اقرأ باسم ربك الذي خلق

27 Dec 2017

Shirk Ki Shuruat


RasoolAllah ﷺ ne boht hi saaf alfazo me bayan kiya hai ki Tawheed aane ke baad shirk kaise faili. RasoolAllah ke sahabao ne Surah Nooh ki ayat 23 ki Tafseero se hame bilkul saaf tasweer dikhai hai, jaha Allah swt ne bayan kiya hai Nooh a.s. ki kaum ko jab ke Nooh a.s. ne unko sirf ek Allah ki ibadat karne ko dawat di . 


Aur kaha unhon ney kay hergiz apney maaboodon ko na chorna aur na wad aur suwaa aur yaghoos aur yaooq aur na nasar ko (chorna).

Quran, surah 71, ayat 23 .

Ibn Abbas r.a. is ayat ki tafseer me kahte hai 

“Sabhi but jinki ibadat Nooh a.s. ki kaum karti thi unhi buto ki ibadat Arab ke log bhi baad me karne lage the. WADD jo ke Dawmatul-Jandal ilakeh me tha kaumi Khuda ho gaya KALB Kaum ka, Suwa ko HUDHAYL qaum ne (Khuda) ikhtiyar kar liya tha, GHUTAYF kaum jo ke Saba ke pas aabad thi inhone YAGHOOTH ko (Khuda) ikhtiyar kara, HAMDAN kabile ne YA’OOQ aur NASR ban gaya Khuda DHUL KALA qaum ka jo ke HIMYAR nasl ke the . 

Ye buto ka naam rakha gaya tha kuch Nek logo ke naam pe jo ke Nooh a.s. ke kaum se the. Jab ye nek log faut ho gae tab Shaytan ne inlogo ko unke naam ke sath unke but banane par bahkaya.

Ye but logo ke pasandida milne ke jagah par rakha gaya taaki ye nekio ki yaad dilae aur un ke zamane me kisi ne bhi in buto ki ibadat nai ki thi.

Fir Jab in ki nasle mar gai, to in buto ke banana ke maksado ko bhula diya gaya, Shaitan un ke aulado ke pas aya aur unse kaha ki unke buzurg un buto ki ibadat karte the kyuki un buto ki wajah se hi barish hoti thi.

Unke aulado ko bewakuf bana diya gaya aur fir wo buto ki ibadat karne lage. Unke aane wali nasle bhi fir un buto ki ibadat karte rahe.

SAHIH AL BUKHARI, Prophetic Commentary on the Quran (Tafseer of the Prophet (pbuh)) [60:442].

Ye Tafseer jo Rasool ﷺ ke sahabi ne diye hai isse ye saaf maloom hota hai ki kis tarah se Tawheed ka Eeman hone ke bawajood baad me mushrikana aqaid me tabdeel ho jata hai. Ye Yakeen dilati hai bigde hue namune ki, Sanakhat karti hai taareekh me Buzurgo ke ibadat ki buniyad ko aur ye wazahat karti hai ke Islam me kyu Insan aur janwar ki but ya tasweer ke shakal ke aksiyat(depiction) banane ke sakht Khilaf hai. 

Ye Mumaniyat hame Musa a.s. ke Kitabo me bhi milte hai.

Aur Dusri Taraf Khatimun Nabeen ﷺ ne Khabardaar kiya tha unlogo ko jo taswire aur Murtiya banate the, uske sath sath unlogo ko bhi jo in chizo ko tang kar numaish karte hai, ke Allah unlogo ko sakht aazaab dega aakhirat me. 

RasoolAllah ﷺ ki biwi, Aishah bint Abu Bakr ne kaha,

Ek baar RasoolAllah aye mujhe dekhne ke liye aur maine ooni pardah se almari dhaki hui thi jispe pankho ke Ghode ki taswire bani hui thi. Aur jab RasoolAllah ne wo pardah dekha to unke chehre ka rang udd gaya aur unhone kaha, Ae Aishah, Wo jinko sabse sakht saza mil rahi hogi qayamat ke din wo wolog honge jo Allah ke takhlik ke kaam me muqabala karenge . Unlogo ko saza hogi aur jo unhone banaya hai unlogo ko unme jaan dalne ko kaha jaega. 

Fir RasoolAllah ye kahte gaye , ‘Beshak farishte us ghar me nai jate hai jisme Tasweer ya fir But maojud ho .’” 
Aishah r.a. ne fir kaha

“Isliye hamlogo ne pardeh ko tukdo me kat diya aur usse ek ya do takya bana liya.”

SAHIH AL BUKHARI, hadees- 838, SAHIH MUSLIM, hadees- 5254.