Raful Yadain yaani dono’n hatho’n ka uthaana. Ye namaz mein 4 jagah saabit hai.
‐ Shuroo namaz mein Takbeer e Tehreema ke waqt. (While starting Salah)
‐ Rukoo se qabl. (Before bowing, Rukoo)
‐ Rukoo ke baad. (After raising head from Rukoo)
‐ Teesri (3) rakat ki ibtida me. (At the beginning of third (3rd) rakat)
Sahih Bukhari (736) aur Sahih Muslim (390) mein sayyidina ‘Abdullaah bin ‘Umar (radiyallaahu ‘anh) say rawayat hai k mein nay Rasool Allah (sallallaahu ‘alaihi wasallam) ko daikha, aap jab namaz mein kharay hotay to kandhon tak rafa’ yadain kertay, ruku kertay waqt bhi aap isi tarha kertay thay aur jab ruku say sar uthaatay to isi tarha kertay thay aur farmatay: سمع اللہ لمن حمدہ aur sajday mein aap aisa nahein kertay the.
[Sahih Bukhari J1 S102]
Is hadith k raawi sayyidina ‘Abdullaah bin ‘Umar (radiyallaahu ‘anh) bhi shuru namaz, ruku say pehlay, ruku k baad aur do rakatein perh ker kharay hotay to rafa’ yadain kertay thay aur farmatay k Nabi ﷺ aisa hi kertay the.
[Sahih Bukhari: 739 wa sanaduhu sahih, Sharh As-Sunnah lil-Baghawi 3/21 H560 wa qala: "Haza Hadith Sahih."]
Sayyidina Ibn-e-‘Umar say iss hadith k raawi, un k baitay Saalim bin ‘Abdullaah bin ‘Umar (rahimahullaah) bhi shuru namaz, ruku k waqt aur ruku say uthnay k baad rafa’ yadain kertay the.
[Hadith As-Siraj 2/34-35 H115, wa sanaduhu sahih]
Sayyidina ‘Abdullaah bin ‘Umar (radiyallaahu ‘anh) ne aik hadith mein farmaya: Nabi (sallallaahu ‘alaihi wasallam) ne apni zindagi k aakhri door mein humein isha ki namaz perhae phir jab aap ne salam fera toh khade ho gaye.
[Sahih Bukhari: 116, Sahih Muslim: 2537]
Is hadith say maloom hua k Ibn-e-‘Umar (radiyallaahu ‘anh) ne Rasool Allaah (sallallaahu ‘alaihi wasallam) ko aakhri door mein namaz perhtay huay daikha tha lihaaza aap ka rafa’ yadain rawaayat kerna aakhri amal hai.
Sayyidina Abu Bakar Al-Siddique (radiyallaahu ‘anh) ne farmaya: mein nay Rasool Allaah (sallallaahu ‘alaihi wasallam) k peechay namaz perhi, aap namaz shuru kertay waqt, ruku say pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain karte the.
[As-Sunan Al-Kubra lil-Bayhaqi 2/73 wa qala: "Ruwatuhu thiqat" wa sanaduhu sahih]
Is hadith k raawi sayyidina AbuBakar Al-Siddique (radiyallaahu ‘anh) shuru namaz, ruku se pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain karte the.
[As-Sunan Al-Kubra lil-Bayhaqi 2/73 wa sanaduhu sahih]
Sayyidina AbuBakar Al-Siddique (radiyallaahu ‘anh) se iss hadith k raawi sayyidina ‘Abdullaah bin Al-Zubair (radiyallaahu ‘anh) bhi shuru namaz, ruku se pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain kertay the.
[As-Sunan Al-Kubra lil-Bayhaqi 2/73 wa qala Adh-Dhahabi fi Al-Muhadhdhab fi Ikhtisaar As-Sunan Al-Kabir 2/49 H1943: "Ruwatuhu thiqat" wa sanaduhu sahih]
Sayyidina ‘Abdullaah bin Al-Zubair (radiyallaahu ‘anh) k shaagird (mashoor siqa taaba’e imam) ‘Ataa bin Abi Rabaah (rahimahullaah) bhi shuru namaz, ruku say pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain karte the.
[As-Sunan Al-Kubra lil-Bayhaqi 2/73 wa sanaduhu sahih, wa qala Ibn Hajar fi At-Talkhis Al-Habir 1/219 H328: "Wa rijaluhu thiqat."]
‘Ataa bin Abi Rabaah (rahimahullaah) k shaagird Ayyub Al-Sukhtiyaani (rahimahullaah) bhi namaz shuru kertay waqt, ruku say pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain karte the.
[As-Sunan Al-Kubra lil-Bayhaqi 2/73 wa sanaduhu sahih]
Ayyub Al-Sukhtiyaani (rahimahullaah) ke shaagird (taba taaba’e) Hammad bin Zaid (rahimahullaah) bhi shuru namaz, ruku say pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain kertay the.
[As-Sunan Al-Kubra lil-Bayhaqi 2/73 wa sanaduhu sahih]
Hammad bin Zaid (rahimahullaah) k shaagird Abu Al-Nu’maan Muhammad bin Al-Fazl Al-Sadoosi (rahimahullaah) bhi shuru namaz, ruku say pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain karte the.
[As-Sunan Al-Kubra lil-Bayhaqi 2/73 wa sanaduhu sahih]
Abu Al-Nu’maan Muhammad bin Al-Fazl (rahimahullaah) k shaagird imam Bukhari (rahimahullaah) bhi rafa’ yadain kertay thay balkay aap ne rafa’ yadain k asbaat per aik kitaab “juz rafa’ al-yadain” likhi hai jo matboo’-o-mashoor hai.
Maloom hua ke rafa’ yadain per musalsal amal door-e-nabwi, door-e-sahaaba, door-e-taaba’een, door-e-taba taaba’een aur baad k har zamaanay mein hota raha hai lihaaza isay mansookh ya matrook samajhna ya phir jhootay qissoon k saath iss ka mazaaq uraana asal mein hadith aur salaf saliheen k amal ka mazaaq uraana hai.
Aur phir agar rafa’ yadain mansookh ya matrook hota to sayyidina AbuBakar Al-Siddique (radiyallaahu ‘anh) kabhi rafa’ yadain na kertay kiunki unhon nay to Rasool Allaah (sallallaahu ‘alaihi wasallam) k saath aakhri namaazein perhi thein balkay Rasool Allaah (sallallaahu ‘alaihi wasallam) nay unhein apnay musallay per imam muqarrar kia tha.
-Prepared by A.Sayed
•٠•●●•٠•
Related:
۩ Rafa Yadain Na Karne Walo’n Ke Dalaael Ka Tajziya
۩ Kya Rafa Yadain Mansuqh Ho Gaya Tha?
Hame Whats App par join karein: +9779868212118
Post a Comment