Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Dec 2017

Qaza e Umri


★ ✩ ✮ ✯ BISMILLAH HIR-RAHEMAN NIR-RAHEEM ✯ ✮ ☆ ★

Qaza e Umri ka koi saboot Quran o Hadees se nahi milta hai namaz na padhna bilaa shak o shubah gunah azeem hai lekin yeh gunah shirk ki manind taoba kar laine se maaf ho jata hai taoba ka falsafah hi yeh hai ke is ke sabab pichale tamam gunah haq Taala maaf farma deta hai.

Bani Israel ke is musalman ke waqeye se kon nawaqif hoga jisne so qatal kiye the phir taoba karne ke baad koi neki karne se qabal hi usay mout aagai lekin haq Taala ne chunke is ki taoba qubool farma li thi lehaza sirff isi buniyad par use apni jannat ka mustahiq qarar farmaya.

fot shuda namazon ke kaffara ke tour par yeh jo tareeqa ( qazaye Umri ) ijaad karliya gaya hai yeh bad tareen bidat hai is bare me jo riwayat hai woh mauzo ( gharri hui ) hai yeh amal sakht mamnu hai, aisi niyat o aitqad baatil o mardood, is jahalat aur wazeh gumraahi ke btlan par tamam musalmano ka ittafaq hai, Huzoor sale aleh wasallam ka irshad grami hai:

Jo shakhs namaz bhul gaya to jab use yaad aaye use ada karle, is ka kaffara siwaye is ki adaigi ke kuch nahi use imam Ahmed , bukhari, muslim ( mazkoorah alfaaz bhi is ke hain ) tirmizi, nisayi aur deegar ne hazrat ans razi Allahu anho se rivayet kiya hai.

صحیح البخاری کتاب موقیت الصلوٰۃ باب من نسی صلوٰۃ الخ مطبوعہ قدیمی کتب خانہ کراچی ۱/ ۸۴) (صحیح مسلم باب قضاء الصلوٰۃ الفائتہ نور محمد اصح المطابع کراچی ۱/ ۲۴۱)

(Sahih al Bukhari kitaab moqiyat ul salah,baab man nasi salatul lakh matboa qadeemi kutub khana Karachi ۱/ ۸۴)

(Sahih Muslim baab qaza ul salatal faitah Mohammad ashal matabah Karachi ۱/ ۲۴۱) )

Qaza e Umri ko ibadat samjhna yaksar ghalat hai is liye ke ibadat sirff wohi hai jo Allah ke rasool se amlan, qolan aur taqriran sabit ho jaye. jabke qaza e Umari ka un teenon surton me kisi ek soorat se bhi saboot nahi milta hai.

Qaza e Umri ki namaz jo jummat ’al widah’ ke din padhi jati hai yeh qaza e Umri ki Nmaz shara be asal aur bidat hai, aur is terhaQaza e Umri padhne se Umar bhar ki namazain maaf nahi hoti.

(فتاویٰ محمودیہ:۸۴/۴) ( Fatawa mehmoodia)

•♥•♥•♥•♥ FAUTH SHUDA (CHOOTI HUWE) NAMAZ KA KAFFARA ♥•♥•♥•♥•

★ Hazrat Anas r.a. se riwayat hai ki Rasoollallah ﷺ  ne farmaya:

"Jo shaks namaz bhul jaye (ya so jaye) to iska kaffara ye hai ki jis waqt yaad aye (ya jage) un namaz ko padh le.

{Sahih al Bukhari-mawakhitussalat Hadees No.597+muslim-kitabul Masjid Hadees No.684}

★ Hazrat Qatada r.a. se Rivayat hai ki Rasoollallah ﷺ ne ek safar k dauran farmaya:

"A
aj rat hamari hifazat kaun karega? aisa na ho ki fazar k namaz k waqt na jaag sake"

Hazrat Bilal r.a. ne kaha:mai khayal rakhunga,

phir unhone purab ki taraf mu kiya aur kuch der baad Bilal r.a. ghafil ho kar so gae,

jab suraj garam huwa to jaage aur khade huwe, Allah ke rasool ﷺ aur sahaba be jaag gaye,

Aap ﷺ ne farmaya:unth ki nakal pakad kar chalo kyunki yaha shaitan ki jagah hai,

phir nayii jagah pahunchkar Aap ﷺ ne wazoo karne ka hukum diya, hazarat Bilal r.a. ne azan de,

Allah ke rasool ﷺ ne do rakate padhi bakhi logon ne be do sunnate padhi,

Fir Aap ﷺ ne fajar ki namaz padhayi aur farmaya:

"Jo shaks bhul jaye to use jab be yaad aye namaz padh le."

{Sahih al Bukhari-mawakhitussalat Hadees No.595+muslim-kitabul Masjid Hadees No.680}

kisi sahi hadees se sabit nahi hai ki chooti huwi namaz ko dusre din usi waqt par padha jaye balki Allah ke Rasool ﷺ ke amal se bilkul saaf hai ki nind se jagane k bad jald namaz ada ki jaye isliye khaza namaz ka ada karne k liye uske bad wali namaz k waqt ya agle usi namaz k waqt ka intezar nahi karna chaieye,

yaad rahe Qaza-e-umri wale masley ki shariyat me koi asal nahi isliye ye biddath hai,

yaad rahe kisi majburi ke naate jo namaz rahe jaye usko majburi khatam hote hi jald ada kar liya jaye to yahi kaffara hai.

๑۩۞۩๑ Jazakmullah Khairan ๑۩۞۩๑

•٠•●●•٠•

Prepared By A.Sayed.

Post a Comment