Sawal: RasoolAllah ﷺ Ka Naam Sunte Hi Angutha Chumne Ki Kya Koi Shara'i Haisiyat Hai?
Jawab:
Alhamdulillah..
Dailmi riwayat kerte hai ki Hajrat Abu Bakr Siddique ne ek baar kaha ‘Jab maine Muazzin ko Ash’hadu anna Muharnrnadar-Rasoolullah (SallAllaho Alaihi wa Sallam) kahte hue suna toh maine wahi kaha aur kalima ke ungli ke andar ke hisse ko chuma aur apne ankho par lagaya. Jab RasoolAllah SallAllaho Alaihi wa Sallam ne ye dekha to kaha, Meri sifarish us par wazib ho jati hai jo isi tarha karta hai jaise mere mahboob ne kiya.’

(Al Maqasid al-hasanah hadees- 976).
source:
۞ Tankeed
۩ Is riwayat pe Muhaddiseen ka faisla. :-
۞ Imam Sakhawi ne kaha : -
Imam Sakhawi ne khud is ko riwayat karne ke baad kaha ولا يصح hadith sahi nahi hai.
(Al Maqasid Al-hasanah 450).
۞ Allaamah Muhammad Taahir ne kaha :-
“Wa Laa Yasahah” Saheeh nahi hai.
(Tadhkirrah Al-mawdhoo’aat Page 36).
۞ Shaykh Muhammad Khaleel Tarbulusee Hanafi ne kaha:-
“Sakhawi ne Ise Inkar kiya hai aur kaha ki ye sahih nahi hai.”
(Al-Lulul al-marsoo’ah feemaa al-asal lahu wabaa asli mawdhoo no.505 page 168)
۞ Shaykh Albani ne kaha :-
“Ye hadith sahih nahi hai aur ye Daylamee ne Musnad al-Firdaus me Abu Bakr as-Siddeeque (Marfooan) par mansoob kiya hai . Lekin ibn Taahir ne at-Tadhkirrah me kaha hai ki yeh Saheeh nahi hai aur Imaam Shawkaani ne bhi yahi kaha hai al- Hadeeth al-Mawdhoo’aah (pg.9) me aur Sakhawee ne bhi al-Maqaasid me yahi kaha hai ki ye Saheeh nai hai.”
(Silsilah ahadeeth ad-da’eefah wal-mawdhoo’ah no.73).
۩ Ahmad Raza Khan Barelvi Ne Khud Kaha :-
RasoolAllah ka naam sunkar anguthe ko chumna aur fir aankh par malna kisi bhi marfoo hadith se sabit nahi hai aur iske bare me jo riwayat hai wo koi bhi takrir se azad nahi, isliye jo is daleel ko nazar me rakhta hai ya is daleel pe amal karne ko sochta hai ya jo ispar amal na kare unpar ilzam lagata hai to wo beshak galti pe hai.
(Abar al-maqaal fee qiblatil ajlaal page 12).
Ikhtitam:-
Kisi bhi ek marfoo riwayat me ye nai hai ki RasoolAllah ka naam sunne ke baad hame unglia chumni chaiye. Aur upar ki jo riwayate hai wo sahih nahi hai isliye unpar bharosa nahi kiya ja sakta. Ham logo ke paas kafi mazbut riwayate hai jo kahti hai ki Rasoolallah ﷺ ka naam sunne ke baad unpar salam bhejna chaiye aur musalmano ko ispar ba-qaedgi se amal karna chaiye.
Aur Allah sabse behtar janta hai.
•٠•●●•٠•
Post a Comment