Pages

اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Dec 2017

Shaykh Abdul Qadir Jilani (Raheemullah) Ka Aqeedah


SHAYKH ABDUL QADIR JILANI (raheemullah) ne farmaya:

1. “Mera Aqidah wahi hai jo sahabao aur salaf as saliheen ka aqidah tha.
(Siyar A’laam an-Nabula (20/442).

2. “Tumhare upar Ittibaa lazim hai aur nayi chiz ijaad karna nahi aur tumpar salaf as saaleh ke mazhab (tarike) par amal karna lazim hai aur wahi sidha rasta hai jo tumhe apnana chaiye.
(al-Fath ur-Rabbaanee (p.35)

3. “YE Eeman walo par laazim hai ki wo Sunnah ki aur jo Sunnah aur Jamaah par hai unki pairwi aur itteba kare. Sunnah wo hai jise RasoolAllah ne sunnah hone ka eelan kiya aur Jamaah wo hai jispe Sahabao ki razamandi(Ijma)thi.
(al-Ghuniyyah (1/165)..

۞ EEMAN KE TALLUQ SE

EEman ke talluq se ikhtilaf hai Ahlus-Sunnah aur bhatke hue firqo ki. Shaikh Abdul-Qaadir eeman ki wazahat usi tarha karte hai  jis tarha Ahlus-Sunnah ne kiya hai:

SHEIKH ABDUL QADIR JILANI (raheemullah) ne farmaya
“Hamara Aqidah yeh hai ki, Eemaan zuban ki gawahi hai, Dil ka Iqraar hai, Ye Itaat se badhta hai aur na-farmani se ghat ta hai. Ye Ilm se mazbut hota hai aur jahalat se kamzor hota hai.
(al-Ghuniyyah (1/135).

۞ SHIRK AUR BIDDAT KE HAWALE SE

Sheikh Tawheed ko faylane aur shirk aur biddat ko tabah karne walo mese the. Un ke qaul kuch is tarha se hai:
  1. “Logo ko (sirf) Allah se dua mangna chaiye, aur Allah ke Rasool par salam bhejna chaiye aur aakhir me Allah se apni zarurate magni chaiye”
    (al-Ghuniyyah (1/92).

  2. “Allah ke siwa kisi aur ki kasam khana Haraam hai toh agar kisi ko kasam khani ho to wo sirf Allah ki khae warna wo fir Khamosh rahe.
    (al-Ghuniyyah (1/92).

  3. Jab ap kabr ki ziyarat ke liye jaye toh fir apne hath unpar(kabr par) na rakhhe naahi unhe chume kyuki ye Yahoodo ki adat hai, naa hi Kabr par baithe ya unpe tek lagakar baithe. Fir Allah se apni zarurate mange.
     (al-Ghuniyyah (1/91).

  4. “Pairwi kare aur Ittiba kare aur nai chize deen me ijaad na kare aur Ikhtilaf na kare, Pairwi kare aur na-farmani na kare. Allah ek hai qubul kare aur usse muh na mode. Allah se madad mange aur kisi aur se madad na mange. Us par bharosa kare aur usi par Itmaad kare aur kisi aur par bharosa na kare.
     (al-Fath ur-Rabbaanee (pg.151).

  5. Pure MAkhlook usi par Inhisaar(depend) hai aur laachaar hai uske binah. Tumhe koi fayda ya nuksan nahi pohcha sakta.
    (Fath ur-Rabbaanee (pg.89).

۞ SHEIKH ABDUL QADIR JILANI (raheemullah) ne aur wazahat kar ke farmaya:

يا من يشكو إلى الخلق مصائبه إيش ينفعك شكواك إلى الخلق لا ينفعونك ولا يضرونك ، وإذا اعتمدت عليهم وأشركت في باب الحق يبعدونك وفي سخطه يوقعونك وعنه يحجبونك أنت يا جاهل تدعي العلم من جملة جهلك بشكواك إلى الخلق-

Ae wo log jo apni pareshanio me apne hi jaise makhlook se shikayate karte hai.. Wo Tumhe koi fayda nahi dete hai aur na hi tumse koi nuksaan ko lete hai. Aur agar tum unse tobah karo to tum Allah ke sath shareek karte ho un muamlat me jo Allah ke hai. Wo Allah se tumhe dur kar denge. Wo apko fek denge. Ae Jahilo, Ilm hone ka dawah karne walo. Pareshanio se chutkara ke liye unse madad mangte ho jo tumhare hi tarha makhlook hai.

[Fath al-Rabbani page 117-118]

۩ Unhone ye bhi kaha

 ويلك! ماتستحي تطلب من غير الله عزوجل وهو أقرب إليك من غيره

Lanat ho tumpar. Kya tumhe sharm tak nahi aati Allah ke siwa auro se apni zarurato ko mangne ke liye. Jab ke wo tumse auro se zyada nazdeek hai.

[Fath al-Rabbani page 159]

۩ aur Unhone ye kaha

لا تدع مع الله أحدا كما قال الله عزوجل وَأَنَّ الْمَسَـجِدَ لِلَّهِ فَلاَ تَدْعُواْ مَعَ اللَّهِ أَحَداً

Allah ke siwa kisi aur ko mat pukaro jaise ki MAsjid sirf Allah ke liye hoti hai, isi liye Allah ke sath kisi aur ko mat pukaro.
[Fath al-Rabbani page 184]

۩ Unhone Kaha

لاتسئل الخلق شئياً فانهم عجزة فقراء لايملكون لانفسهم ولالغيرهم ضراً ولا نفعا

Makhluq se kuch bhi mat mango, unke pas takat nahi hai aur khud zaruratmand hai. Wo apne liye ya kisi ke liye koi fayda ya nuksan pohchane ka koi ikhtiyar nahi rakhte .

[Fath al-Rabbani, majlis # 50 p.209]

Ab itne saaf tarah se wazeh hone ke baad, agar koi kahta hai ki “nai nai unhone apne pairokaar ko RasoolAllah ﷺ se mangne ko kaha tha”, thik hai agar maan bhi liya jaye bahes ke liye ki unhone ye sab apne pairokaar ko kaha tha, toh fir jawab ye hai ki unhone un sab chizo se tauba kar liya tha kyuki wo beemar the aur marne wale the aur unhone us waqt apne bete se ye nasihat farmai thi:

"ولا تخف أحدًا ولا ترجه، وكِل الحوائج كلها إلى الله عز وجل، واطلبها منه، ولا تثق بأخد سوى الله عزوجل ولا تعتمد إلا عليه سبحانه التوحيد التوحيد التوحيد وجماع الكل التوحيد"

Kisi se mat darna aur kisi se ummede na rakhna, aur apni tamam zarurate sirf Allah se kahna, apni zarurate usse hi mangna…aur kisi par Inhisaar(depend)na hona Allah ke siwa atTawheed, atTawheed, atTawheed.

[Fath al-Rabbani page 373].

•٠•●●•٠•

Related Article:- Gyarwi Shareef Ki Sharai Haisiyat

Post a Comment