اقرأ باسم ربك الذي خلق

26 Dec 2017

Namaz Me Aameen Kahna


Jab Aap akele namaz padh rahe ho’n to Aameen aahista kahei’n. Jab Zohar aur A’asr Imam ke peeche padhei’n to phir bhi aahista kahei’n. Lekin jab aap jehri namaz mein imam ke peeche ho’n to jis waqt imam walaz zaaaleeen kahe to aap ko oonchee awaz se Aamin kehni chahiye. Balke Imam bhi sunnat ki pairwee mein Aamin pukar ke kahe. Aur muqhtadiyo’n ko imam ke Aamin shuru karne ke baad Aamin kehni chahiey.

Wael bin Hajar r.a. riwayat karte hain Rasool Allah s.a.w. ne: ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen padha Toh Aap ﷺ ne apni aawaaz se Aamin ko kheech kar kaha. 

(Tirmizee: al Salah 248 – Abu Dawood: al Salah 932) Imam Tirmizee ne Hasan jabke Ibne Hajar aur Imam Dar e Qutini ne Saheeh kaha.

Abu Huraira r.a. kahte hain ke jab Rasool Allah ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen to Aap kehte Aamin. (Is qadr oonchee awaaz se) ke pehli saf mein Aapke ird‐gird ke log sun lete.

(Baheqhee V2 P 158 – Ibne Qhuzaima 571 – Ibne Hibban 462) Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha. 

Abu Huraira r.a. farmate hain ke Rasool Allah s.a.w. ne farmaya: ‘Jab Imam Aamin kahe to tum bhi Aamin kaho. Jis shaqs ki Aamin farishto’n ki Aamin ke takra gai to iske pichle gunah muaaf kar diye jate hain.’

(Bukhari: al Azan 780 – Muslim: al Salah 410) 

Is hadees se maloom hua ke jis muqtadi ne abhi Surah Fateha shuroo ya qhatam nahi ki wo bhi Aamin kehne mein doosro’n ke saath shareek hoga. Taake ise bhi guzishta gunaho’n ki muafee mil jaae.

Aameen Wali Hadith ko Hamare Imamo ne Kaise Samjha:

Imam ibne Khuzaima r.h. is hadees ki tashreeh mein farmte hain: Is hadees se saabit hua ke Imam oonchee awaaz se Aamin kahe kyou’nke Nabi e Rahmat muqtadi ko Imam ki Aamin ke saath Aamin kahne ka hukam isi soorat mein de sakte hain jab muqtadi ko maloom hoke imam Aamin keh raha hai. Koi aalim tasawwur nahi karsakta ke Rasool Allah muqtadi ko imam ki Aamin ke sath Aamin kehne ka hukam dei’n jabke wo apne imam ki Aamin ko sun na sake.

(Saheeh Ibn e Khuzaima Volume-1 Page-276).

Imam Bukhari ne Sahih al Bukhari me baab bandha hai ki “Imam Ka Buland Awaz Se Aameen Kahna” aur Isi Tarha ka baab in Muhaddiso ne bhi bandha hai:

1. Imam Nasai (rah) 
2. Imam Ibn e Majah (rah) 
3. Imam Ibn e Khuzaimah (rah) 
4. Hafiz Ibn e Khuzaimah (rah) 

aur fir Imam Bukhari Aameen kahne ki Hadith le kar aye hai. Aur Ye baat Jaan le ki Muhaddis ka baab, Muhaddis ka aqidah hota hai.” Toh Imam Bukhari ka bhi yahi aqida tha ki aameen ko buland awaz se kahna hai. Aur isi wajah se Imam Bukhari baab ke baaad ek muallik riwayat le kar aye hai.

Abdullah bin Zubair r.a. aur inke muqtadiyo’n ne itni buland awaaz se Aamin kahi ke masjid goonj gai.

(Bukhari: Jahar al Imam bit Taameen, Musannaf Abdur Razzaq V2 P96) Imam Bukhari ne ise basagheeya jazam zikar kiya hai)

A’krama r.a. farmate hain: ‘Main ne dekha ke imam jab ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen kehte to logo’n ke Aamin ki wajah se masjid goonj jaati.’

(Musannaf Ibn e abi Shayba V2 P187)

A’ataa bin Abi Rabaah r.a. farmate hain: ‘Maine 200 Sahaaba Ikram ko dekhe ke Baithullah mein jab imam ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen kehta to sab buland awaaz se Aamin kehte.’

(Behaqhee V2, P-59) Iski sanad Imam Ibne Hibban ki shart par Saheeh hai.

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jis qadr Yahoodi Salaam aur Aamin se cihdhte hain itna kisi aur cheez se nahi chidhte.’

(Ibn e Majah: Iqamatis Salah 856) Ise Imam Ibne Qhuzaima V1 P288 Hadees 574, V3 P38 Hadees 1585 aur Imam Boosiri nahi Saheeh kaha.

Haafiz ibn e Abdul Bar r.h. ne zikar kiya ke Imam Ahmad bin Hambal r.h. (One of 4 Imam) us shaqs par saqht naraaz hote jo buland awaaz se Aamin kahne ko makruh samajhta. Kyou’nke yahoodi Aamin se chidhte hain.

•٠•●●•٠•