Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Ramzan Ki Khushamdid Kis Tarah Kare Nabawi Tarike Se?


۩ Ayesha r.a. riwayat karti hai, wo kahti hai ki Rasoolullah ﷺ ne kabhi bhi pure maheene roze nahi rakhhe siwae maahe Ramzan ke aur wo kisi mahine me itne roze nahi rakhte the jitna Shaban ke mahine me rakhte the.

Sahih al Bukhari, hadees- 1969.

Is hadees se hame ye pata chala ki Rasoolulah ﷺ ramzan ke liye apne aap ko tayaar karte the aur usse pahle maheene (Shabaan) me zyada roze rakhte the. Isi tarha wo ramzaan ki tayari karte.

۩ Talha riwayat karte hai apne walid se ki unke walid (Talha ke dada) ne farmaya ki jab bhi Rasoolullah ﷺ naya chand dekhte wo hamesha Allah se dua karte aur kahte,

“Aye Allah ham par ye chand aman, eeman, salamti aur Islam ke sath Tulu farma. Mera Rab aur Tera Rab Allah hai.”

Is dua ki Arabic:

' اللَّهُمَّ أَهْلِلْهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالإِيمَانِ وَالسَّلاَمَةِ وَالإِسْلاَمِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ '

(Allahumma Ahlilhu Alaina Bil Yumni Wal Eemani -Was-Salamati -Wal Islami, Rabbi Wa Rabuk Allah).

Jamia Tirmizi, kitab ad daawaat ﴾48﴿ hadees- 3451. Ise Imam Tirmizi ne hasan gareeb karaar diya hai.

Ye dua khas ramzan ke liye nahi hai lekin har naye chand dekhne ke liye hai. Jab bhi Rasoolullah ﷺ naye chand ko dekhte wo ye dua padhte the.

۩ Aur Rasoolullah ﷺ Ramzaan se pahle logo ko ye kaha karte the:

Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Aye logo ye barkat wala mahina tumhare nazdeek aa raha hai aur Allah ne ye hukm diya hai ki tum is mahine me roze rakho. Is mahine me Jannat ke darwaze khol diye jate hai aur jahannam ke darwaze band kar diye jate hai aur shaitano ko jakad diya jata hai. Aur is mahine me ek raat hai jo hazaar mahino se behtar hai. Jo is mahine me Allah ki barkat se mahroom raha wo sach me ek mahrum shaks hai (yaani wo badi khair se mahrum rah gaya).”

Musnad Imam Ahmad, hadees- 7148. Ise Shaykh Shuayb Arnout ne sahih karar diya hai.

Isse hame ye pata chala ki Rasoolullah ﷺ is mahine ko khush amdid karte the aur is mahine ke barkat ki khush khabri sunate the logo ko.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame in sunnato par amal karne ki taufeek ata kare. aameen.