Nikah me Ladki/Ladke ki Razamanddi-
Nikah me ladka aur ladki dono ki razamanddi zaruri hoti hai.
Nabi (S.A.W) ka farmaan hai :
" Aurat ka nikah is ki ijazat ke bagair nahi kiya jayega "
kisi bhi aurat ko aise shakhs se shadi krne par majaboor krna jaiz nahi jis se woh shadi nahi krna chahti ho.
Nabi(S.A.W) ka farmaan hai :
" Ayem( Talaq Yafta ya bewah ) aurat wali se ziyada apne aap ki haqdaar hai, aur kanwari se is ki ijazat ke bare mein ijazat talab ki jayegi aur is ki ijazat is ki khamoshi hai "
Sahih muslim hadees number (1421 ) .
aur hadees mein Rasool Karim Allah alaihi wasallam ka farmaan hai :
" Shadi shuda aurat se mahswara ke baghair is ki shadi nahi ki jayegi , aur kanwari aurat ki shadi is ki ijazat ke baghair nahi ki jayegi".
sahaba ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool (s.a.w) : is ki ijazat kaisi hogi ?
Nabi(S.A.W) ne farmaya :
" Woh khamosh ho jaye "
Sahih Bukhari hadees number (4843 ) Sahih Muslim hadees number (1419).
is ki Daleel darj zail hadees hai :
Khansa Bint khazam ul ansariya (r.a) bayan krti hain ke :
" Un ke waalid ne un ki shadi krdi aur woh Saib ( Talaq Yafta ya bewi) thi, to is ne use napasand kiya aur Naba(S.A.W) ke paas aayi to Nabi(S.A.W) ne is ke nikah ko radd kar diya "
Sahih Bukhari hadees number (4845 ) .
aur Ibn Abbas (r.a) bayan krte hain ke :
" Ek kanwari ladki Nabi(S.A.W) ke paas aayi aur bayan krne lgi ke is ke waalid ne is ki shadi krdi hai aur woh makruh thi, to Nabi(S.A.W) ne usay inkhtiyaar de diya ".
Sunan abu Dawud hadees number (2096 ) Allamah Albani Rehma Allah ne use sahih qarar diya hai .
Oper jo kch bayan huwa hai is se maloom howa ke aurat razi nah ho to baaz ahal ilm ke haan nikah sahih nahi, aur kchh ulama kahte hain ke yeh aurat ki ijazat par moqoof hai, is bina par agar aurat khawind ke sath nahi rehna chahti ho to Qazi use Talaq de dega, aur is mein khawind ki raye ki nahi dekhega .
Jab kisi mard ka dil kisi larki se muallaq ho jis ka is ka nikah karna jaiz hai ya kisi larki ne kisi larke ko pasand karliya ho to is ka hal shadi ke ilawa kuch nhi-
kyunke Nabi sale Allah alaihi wasallam ka farmaan hai :
Do mohabbat karne walon ke liye hum nikah ki misl kuch nahi dekhte .
Sunan Ibn maja hadees number (1847 ) Busari Rehma Allah ne usay sahih kaha hai aur allama albani Rehma Allah taala ne bhi ise silsilatul sahiha(624) mein use sahih qarar diya hai .
Mangetar ko shadi se pahle Dekhne ki Ijazat:
aur isi liye Nabi sale Allah alaihi wasallam ne ladke ko yeh ijazat di ki hai ke wo apni honay wali mangetar ko dekhe :
Mughira bin shoba razi Allah taala anho bayan karte hain kay mein ne aik aurat se mangni ki Nabi(S.A.W) farmanay lage:
Use dekhlo kyunke aisa karna tum dono ke mabain ziyada istiqraar ka baais banega.
Sunan Tirmizi hadees number (1087 ) Sunan Nisai hadees number (3235 ) Imam Tirmizi Rehma Allah taala ne usay hasan kaha hai.
Abu Huraira(r.a) bayan krte hain ke Nabi(S.A.W) ne farmaya:
" Jab tumahre paas aisay shakhs ka rishta aaye jis ka deen aur ikhlaq tumhe pasand ho to is ki shadi ( apni ladki se ) kr do, agar tum aisa nahi kroge to zameen mein wasee o Areez fasaad barpaa ho jaayegaa".
Sunan Tirmizi hadees number (1084 ) Allamah Rehma Allah ne sahih Tirmizi me use hasan qarar diya hai.
Wali ko jaiz nahi ke woh apni Wilayat mein rehne wali aurat ko munasib rishta ane par jis par ladki bhi razi ho se shadi na krne de.
Allah SWT ka farmaan hai:
{ to tum inhen un ke khawindo se nikah krne se na roko, jab ke woh apas mein dastoor ke mutabiq razamand hon. } Surah-al-baqrah (232 ).
Allah Subhana ka to farman hai:
{ aur apnay mein se be nikah aurton ki shadi kardo }
{ aur apne naik saleh ghulamo aur londio ki bhi shadi kardo }
jab wali apni Wilayat me mojud aurat ko munasib aur barabar ke rishta ane par is ki shadi na kre jis se woh shadi krne par razi ho to is ne use shadi krne se rok diya, is terhan is ki Wilayat muntaqil ho kr baad wale asbah mard ko haasil ho , aur phir Qazi ko.
lekin kash hum is had tak na pohnche ke jis mein larki is baat ki jurrat kare ke jab iska walid aisay shakhs se shadi na karne de jo deeni aur akhlaqi lehaaz se is ka kafu ho to woh larki qaazi se jakr shikaayet kare,aur Qazi is ke waalid se kahe ke is ki shadi is shakhs se kardo wagerna mein karta hun ya phir tere ilawa koi wali kardega.
is liye ke ladki ko haq haasil hai ke jab is ka waalid usay shadi na karne de ( to woh qaazi se shikaayet kardey ) aur yeh us ka sharai haq hai kash hum is had tak na pohnchain-
is liye larkiyon ke waliyoon chahe woh waldain hon ya bhai waghera ko chahiye ke woh Allah taala ka taqwa aur khof ikhtiyar karte hue inhen shadi karne se na rokain, un ka haq hai kay jis ka deen wa akhlaq acha ho is se shadi kar dein.
haan yeh hai ke agar larki aisa larka inkhtiyaar kare jo deeni aur akhlaqi tour par behtar nahi to phir walii ko yeh haq haasil hai kay is se shadi na karne de aur mana krde , dekhein Al mughni: ( 383 / 9).
lekin agar larki deeni lehaaz se achay shakhs ko inkhtiyaar karti hai aur phir is ka walii sirf apne nafs ki khwahish par amal karte hue is se shadi nahi karne deta to Allah ki qasam yeh haraam hai aur phir haraam hi nahi balkay khayanat bhi hai, aisa karne se jo bhi fasaad peda ho ga woh is ka zimme daar hai aur is ka gunah bhi isi par hoga.
is maamla ko baat cheet aur Afham o Tafheem aur naseehat ke zariye hal krna chahiye, ho skta hai ke is rishta ke inkar mein waalid haq par ho, aur yeh bhi ho skta hai galti par ho.
waalid ki ita'at wa farmabrdari aur use razi krne ki hatta ul imkan koshish krni chahiye - is ke liye aap dua se muawnat len, aur istikhara aur kasrat se aamaal Saleha krein.
Allah SWT se dua krte hain ke woh hum ko khair o bhalayi par jama rkhe aur ita'at o razamandi ke kam mein muawenat farmaye. Ameen
wallah Aalam .
Prepared By: A.Sayed
Post a Comment