Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Dec 2017

Napaki Ke Huqm Aur Paaki Kaise Haasil Kare


Ek Aaraabi (T: Villager) ne masjid me peshab kardiya aur log is ke peeche padgae. Rasool Allah ﷺ ne inhei’n farmaya: ‘Ise chhor do aur (jaga ko paak karne ke liey) is ke peshab par paani ka dol bahaado.’

(Bukhari: al Wuzu 221 – Muslim: at Tahaara 284)

Fir Aap ﷺ isko bulakar farmaya: ‘Masjid peshab aur gandagi ke liey nahi, balke Allah ke zikar, namaz aur quran padhne ke liey(hoti) hain.’

(Ibn e Majah: at Tahaara 529)

۞ Haiz Alood Kapda (T: Mensturation Cloth):

A
sma bint Abi Bakr r.a. riwayat karti hain ke ek aurat ne Rasool Allah ﷺ se poocha ke jis kapde ko haiz (maahwaari) ka qhoon lag jaae to kya kare? Aap ﷺ ne farmaya: ‘Ise chutkiyo’n se mal kar paani se dho daalna chahiye aur phir is me namaaz adaa karli jaae.’

(Bukhari: al wuzu 227 – Muslim: at Tahaara 291)

۞ Mani (T: Semen) Ka Dhona:

Ummul Momineen Aisha r.a. farmati hain ke main Rasool Allah ﷺ ke kapde se Mani dhodaalti thi aur Aap is kapde me namaz padhne tashreef le jaate the aur dhone ka nishan kapde par hota tha.

(Bukhari: al Wuzu 229 – Muslim: at Tahaara 289)

۞ Dudh Peete Bacche Ka Pehsab:

Umme Qais r.a. apne chote (doodh peete) bacche jo khana nahi khaata tha, Rasool Allah ﷺ ke paas laaei’n aur Aap ne ise apni god me bitha liya. Bacche ne Aap ke kapde par peshab kardiya to Aap ne paani mangwa kar kapde par chee’ntei’n mare aur ise dhoya nahi.

(Bukhari: al Wazu 223 – Muslim: al Tahaarah 287)

Lubaaba bint Haaris r.a. riwaayt karti hain ke Husain bin Ali ne Rasool Allah ﷺ. ki god me peshab kardiya (jo abhi doodh peeta hi tha) Main ne arz kiya: Koi aur kapda pahen lei’n aur tehband mujhe de dei’n taake main ise dhodu’n. To Aap ﷺ ne farmaya: Ladki ka peshab dhoya jaata hai aur ladke ke peshab par chee’nte mare jaate hain.

(Abu Dawood: al Tahaara 375 – Ibne Majja: al Tahaara 522) Ise Imam Ibne Qhuzaima (282) Imam Haakim (V1 P166) aur Imam Zahabi ne Saheeh Kha.

۞ Kutte Ka Jhoota:

Abdullah bin Maghfal r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Agar kutta kisi ke bartan me paani (waghaira) pee le tobartan ko saat baar paani se dhoe aur pehli bar mitti se maanje.’

(Muslim: at Tahaara 279 & 280)

۞ Murdaar Ka Chamda:

Ek bakri margai. Nabi e Kareem s.a.w is ke paas se guzre aur poocha ke tum ne is ka chamda utaar kar rang kyou’n nahi liya take isse faaeda uthate? Logo’n ne kaha wo to murdaar hai.Aap ﷺ ne farmaya ke: ‘Iska sirf khana haraam hai.

(Bukhari: al baiyo 2221 – Muslim: al Haiz 363)

Ummul Mominee Saudah r.a. ne farmaya ke hamaari bakri margay. Hamne is ke chamde ko rang kar mashk banaali. Phir ham us me nabeez (khujoor ka masroob) daalte rahe yaaha’n tak ke wo puraani hogai.

(Bukhari: al Eman wal Nazor 6686)

Nabi e Rehmat ﷺ ne murda bakri ka chamda utaarkar istemaal karne ka hukam diya aur farmaya: ‘Murdaar ka chamda dabaaghat dene (masaale ke saath rangne) se paak hojaata hai.’ (Abu Dawood: al Libaas 4125) Ise Imam Ibne Sakan aur Imam Hakim ne Saheeh kaha. Rasool Allah ﷺ ne darindo’n ki khaal istemaal karne se mana’a farmaya.

(Abu Dawood: al Libaas 4132 – Tirmizee, al Libaas 1771) Ise Imam Hakim aur Imam Zahbi ne Saheeh kaha.

۞ Billi Ka Jhoota:

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Billi ka jhoota najis nahi hai.’

(Abu Dawood: at Tahaara 75 – Tirmizee at Tahaara 92) Ise Imam Tirmizee, Imam Hakim, Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha)

۞ Sone Chaandi Ke Bartan Me Khana:

Umme Salma r.a. riwayat karti hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs sone chaandi ke bartano me khata peeta hai. Wo Apne pet me dozaqh ki aag jama’a karta hai.’

(Muslim, al Libaas 2025).

•٠•●●•٠•

Post a Comment