اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Nek Logo Ka Wasila Laga Kar Dua Mangne Ke Ahkaam


Islam me Ilm ka sabse bada zarya Quran hai aur uske baad sunnah hai yani RasoolAllah ki sahih hadiths. Jab Islam me kisi chiz ko fard ya sunnah ya mubah ya makrooh ya haram ka darja diya jata hai to sirf aur sirf Quran aur sunnah ki roshni me.

Jaha tak duao me waseela ka maslah hai toh ye jaan le ki Quran ya sunnah me kahi bhi nahi likha hai ki dua me Nek logo ka wasilah lagana chaiye ya Nek logo ka wasila lagane se duae jaldi qubul hoti hai. Balki Quran aur sunnat me jitni bhi duae Allah aur uske Rasool ﷺ ne hame sikhai hai wo sab bina wasile ki dua sikhayi hai. Aur Quran me 25 ayate hai jo kahti hai ki waseela haraam hai [Dalail ke liye is article ke comments padhe.] .

Allah pak Quran me farmate hai:

Khabardaar! Allah ke liye hai khalis deen aur wo log jinhone hai uske siwa Auliyao ko  bana rakha (aur wo kahte hai) nahi ham ibadat karte unki magar taaaki wo waseela ban jaye hamko Allah ke qareeb karne ka. Beshak yeh log jiss baray mein ikhtilaf ker rahey hain iss ka (sacha) faisla Allah (khud) keray ga. Jhootay aur na-shukray (logon) ko Allah Taalaa raah nahi dikhata.Quran, Surah az zumar ayat 3 .

Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko nuksan phoncha sakti hai aur na unn ko nafa phoncha sakti hai aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.Surah Yunus ayat 18.

(kuch log kah sakte hai ham unki ibadat thodi na karte hai balki ham to sirf unse dua karta hai to unke ilm ke izafe ke liye bata du ki RasoolAllah ne farmaya hai ki DUA EK IBADAT HAIJamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitab-ul- Dua), Hadees-no:1297 )

Yeh (azab) tumhen iss liye hai ke jabb sirf akelae Allah ka zikr kiya jata to tum inkar kar jatay thay aur agar iss kay sath kissi ko shareek kiya jata tha to tum maan letay thay pus abb faisal Allah buland-o-buzurg hi ka hai.

Surah-Momin-(Fussilat) 40 ayat 12.

Ye ayat saaf taur par mushrikeen e Makkah ki halat bayan karti hai par afsos hai ki Aj ke Muslim ummah ke kuch firke bhi isi aqide ke hai jab ki unke samne Allah ka kalam padha jata hai.

Imam Abu Haneefa farmate hai:

“ Duaa,ba haq Nabi aur Wali ke Wasila se Mangna na-pasandeeda amal hai is liye kyu ki Makluq ka kuch haq Allah par nahi.

( Hidaya page No : 226).

Ab Quran ki ayato ki hi misaal lele. Surah fatiha jise ummul dua bhi kahte hai jo har namazi apne namaz me padhta hai usme kahi bhi wasile ka zikr nahi hai. Ham padhte hai har namaz me اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ jiska tarjuma hai ki (Ae Allah) hame sidhi Raah dikha agar waseela lagana zara bhi behtar ya jaiz hota to is ayat me likha hota ki (Ae Allah) hame Muhammad s.a.w. ke wasile se sidhi raah dikha. Par aisa kuch bhi nahi hai. Jab ki Is surat ko Ummul Quran kaha gaya hai matlab pure Quran ki Maa. Aur sirf yahi surat nahi jitni bhi duae Allah aur uske Rasool ne sikhai hai koi bhi aisi dua nahi hai jisme RasoolAllah ya kisi nek insan ka wasila laga ho.

Kuch log surah maida ki ayat 35 pesh karte hai ki aur kahte hai ki Allah pak farmate hai ki Waseela lena chaiye,  aiye ham is ayat ki tahkeek karte hai [Is ayat ki detailed tafseer ke liye ye article padhe] :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَابْتَغُوا إِلَيْهِ الْوَسِيلَةَ وَجَاهِدُوا فِي سَبِيلِهِ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ-

Is ayat ka tarjuma:

Ae Eeman Walo! Allah Taalaa say dartay raho aur uss ka qurb talash kero aur uss ki raah mein jihad kero takay tumhara bhala ho.

Kuch tarjuma likhne wale jinki Arabic kamzor hai unhone kuch aesa tarjuma kiya hai:

Ae Eeman walo Allah se daro aur uski taraf wasilah dhundo aur uski Raah me jihad karo is ummeed par ki falah pao.

source: https://www.ahadees.com/quran/ayat.php?surah=5&ayat=35

Ab jo Arabic word waseela hai uska matlab urdu lafz wala waseelah nahi hai, iska matlab nazdeeki hai. Zaruri nahi hai ki jo Arabic lafz hai uska matlab bhi wahi ho. Misaal ke taur par jo Quran me surah baqara hai..to Arabic me baqara lafz hai par is lafz ka matlab urdu wala baqara (goat) nahi balki Gaae(cow) hai. Isi tarha waseela ka matlab Arabic me nazdeeki hota hai.

Abu Wail Shaqeeq bin Salma (Tabiyee) is ayat ki tafseer me kahte hai,

"وَابْتَغُوا إلَـيْهِ الوَسِيـلَةَ } يقول: واطلبوا القربة إلـيه بـالعمل بـما يرضيه. "

 "(Allah ki) nazdeeki haasil karo nek amal kar ke".

[Tafsir at-Tabri under 5:35]

Aur RasoolAllah ki hadith hame batati hai ki  kya Allah ki nazdeeki RasoolAllah ke wasile se hasil hoti hai ya fir kuch aur amal karne se:

Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) se rivayat hai ki Rasoollallah (SallallahuAlaihi Wasallam) ne farmaya ki Allah Subhanahu tala farmata hai Jisney mere kisi Wali se Dushmani ki usey meri taraf se Elan-e-Jung hai aur Mera banda Jin Jin Ibadaton se Mera Qurb haasil karta hai (unme se) koi Ibaadat mujhko us sey ziyaada pasand nahi hai jo mainey us par farz ki hai (jaisey Namaz ,Roza , Hajj, Zakaat..)
Aur mera banda farz Ada karney ke baad Nawafil Ibaadat karte hue mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us sey Muhabbat karney lag jata hu phir jab main us se Muhabbat karney lag jata hu to Main uska Kaan (ear) ban jata hu jis sey wo sunta hai, uski Aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai , uska haath banjata hu jis sey wo pakadta hai ,uska paaw (leg) ban jata hu jis sey wo chalta hai. Aur agar mujhse maangta hai to main usey deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai to main usey Mehfooz rakhta hu aur main jo kaam karna chahta hu us mein mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apney momeen bandey ki Jaan nikaalney mein hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta.

(Narrated by al-Bukhaari, 6502)

Islami shariat me hame Allah ke naam aur apne nek aamal ke zarye se  mangne ki ijazat hai aur agar koi nek insan zinda hai to usse dua karwa sakte hai  lekin nek log jo faut ho gaye ho unka waseela laga kar dua mangna galat hai. Allah pak farmate hai:

(Ae Muhammad ﷺ) Jab meray banday meray baray mein aap say puche to aap keh den kay mein(apne bando se) boht hi qarib hun har pukarney walay ki pukar ko jab kabhi woh mujhay pukaray qabool kerta hun iss liye logon ko bhi chahaiye kay woh meri baat maan liya keren aur mujh per eman rakhen yehi unn ki bhalaee ka baees hai.

Surah Baqara ayat 186.
•٠•●●•٠•                       
Related:
۩ WASEELA AUR ASLAAF E UMMAT KA TARIKA E KAAR
۩ SURAH MAIDA 5 AYAT 35 KI TAFSEER
Unknown said...

Wasila haraam hai ussey related 25 ayat hai jiskey liye aapney comment refer karney key liye bola lekin comment mai mil nahi rahi hai details... plz provide

Faisal Khan said...

Bhai is post ka comment chq kare: https://iqrakitab.wordpress.com/2014/02/24/nek-logo-ka-wasila-laga-kar-dua-mangne-ke-ahkaam/