ibn Maso’od r.a. kahte hain, RasoolAllah ﷺ ne mujhe Tashahhud sikhaya, uss waqt mera haath Ap ﷺ ke hateliyo ke darmiyan tha.

Sahih al Bukhari, Hadith- 6265.

Ab aayiye ek Haath se musafa ko samajhne ki koshish karte hain. Ek haath se musafa ke kayi dalail hai. Imam Bukhari Hadeese likhne se pahle apne baab ke baad ek waqya naqal karte hai,

۩- وَقَالَ كَعْبُ بْنُ مَالِكٍ دَخَلْتُ الْمَسْجِدَ، فَإِذَا بِرَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَامَ إِلَيَّ طَلْحَةُ بْنُ عُبَيْدِ اللَّهِ يُهَرْوِلُ، حَتَّى صَافَحَنِي وَهَنَّأَنِي - 


 Kaab bin Malik r.a. riwayat karte hai ki Mai Masjid me aya, waha par maine RasoolAllah ﷺ ko dekha. Isi beech Talhah bin ‘Ubaid r.a. uth kar mere paas aye, mujhse hath milaya aur mujhe mubarakbaad di.

Note: Upar ki hadith me Hath ka zikr hai Hatho ka nahi. To isse muraad ek hath hoga. 

۩- عَبْدَ اللَّهِ بْنَ هِشَامٍ، قَالَ: «كُنَّا مَعَ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، وَهُوَ آخِذٌ بِيَدِ عُمَرَ بْنِ الخَطَّابِ- 


Abdullah bin Hisham r.a. ne kaha, Hum Allah ke Nabi ﷺ ke saath the, aur wo Umar bin khattab r.a. ko (musafa ke darmiyan) Ek haath se pakde huwa the.

Sahih al Bukhari, Hadith-6264 .

Is haidth ko Imam Bukhari r.h. ne musafa ke baab me naqal kiya hai.

Isi tarah ek hadith mein ek haath se musafa karne ke talluq se is tarah aaya hai,

إذا لقي المسلم أخاه المسلم، فأخذ بيده فصافحه، تناثرت خطاياهما من بين أصابعهما كما يتناثر ورق الشجر بالشتاء


Tarjuma:

Aap ﷺ ne farmaya, Jab ek Musalman apne Musalman bhai se mulaqat karta hai aur us ka ek haath pakadata hai aur musafa karta hai to in dono ki ungaliyaun ke darmiyan se gunah iss tarah jhadte hai jiss tarah sakt garmi ke din sookhe darakht se patte jhadate hain.

Al Mu’ajjamul kabeer lil Tabrani, Hadith-6150, Musnad ImamAhmad, 4/289.

•٠•●●•٠•

Aur Allah sab se behtar janta hai. Allah hame is sunnat par amal karne ki taufeek de. aameen.

Post a Comment