اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Quran Majeed Me Nazr Ka Bayaan


Isko Arabic zuban me Nazr, faarsi me Niyaaz, aur urdu me Mannat kahte hai.

Qur'an majeed ki 5 ayaton me nazar ka charcha huwa hai

1- "Tumne jo kuch bhi kharch kiya ho aur jo kuch bhi nazr maani, allah ko uska ilm hai aur zaalimon ka koi madadgaar nahi"

(Baqarah 270)

Tashrih: Yaani kharch chaahe Allah ki raah ya shaitaan ki raah me ho aur nazar chaahe Allah ki raah me maani ho ya Allah ke elaawa kisi dusre ke liye, dono sooraton me insaan ki niyat aur use kaam ko Allah bakhoobi jaanta hai, jin logon ne Allah ke liye kharch kiya hoga aur uske liye nazr maani hogi wah uska sawaab paayege..

Aur jin zaalimon ne shaitaani raahon me kharch kiya hoga aur Allah ko chhod kar dusre ke liye nazaren maani hogi ,unko Allah ke azaab se bachane waala koi madadgaar nahi....

2- "Jab imran ki aurat ne kaha ki mere Parwardigaar main us bacche ko jo mere pait(stomach) me hai teri nazr karti hun wah tere hi kaam ke liye qurbaan hoga meri is nazr ko kubool kar tu sunne waala aur jaanne waala hai"

(Aal e Imran 25)

Tashrih: yani hazrat Imran ki wife ne ummeed ke dinon me yah iqraar kiya aiy mere Allah! Main apne paida hone waale bacche ko tere deen ki khidmat ke liye qurban karne ki mannat maangti hun..

3- "Hazrat Maryam ko Allah paak ne farmaya pas tu kha aur pee aur apni aankhen thandi kar phir agar koi insaan tujhe dikhaayi de to usse kah de ki maine Allah ke liye roze ki nazar maani hai, isliye aaj main kisi se baat na karungi"

(Maryam 26)

Tashrih: Allah paak ne huqm diya ki aiy Maryam! Agar koi insan tujhe dikhaayi de to usse baat na karo balki ishaare se samjhaao ki maine Allah ke liye aaj khamosh karne ki mannat maani hai...

4- "Fir wah hajj karne waale apna mail Kuchail(gandagi) door kare aur apni nazaren poori karen aur is puraane ghar ka tawaaf karen"

(al Hajj 29)

5- "(Nek log wo hai) jo apni nazaren poori karte hai aur us din se darte hain jiski buraayi faili hai"

(Dahar 7)

Qur'an majeed ki in ayaton se saabit huwa ki Allah ke bande usi ki nazar maante hai aur dusre ke naam ki nazar nahi maante......

Zaroorat puri karne waali Sirf Allah ki zaat hai, isliye Allah ke siwa kisi dusre ke naam par sadqa wa khairaat karna aur nazar-o-niyaaz dena khula shirk hai, jaise " 11wi ki niyaaz" , imam zaafar ke kunde, bibi ji ka sahnak, shaheedon ki sabeel, hz hussain ra ka khichda, shah madaar ka murga, bari imam ka bakra, haji ghaib ki chaadar etc.

Prepared by:- A.Sayed