اقرأ باسم ربك الذي خلق

26 Dec 2017

Namaz Ke Baad Masnoon Azkaar


1۞ Ibne Abbas r.a. riwayat karte hain ke Mai RasoouAllah ﷺ ki namaz ka khatam hona Takbeer (Allahu Akbar ki awaaz) se pahchaan leta tha.

Sahih al Bukhari: al Azan, hadees- 841 & 842 ; Sahih Muslim: al Masajid, hadees- 583.

Yaani Nabi e Rahmat farz namaz ka salam fer kar unchee awaaz se Allahu Akbar kahte the. Isse sabit hua ke Imam aur Muqtadiyo’n ko namaz se farigh hote hi 1 baar buland awaaz se Allahu Akbar kahna chahiye.
__________________________________________________________________________

2۞ Thaubaan r.a. riwayat karte hain ke Nabi e Kareem ﷺ jab apni namaz khatm karte to farmate:


Astaghfirullah, astaghfirullah, astaghfirullah – Mai Allah se (gunaho ki) bakhshish mangta hu.

Yaani Astagfirullah 3 bar kahna hai. Aur iske fauran baad Ek martaba ye kahna hai:


Allahumma Antas Salaam wa Minkas Salaamu Tabaarakta Yaazal Jalaali wal Ikraam.

Ya Allah tu hi salaamti wala hai aur teri hi taraf se salaamti hai aey buzrugi aur izzat wale tuhi bada hi barkat hai.

Sahih Muslim: al Masaajid, hadees- 591.
__________________________________________________________________________

3۞ Muaz bin Jabal r.a. kehte hain ke Rasool ﷺ ne mera hath pakad kar farmaya: Aey Muaz! Allah ki qasam main tujh se Muhabbat karta hu’n. Main tujhe wasiyat karta hu’n ke har (farz) namaz ke baad ye (zikar) padhna na chorna.


Allahumma a'inni alaa Zikrika wa Shukrika wa Husni ibaadatika.

Aye mere Rab! Zikar karne, shukr karne aur acchi ibaadat karne me meri madad farma

Sunan Abu Dawood: al Witr, hadees 1522. Ise Imam Haakim (vol-1, P-273), Imam Zahabi, Imam Ibne Khuzaima, Imam Ibne Hibban aur Imam Nawawi ne saheeh kaha.
__________________________________________________________________________

4۞ Mughira bin Shoba r.a. riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ Har Farz namaz ke baad kahte the:


“Laailaaha illallahu wahdahu laa sharika lahu, lahul mulku wa lahul hamdu wa huwa 'alaa kulli shai'in qadeer, allahumma laa mania’a lima aataitaa wa laa mo’otiya limaa mana’ata wa laa yanfa’u zal jaddi minkal jaddu.”

Allah ke siwa koi (saccha) ma’abood nahi hai, wo akela hai iska koi shareek nahi hai, isi ke liye baadshaahat hai aur isi ke liey saari ta’areef hai, aur wo har cheez par qaadir hai. Aye Allah! Teri ataa ko koi rokne wala nahi aur teri roki hui cheez koi ataa karne wala nahi aur daulatmand ko (is ki) daulat tere azaab se nahi bacha sakti.

Sahih al Bukhari: al Azan, hadees- 844 ; Sahih Muslim: al Masaajid, hadees- 593.
__________________________________________________________________________

5۞ Abdullah bin Zubair r.a. riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ salam Ferne ke baad padhte the:


Laa ilaaha illallahu wahdahu laa shareeka lahu lahul mulku wa lahul hamdu wa huwa alaa kulli shai,in qadeer. Laa haula walaa quwwata illa billahi laa ilaaha illallahu walaa na’abudu illa iyyahu lahun nematu wa lahul fazlu wa lahus sanaaul hasanu laa ilaaha illallahu mukhliseena lahuddeena wa lau karihal kaafiroon.
 
Allah ke siwa koi (saccha) mabood nahi wo akela hai, is ka koi shareek nahee, isi ke liey baadshaat hai aur isi ke liey saari tareef hai. Aur wo har cheez par qaadir hai. Gunaho se rukna aur ibaadat par qudrat paana sirf Allah ki taufeeq se hai. Allah ke siwa koi (saccha) mabood nahi aur ham (sirf) isi ki ibaadat karte hain har nemat ka malik wohi hai aur sara fazl isi ki milkiyat hai (yaani fazl aur nematei’n sirf isiki taraf se hain) isi ke liye acchi ta’areef hai. Allah ke siwa koi ma’abood (haqeeqi) nahi, ham (sirf) isi ki ibaadat karte hai agar che kaafir bura maanein.

Sahih Muslim: al Masaajid, hadees- 594.
__________________________________________________________________________

6۞ Rasool Allah ﷺ namaz ke baad in kalemaat ko padhte the:


Allahumma inni a’auzubika minal jubni wa auzubika minal bukhli wa auzubika min an uradda ilaa arzalil umori wa auzubika min fitnatid dunya wa a’azabil qabr.

Aye Allah! Main buzdili aur kanjusi se teri panah chaahta hu’n aur is baat se bhi teri panaah chaahta hu’n ke mujhe razeel umar ki taraf fer diya jaaye aur main duniyawi fitno’n aur azaab e qabr se bhi teri panaah chaahta hu.

Sahih al Bukhari: al Jihaad wal Sair, hadees- 2822.
__________________________________________________________________________

7۞ Abu Huraira r.a. kahte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Is ke tamam gunah muaaf kar diey jaei’nge khuwah samandar ki jhaag ke baraabar hu’n, jo har (farz) namaz ke baad padhe:
سُبْحَانَ الله
Subhanallah – Allah (hair ayeb se) Paak hai (33 Times)
الْحَمِدُ للهِ
Alhamdulillah – Saari Ta’areef Allah ki hai (33 Times)
اللهَ اَكْبَر
Allahu Akbar – Allah Sabse Badaa hai (33 Times)


Laailaaha illallahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul mulku wa lahul hamdu wa huwa alaa kulli shai-in qadeer – (1 baar)

Allah ke siwa koi (saccha) ma’abood nahi, wo akela hai uska koi shareek nahi. Isi ke liye saari baadshaahat aur isi ke liye saari ta’areefe hai aur wo har cheez par khoob kudrat rakhne wala hai.

Sahih Muslim, al Masaajid, hadees- 597.

YA FIR YE PADHE:

Ka’ab bin Ujrah r.a. riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs farz namaz ke baad Subhanallah 33 Times, Alhamdulillah 33 Times aur Allahu Akbar 34 Times kahega wo (sawaab ya buland darjaat se) mahroom nahi hoga.’

Sahih Muslim, hadees- 496.
__________________________________________________________________________

8. Uqba bin Amer r.a. riwayat karte hain ke Rasool ﷺ ne mujhe hukam diya ke main har (farz) namaz ke baad ma’auzaat padha karu’n.



Sunan Abu Dawood: al Witr, hadees- 1523 ; Sunan Nasai: hadees-1336. Ise Imam Haakim Vol-1 P 253, Imam Zahabi, Imam Ibne Khuzaima aur Imam Ibne Hibban (2347) ne Saheeh kaha.
________________________________________________________________________

9۞ Ummul Momineen Umme Salma r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ jab subha ki namaz ka salam ferte to kahte:


Allahumma Inni Asaluka Ilman Naafi an wa Rizqan Taiyyaban wa A’amalan Mutaqabbala.

Aye Allah! Main tujhse nafa dene wale ilm aur paakiza rizq aur qubool kiye gaye amal ka sawaal karta hu.

Sunan Ibn e Majah: Iqaamatis Salah, hadees- 925. Classed as Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

Note: Is dua ko ek baar Fajr namaz ke baad padhe.
_____________________________________________________________________

10۞ Umarah bin Shabeeb r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jis ne maghrib ki namaz ke baad 10 baar ye alfaz kahe:


Laailaaha illallahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul mulku wa lahul hamdu yuhyee wa yumeetu wa huwa alaa kulli shai'in qadeer.

Allah Ta’ala iski hifaazat ke liye farishte bhejta hai jo subah tak shaitan mardood se iski hifazat karte hain aur Allah Ta’ala iske liye 10 nekiya’n likhta hai, aur 10 halak karne wale gunah is se door karta hai aur iske liye 10 momin gulam aazaad karne ke baraabar ajar hai.

Sunan Tirmizi, Kitab ad Da’awaat, hadees- 3534. Classed as Hasan by Shaykh Zubair Ali Zai.
__________________________________________________________________________

11۞ Abu Umamah r.a. riwayat karte hain ke main ne Rasool Allah ﷺ ko farmate hue suna: ‘Jo shaks har (Farz) namaz ke baad Aayatal Kursi (Surah Baqara, Ayat-255) padhe to isko bahisht me dakhil hone se siwaye maut ke koi cheez nahi rokti.’

Aayatal Kursi:

Allahu laailaaha illa huwal haiyyul qaiyyum laata khuzuhu sinatun walaa naum lahu maafis samaawaati wamaa fil ardhi man zallazi yashfa'oo indahu illaa bi,iznihi ya’lamu maa baina aidihim wa maa khalfahum wa laa yuhitoona bi shai,im min ilmihi illa bimaa shaa wasia’a kursiyyuhus samaawaati wal ardh walaa yaooduhu hifzuhuma wahuwal ali'yul a’azeem.

Allah hi mabood bar-haq hai jis ke siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab ka paalne wala hai, jise na oong aaye na neend, usi ka hai jo kuch aasmaano aur zameen me hai, kaun hai jo uske paas us ki ijaazat ke bagair sifarish kar sake, wo janta hai jo un ke saamne hai aur jo un ke piche hai, aur wo us ke Ilm maise kisi cheez ko jaan nahi sakte magar jitna wo chaahe, uski hukumat chaai hui hai aasmaano aur zameen par, aur allah us ki hifaazat se na thakta nahi, wo to bahut buland aur bahut bada hai.

Sunan Kubra lil Nasai, hadees- 9928. Sahihul-Jami' As-Saghir 5/339 and Silsilatul-Ahadees As-Sahihah 2/697 (no. 972). Ise Imam Ibne Hibban aur Imam Munziri ne Saheeh kaha.
__________________________________________________________________________

12۞ Bara bin Aazab r.a. bayan karte hai, Ham RasoolAllah ﷺ ke piche Namaz padhte toh pasand karte the ki Ham Aap ki Daayi taraf ho, Aap Hamari taraf rukh farmate. Maine (aese hi ek mauke par) Aap ko ye farmate hue suna: 


Rabba qini azaabaka yawma tab'asu ao tajma’u ibadaka.

Aye Mere Rab! Tu jab apne bando ko uthayega ya Jama karega, Us din mujhe apne azaab se bacha lena. 

Sahih Muslim, Kitab Salat al Musafireen, hadees- 1529.
__________________________________________________________________________

13۞ Warrad riwayat karte hai ki Muawiya r.a. ne Mughira r.a. ko likha, "Mujhe wo riwayate likh kar do jo tumne Allah ke Rasool ﷺ se suni hai". Toh Mughira ne likha, Maine RasoolAllah se suna ke har (Farz) namaz ke baad ye kalimaat kahe jaye:


Laailaaha illallahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul mulku wa lahul hamdu wa huwa a’laa kulli shai-in qadeer.

Allah ke siwa koi (saccha) ma’abood nahi, wo akela hai uska koi shareek nahi. Isi ke liye saari baadshaahat aur isi ke liye saari ta’areefe hai aur wo har cheez par khoob kudrat rakhne waala hai.

Sahih Muslim, Kitab, Kitab Ar-Riqaq, hadees- 6473.
__________________________________________________________________________

14۞ Aisha r.a. bayan karti hai ki RasoolAllah ﷺ jab kisi majlis me shareek hote ya namaz padh chuke hote to ye kalimaat padhte


Subhanak Allahumma wa bihamdika, astaghfiruka wa atubu ilayk

Paak hai tu aye Allah, aur teri taareef ke sath mai gawahi deta hu ke nahi hai koi mabud magar tu, mai tujh se magfirat talab karta hu, aur teri taraf tauba karte hue ruju karta hu.

Sunan Nasai, hadees- 1344 ; Tirmizi, hadees- 3433. Classed as Hasan by Shaykh Zubair Ali Zai.
__________________________________________________________________________

15۞ Abu Haris bayan karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya Jo koi namaz e magarib ke baad guftgu karne se pahle padh le aur agar usi raat faut ho gaya to dozak ki aag se aazad hoga, aur jo bhi namaz e fazr ke bad guftgu se pahle ye kalimaat padh le aur usi din use maut aa gayi to dozak ki aag se aazad hoga.  [7 baar padhna hai]

اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ

Yah Allah bachaa le mujhe aag se.

Sunan Abu Dawud, hadees-5079.
__________________________________________________________________________

16۞ Abdur Rahman bin Abza r.a. bayan karte hai, "Jab RasoolAllah ﷺ Namaz e Witr ka salam ferte toh ye kalimaat padhte:

سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ

Subhanal Malikil-Quddus

Teen baar (Padhte) Aur Teesri martaba aawaz ko lamba karte

Aur fir Ek martaba ye kahte

رَبُّ الْمَلَائِكَةِ وَالرُّوحِ

Rabbul-mala'ikati war-rooh

Sunan Nasai, hadees- 1699 ; Sunan Daruqutni, hadees- 1679. Sahih by Shaikh Zubair Ali Zai.

•٠•●●•٠•