Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Namaz Padhte Waqt Pant Ko Sametne(Fold Karne) Ka Bayan

hi  -
Boht si hadiths hai jo namaz ke waqt pant ko fold karne se mana  karti hai.

Ibn  Abbas r.a. riwayat karte hai ki RasoolALlah ﷺ ne ne farmaya: ‘Mujhe hukam diya gaya hai ke main 7 haddiyo’n par sajda karu’n peshani aur Aap ne hath se naak ki taraf ishara kiya dono’n hatho’n, dono’n ghutno’n aur dono’n qadmo’n ke panjo’n par aur (ye ke ham namaz mein) apne kapdo’n aur balo’n ko ek‐khatta na karei’n.’

(Bukhari: al Azan 812 – Muslim: al Salah 490).

Kapdo ko ikhatta karne ka matlab ya hai ki kapde ko modna us ko zameen par girne se rokne ke liye jab koi sajda karta hai.

Imam An-Nawawi farmate hai:

Ulemao ka ispar ittifak hai ki apne kapde, Aasteen wagaira modna ki ijazat nahi hai. Ulmao ke ijma se is chiz ki ijazat nahi hai; ye makrooh hai aur sath-sath ye na-pasandida hai. Toh agar koi shaks is halat me namaz padhta hai to usne jaise kuch galat kiya hai lekin fir bhi uski namaz ho jayegi. Ibn al-Mundhir riwayat karte hai ki jo aesa karta hai to use apni namaz dohrani chaiye aur unhone ye raae al-Hasan al-Basri se riwayat ki hai. End quote

Tuhfat al-Minhaaj, 2/161-162 me yeh kaha gaya hai:

Jo namaz padhta hai use apne balo ko akathha karke balo ko modna ya sar ke poshak ke niche rakhna jaise ki aasteen ko modna wagaira ye Makrooh hai . End quote

Iski bunyad par namaz ke waqt pant ko ikathha karna ya modna galat hai .

Dusri taur par:

Ahadith hai jo kahti hai ke libas ko takhne se niche latkane wale shaks ki namaz nahi hoti:

Abu Hurairah r.a. bayan karte hai, Ek aadmi apna tahband latkaye namaz padh raha tha toh RasoolAllah ﷺ ne use farmaya: "Jaao wuzu karo." Wo gaya aur wuzu karke fir hazir hua to kisi aadmi ne arz kiya, Allah ke Rasool ﷺ! Apne use wuzu karne ka hukm kyu farmaya? Ap ne farmaya: "Woh apna tahband latkaye hue namaz padh raha tha, Jabki Allah Tahband latka kar namaz padhne wale shaks ki namaz qubul nahi farmata."

Sunan Abu Dawud, hadith-638, Hasan [Sheikh Zubair Ali Zai]

To in dono hadith ki wajahat ka natija ye nikla ki libas ko namaz me modna makruh hai lekin Takhne se niche libas ko latkane se namaz hi nahi hogi. Agar majburi me libas takhne se niche aajaye toh behtar hai ki namaz me libas ko mod lena chaiye banisbat latkane ke kyu ki modne se kamaskam namaz to ho jaegi lekin agar libas ko niche latkaya toh namaz hi nahi hogi.

Sheikh Saleh al Munajjid (Alim) ka bhi yahi kahna hai ki in do halat me pant ko fold kar liya jaye kyu ki Hadeeso me Libas ko niche latkane ki boht sakht hadeese hai aur ye boht bada gunah hai jab ki Libas ko modna (sirf) makruh hai. 

source:- https://islamqa.info/en/130052

           •٠•●●•٠•

-Aur Allah sabse behtar janta hai.

Prepared by: Faisal Khan.

Post a Comment