hi |
۩ Zaid bin Sabit r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Farz namaz ke alawa baaqi namaz ghar mein padhna afzal hai.’
(Sahih al Bukhari: 731 – Sahih Muslim: 781)
۩ Abdullah bin Saad r.a. se riwayat hai ke main ne Rasool Allah ﷺ se dariyaft kiya ke nafil namaz ghar mein padhna afzal hai ya masjid mein? Aap ne farmaya ke: ‘Kiya tum nahi dekhte ke mera ghar masjid ke kis qadr qareeb hai iske bawajood faraaez naamz ke alaawa mujhe ghar mein namaz padhna ziyada pasand hai.’
(Sunan Ibn e Majah: Iqaamatis Salah 1378) Imam Buseeri aur Imam Ibne Khuzaima ne ise Saheeh kaha.
۩ Jabir r.a. riwayat karte hai ki Nabi e Akram ﷺ ne farmaya,
‘Jab tum masjid me namaz padho to namaz ka kuch hissa (nawaafil, sunnatei’n) apne gharo’n mein padho, Allah is namaz ke sabab ghar me khair o bhalaai dega.’
Sahih Muslim, Salatul Musafireen (6), hadees- 1822.
۩ Abdullah bin Umar r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Apni namazo’n ka kuch hissa apne gharo me padho (jaise qabrastan namaz se khali hote hain aise hi) apne gharo’n ko qabrastan na banaao.’
(Sahih al Bukhari: 432 – Sahih Muslim: 777).
•٠•●●•٠•
Ma'sha Allah ...
My doubt is Clear now...
I will supplicate to Allah SWT for your success ...
May Allah Forgive us All... Aaameeeeeeeeeeen ����
Post a Comment