اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Dec 2017

Sajda E Tilawat Aur Sajda E Shukr


۞ Sajda e Tilawat
Sajda e tilawat us sajde ko bolte hai jo quran me sajde ki ayat padhne ke baad karte hai. Ise shariyat ne mustahab darje pe rakha hai. Iski tafseer hame kuch is tarha milti hai :

Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki jab RasoolAllah ﷺ kisi surah ki tilawat karte jis me sajda hota toh wo Sajde me chale jate aur ham bhi wahi karte aur ham maise kuch ko jagah nahi milti thi.

Sahih al-Bukhari » Book of Prostration During Recital of Qur'an » Hadith 1079 .

Sajda E Tilawat Mustahab Hai Farz Nahi. Iski Wazahat Umar R.a. Kuch Aise Karte Hai:

Rabia r.a. riwayat karti hai ki Umar bin Al-Khattab ne Jumua ke din Minbar par Surah-an-Nahl ki tilawat ki aur jab wo sajda ki ayat pe pohche to wo minber se utar kar sajda kiye aur sath me logo ne bhi kiye.

Agle Jumua ke din Umar bin Al-Khattab ne usi surah ki tilawat ki aur jab wo ayat e sajda pe pohche to unhone kaha, ”Ae logo! Jab ham sajda ki ayate tilawat karte hai job hi sajda karta hai wo sahi karta hai, Fir bhi jo sajda nahi karta hai uske upar koi gunah nahi hai. Aur Umar r.a. ne (us din) sajdah nahi kiya. Unhone kaha: “Allah ne tilawat ke sajde ko Farz nahi kiya hai lekin agar koi chahe to wo kar sakta hai.”

Sahih al-Bukhari » Book of Prostration During Recital of Qur'an » Hadith 183.

Sajda E Tilawat Me Wahi Padhna Chaiye Jo Ham Namaz Ke Sajde Me Padhte Hai Aur Uske Sath Sath Ham Allah Ki Taareef Kar Sakte Hai Aur Uska Shukr Ada Kar Sakte Hai Aur Chahe To Allah Se Apni Zarurato Ko Bhi Mang Sakte Hai

۞ Sajda e Shukr

Sajda E Shukr Kisi Khushi Ke Milne Par Ya Koi Gam Talne Par Ya Jab Dil Khushi Mehsus Kare Us Haal Me Karna Chaiye. Iski Tafseer Kuch Aisi Hai:

Abu Bakr r.a. riwayat karte hai ki jab bhi koi chiz RasoolAllah ﷺ ke paas aati jisse wo khush hote to who Allah ka shukr ada karne ke liye sajde me gir padte.

Sunan Abi Dawud » Book of Jihad (Kitab Al-Jihad) » Hadith 2768.

Abu Bakr r.a. riwayat karte hai ki jab Dushmano ke khilaf RasoolAllah ﷺ ki fauz ke fateh hone ki khabar RasoolAllah ke pas pohchi maine dekha ki RasoolAllah ﷺ Aisha r.a. ki god me lete hue the fir wo uth kar sajda me gir gae. 

(Reported by Ahmad, 5/45; al-Haakim, 4/291).

Ulma e deen sheikh Albaani (rahimahullaah) sajda e shukr ki tafseer me kahte hai:

“Ye ek sajde ka hota hai, aur namaz ke liye zaruri sharto maise koi bhi shart is sajde pe mukarrar nahi hai. Isliye ye sujood at-tilaawah ke tarha hai, dono ke hukm ek jaise hai. Dono ke koi shart nahi hai jaise wuzu me rahna, Qiblah ki taraf rukh hona, takbeer kahna, tasleem karna aur wagera wagera. Balki who kisi nemat ki wajah se tajjub hai toh, usko usi waqt sajda karna chaiye wo jis halat me ho aur Allah ki taareef karni chaiye us nemat ke liye jis nemat se Allah ne use nawaza ho, shukrane ke taur par. Jistarha agar wo Allaah (‘azza wa jal) ki kitab se koi sajde ki ayah padhe, wo fauran sajde me jata hai, chahe usne wuzu ki ho ya nahi, ya uska rukh kibla ki tarf ho ya nai, bina takbeer al-ihraam ke kahe aur bina tashahud ya salam kiye.”

Silsilat ul-hudaa wan noor, 97/6.

Sajda e shukr me bhi wahi padhna chaiye jo ham namaz ke sajde me padhte hai aur uske sath sath ham Allah ki taareef kar sakte hai aur uska shukr ada kar sakte hai aur chahe to allah se apni zarurato ko bhi mang sakte hai.