اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Dec 2017

Rafa Yadain Na Karne Walo’n Ke Dalaael Ka Tajziya


Jin Ahadees Se Rafa Yadain Na Karne Ki Daleel Lee Jaati Hai In Ka Muqhtasar Tajziya Mulaheza Farmaei’n.

۩ Pahli Hadees:

Jaabir Bin Samrah R.a. Bayan Karte Hain Ke Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya: ‘kya Baat Hai Ke Main Tumko Is Tarha Haath Uthate Dekhta Hu’n Goya Ke Wo Sarkash Ghodo’n Ki Dumei’n (T: Tail) Hain. Namaz Mein Sukoon Iqhtiyar Kiya Karo.’

(Muslim: Al Salah 430)

Tajziya: Is Hadees Main Is Maqam Ka Zikar Nahi Jis Par Sahaaba Haath Utha Rahe The Aur Aap Ne Inhei’n Mana Farmaya.
Jaabir Bin Samrah Hi Se Muslim Mein Is Hadees Se Mutsal 2 Riwayaat Aur Bhi Hain Jo Baat Ko Poori Tarah Waazeh Kar Rahi Hain.

‐ Jaabir Bin Samrah R.a. Farmate Hain: Rasool Allah ﷺ Ke Sath Jab Ham Namaz Padhte To Namaz Ke Qaatme Par Daei’n Baei’n Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah Kehte Hue Haath Se Ishara Bhi Karte Ye Dekh Kar Aap Ne Farmaya: Tum Apne Haath Se Is Tarha Ishaara Karte Ho Jaise Sharer Ghodo’n Ki Dumei’n Hilti Hain. Tumhei’n Yehi Kafi Hai Ke Qaeda Mein Apni Rano’n Par Haath Rakhe Hue Daei’n Aur Baei’n Mu’n Modh Kar Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah Kaho.’ (Muslim: Al Salah 431)

‐ Jaabir Bin Samrah R.a. ﷺ Hai: Ham Rasool Allah ﷺ Ke Saath Namaz Ke Qhatme Par Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah Kehte Hue Haath Se Ishaara Bhi Karte The Ye Dekh Kar Aap Ne Farmaya Tumhei’n Kya Hogaya Hai Tum Apne Hatho’n Se Is Tarha Ishara Karte Ho Goya Wo Sharer Ghodo’n Ki Dumei’n Hain. Tum Namaz Ke Qhatme Par Sirf Zuban Se Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah Kaho Aur Hath Se Ishara Na Karo. (Muslim: 431 Ki Zeli Hadees)

Imam Nawavi ‘al Majmua’a’ Mein Farmate Hain: Jaabir Bin Samrah R.a. Ki Is Riwayat Se Rukoo Mein Jaate Aur Uthte Waqt Rafa Yadain Na Karne Ki Daleel Lena Ajeeb Baat Aur Sunnat Se Jahaalat Ki Qabeeh Qism Hai. Kyou’n Ke Ye Hadees Rukoo Ko Jaate Aur Uthte Waqt Ke Rafa Yadain Ke Bare Me In Nahi Balke Tashahhud Mein Salam Ke Waqt Dono’n Jaanib Hath Se Ishara Karne Ki Mumaneat Ke Bare Mein Hai. Muhaddiseen Aur Jin Ko Muhaddiseen Ke Sath Thoda Sa Bhi Ta’alluq Hai, Inke Darmiyan Is Bare Mein Koi Iqhtelaf Nahi. Iske Baad Imam Nawavi, Imam Bukahri Ka Qaul Naqal Karte Hain Ke Is Hadees Se Baaz Jaahil Logo’n Ka Daleel Pakadna Saheeh Nahi Kyou’nke Ye Salam Ke Waq Hath Uthane Ke Bare Mein Hai. Aur Jo A’alim Hai Wo Is Tarha Ki Daleel Nahi Pakadta Kyou’nke Ye Ma’aroof O Mashoor Baat Hai. Is Mein Kisi Ka Iqhtelaf Nahi Aur Agar Ye Baat Saheeh Hoti To Ibtedaae Namaz Aur Namaz E Eidain Mein Rafa Yadain Bhi Mana Ho Jatei’n Kyou’nke Is Mein Kisi Qhaas Rafa Yadain Ko Bayan Nahi Kiya Gaya.

Imam Bukhari Farmate Hain Pas In Logo’n Ko Is Baat Se Darna Caahiey Ke Wo Nabi E Rahmat ﷺ Par Wo Baat Keh Rahe Hain Jo Aap Ne Nahi Kaho Kyou’nke Allah Fermata Hain:

‘pas In Logo’n Ko Jo Nabi E Akram Ki Muqhalifat Karte Hain Is Baat Se Darna Chaahiey Ke Inhein (Duniya Mein) Koi Fitna Ya (Aqhirat Mein) Dardnaak Azaab Pho’nche.’ (Surah Al Noor 63)

۩ Dusri Hadees:

Abdullah Bin Masood R.a. Ne Farmaya:’kya Main Tumhei’n Rasool Allah ﷺ Ki Namaz Na Bataou’n? Inho’n Ne Namaz Padhi Aur Hath Na Uthae Magar Pehli Martaba.’

(Abu Dawood: Al Salah 257)

Tajziya: Imam Abu Dawood Is Hadees Ke Baad Farmate Hain: ‘ye Hadees In Alfaaz Ke Saath Saheeh Nahi Hai.’

(Abu Dawood, Hawaala Mazkoor)

Daarus Salaam Riyadh Aur Baitul Ifkaar Lid Dauliyya Ki Shae Karda Abu Dawood Mein Ye Tabsera Maujood Hai.

Imam Tirmizee Ne Abdullah Bin Mubarak Ka Qaul Naqal Kiya Hai: ‘abdullah Bin Masood Ke Tark Raful Yadain Ki Hadees Saabit Nahi Hai’ (Tirmizee: 254)

Imam Ibne Hibban Ne To Yaha’n Tak Likh Diya Hai Ke Is Mein Bahot Si Illatei’n Hai Jo Ise Baatil Bana Rahi Hai. (Mislan Is Mein Sufiyan Soori Mudallis Hain Aur A’an Se Riwayat Karte Hain. Mudallis Kin A’an Wali Riwayat Tararrud Ki Soorat Mein Zaeef Hoti Hai.

۩ Teesri Hadees:

Baraa r.a. Kehte Hain Main Ne Rasool Allah ﷺ Ko Dekha Aap Jab Namaz Shuroo Karte To Dono’n Hath Kano’n Tak Uthate (Summa Lam Ya‐o’ud) Phir Nahi Uthate The. (Abu Dawood 749)

Tajziya: Imam Nawavi Farmate Hain Ke Ye Hadees Zaeef Hai Ise Sufiyan Bin Oyaina, Imam Shafai, Imam Bukhari Ke Ustad Imam Hameedi Aur Imam Ahmad Bin Hambal Jaise Aimmatul Hadees Ne Zaeef Qarar Diya Hai. Kyou’nke Yazeed Bin Abi Ziyad Pehle (Lam Ya‐o’ud) Nahi Kehta Tha, Ahle Kufa Ke Padhane Par Isne Ye Alfaz Badha Diey. Mazeed Bara’n Yazeed Bin Abi Ziyad Zaeef Aur Shia Bhi Tha. Aaqhri Umar Mein Haafeza Qharab Hogaya Tha (Taqreeb) Nez Mudallis Tha. Alaawa Azeei’n Rafa Yadain Ki Ahadees Oola Hain, Kyou’nke Wo Musbat Hain Aur Naafi Par Musbat Ko Tarjeeh Haasi Hoti Hai.

Baaz Log Dalel Dete Hain Ke Munafiqeen Aastino’n Aur Baghlo’n Mein But Rakh Late The Aur Buto’n Ko Girane Ke Liey Rafa Yadain Kiya Gaya, Baad Mein Chod Diya Gaya, Lekin Kutub E Ahadees Mein Iska Kahee’n Koi Sabot Nahi Hai. Albatta Johlaa Ki Zabano’n Par Ghoomta Rehta Hai. Darj E Zel Haqhaeq Is Qaul Ki Kamzori Wazeh Kar Dete Hain:

1. Makka Mein But (T: Idols) They Magar Jamat Farz Nahi Thee. Madena Mein Jamat Farz Hui Magar But Nahi The, Phir Munafiqeen Madeena Kin Buto’n Ko Baghlo’n Mein Dabae Masjido’n Mein Chale Aate The?

2. Ta’ajjub Hai Ke Jaahil Log Is Gap Ko Saheeh Maante Aur Iske Sath Sath Nabi Akram Ko A’alimul Ghaib Bhi Maante
Hain, Halaa’nke Agar Aap A’alimul Ghaib Hote To Rafa Yadain Karwane Ke Baghair Bhi Jaan Sakte The Ke Fala’n Fala’n Shaqs Masjid Mein But Le Aaya Hai.

3. But Hi Giraane The To Ye Takbeer Tehrima Kehte Waqt Jo Rafa Yadain Ki Jaati Hai Aur Isi Tarha Rukoo Aur Sujood Ke
Dauran Bhi Gir Sakte The Is Ke Liey Alag Se Rafa Yadain Ki Sunnat Jaari Karne Ki Qat‐a’an Zaroorat Nahi Thee.

4. Munafiqeen Bhi Kis Qadr Bewaqoof The Ke But Jebo’n Mein Lane Ki Bajae Inhei’n Baghlo’n Mein Dabaa Laae?

5. Yaqeenan Jaahil Log Aur Inke Peshwa Ye Bataane Se Qasir Hain Ke Inke Baqaul Agar Rafa Yadain Ke Dauran Munafiqeen Ki Baghlo’n Se But Girte The To Phir Aap Ne Inhei’n Kya Saza Di Thee?

Dar Asal Ye Kahani Mahez Qhanasaaz Afsaana Hai. Jis Ka Haqeeqat Ke Sath Adna Sa Ta’alluq Bhi Nahi Hai.
Ye Bhi Daleel Di Jaati Hai Ke Ibne Zubair Kehte Hain: Rasool Allah Ne Rafa Yadain Kiya Tha Aur Bad Mein Chod Diya.
(Nasbur Raaya V1 P 404) Lekin Ye Riwayat Bhi Mursal Aur Zaeef Hai.
Tehqheeq To Ye Hai Ke Masla Rafa Yadain Mein Nasqh (T: It Has Never Been Stopped) Hua Hi Nahi Hai. Kyou’nke Nasqh Hamesha Waha’n Hota Hai, Jaha’n

‐ 2 Hadeesei’n Aapas Mein Takrati Ho’n.
‐ Dono’n Maqbool Ho’n.
‐ Inka Koi Mushtareka Mafhoom Na Nikalta Ho.
‐ Dalaael Se Saabit Hojae Ke In Dono’n Mein Se Fala’n Pehle Daur Ki Hai Aur Fala’n Baad Mein Irshad Farmai Gai, Tab Baad Wali Hadees, Pehli Hadees Ko Mansooq Kardeti Hai.
Magar Yaha’n Rafa Yadain Karne Ki Ahadees Ziyad Bhi Hain Aur Saheeh Tareen Bhi. Jabke Na Karne Ki Ahadees Kam Bhi Hain Aur
Kamzor Bhi (In Par Muhaddiseen Ki Jarah Hai) Ab Na To Maqbool Aur Mardood Ahadees Ka Mushtarika Mafhoom Aqhaz Karna Jaez Hai Aur Na Hi Mardood Ahadees Se Maqbool Ahadees Ko Mansooq Kiya Jasakta Hai. Rafa Yadain Ke Mansooq Na Hone Ke Dalael Mulaheza Farmae’n.

1. Sahaaba Ikram Ne Hayat E Taiyyaba Ke Aqhri (9 Aur 10 Hijri) Mein Nabi E Akram Se Raful Yadain Karna Riwayat
Kiya Hai.

2. Sahaaba Ikram Ahed E Nabuwwat Ke Baad Bhi Rafa Yadain Ke Qaael O Faael Rahe.

3. Kaha Jaata Hai Ke Chaaro’n (4) Aimma Barhaq Hai’n Agar Aisa Hi Hai To In Charo’n Mein Se Teen (3) Raful Yadain Karne Ke Qael Hain.

4. Jin Muhaddiseen Ikram Ne Raful Yadain Ki Ahadees Ko Apni Muqhtalif Maqbool Sanado’n Ke Sath Riwayat Kiya Hai In Mein Se Kisi Ne Ye Tabsera Nahi Kiya Ke ‘raful Yadain Mansooqh Hai’ Saabit Hua Ke Sahaaba O Taabaeen Aur Fuqaha O Muhaddiseen (Rahimahullah) Ke Nazdeek Raful Yadain Mansooq Nahi Balke Sunnat E Nabawi Hai. Aur Zahir Hai Ke Sunnat Chodne Ke Liey Nahi, Apnane Ke Liey Hoti Hai. Ab Jo Shaqs Ek (1) Ghair Ma’asoom Ummati Kea Mal Ko Sunnat E Nabawi Par Tarjeeh Deta Hai Aur Sunnat Ko A’amadan Hamesha Chode Hue Hai Ise Hubbe Rasool Ka Da’awa Karna Jachta Nahi Hai. Allah Ta’ala Ham Sab Ko Hidayat De.. Aamin.

Isi Tarha Is Silsile Mein Ek Aur Riwayat Bhi Pesh Ki Jaati Hai Ke Abdullah Bin Masood R.a. Ne Farmaya: ‘main Ne Rasool Allah ﷺ Aur Abu Bakr O Umar Ke Sath Namaz Padhi Ye Log Shuru Namaz Ke Alawa Hath Nahi Uthate The.’ (Bheqhee: V2 P 79 & 80)

Imam Dar e Qutni Likhte Hain Ke Iska Rawi Muhammad Bin Jaabir Zaeef Hai. Balke Baaz Ulama (Imam Ibne Jauzi Aur Imam Ibne Taimiyya Waghaira) Ne Ise Mauzoo Kaha Hai. (Ya’ani Ye Riwayat Ibne Masood Ki Bayan Karda Nahi Hai, Balke Kisi Ne Qhud Tarash Kar Inki Taraf Mansoob Kardi Hai) Lehaza Aisi Riwayat Pesh Karna Jaaez Nahi Hai.

Kulaasa: Raful Yadain Ki Ahadees Bakasrat Aur Saheeh Tareen Asnaad Se Marwi Hain. A’adm Raful Yadain Ki Ahadees Ma’ani Ya Sanadan Saabit Nahi.
Imam Bukhari Likhte Hain Ke Ahle Ilm Ke Nazdeek Kisi 1 Sahabi Se Bhi Adm Raful Yadain Saabit Nahi Hai.